• 2 days ago
Deen e Fitrat | Speaker: Shaykh Mufti Tauqeer

#DeeneFitrat #ShaykhMuftiTauqeer #ARYQtv

Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Transcript
00:00As-salamu alaykum wa rahmatullahi wa barakatuhu, alhamdulillahi wa kafa wa salamun ala ibadihi
00:20wa rahmatullahi wa barakatuhu, alhamdulillahi wa kafa wa salamun ala ibadihi wa kafa wa
00:28salamun ala ibadihi wa rahmatullahi wa barakatuhu, alhamdulillahi wa kafa wa salamun ala ibadihi
00:36wa rahmatullahi wa barakatuhu, alhamdulillahi wa kafa wa salamun ala ibadihi wa rahmatullahi
00:42wa barakatuhu, alhamdulillahi wa kafa wa salamun ala ibadihi wa rahmatullahi wa barakatuhu,
00:48alhamdulillahi wa kafa wa salamun ala ibadihi wa rahmatullahi wa barakatuhu, alhamdulillahi
00:54wa kafa wa salamun ala ibadihi wa rahmatullahi wa barakatuhu, alhamdulillahi wa kafa wa salamun
01:00ala ibadihi wa barakatuhu, alhamdulillahi wa kafa wa salamun ala ibadihi wa rahmatullahi
01:06wa barakatuhu, alhamdulillahi wa kafa wa salamun ala ibadihi wa rahmatullahi wa barakatuhu,
01:12alhamdulillahi wa kafa wa salamun ala ibadihi wa rahmatullahi wa barakatuhu, alhamdulillahi
01:16wa kafa wa salamun ala ibadihi wa rahmatullahi wa barakatuhu, alhamdulillahi wa kafa wa salamun
01:20ala ibadihi wa rahmatullahi wa barakatuhu, alhamdulillahi wa kafa wa salamun ala ibadihi
01:24wa rahmatullahi wa barakatuhu, alhamdulillahi wa kafa wa salamun ala ibadihi wa rahmatullahi
01:28wa barakatuhu, alhamdulillahi wa kafa wa salamun ala ibadihi wa rahmatullahi wa barakatuhu,
01:32alhamdulillahi wa kafa wa salamun ala ibadihi wa rahmatullahi wa barakatuhu, alhamdulillahi
01:36wa kafa wa salamun ala ibadihi wa rahmatullahi wa barakatuhu, alhamdulillahi wa kafa wa salamun
01:40ala ibadihi wa rahmatullahi wa barakatuhu, alhamdulillahi wa kafa wa salamun ala ibadihi
01:44wa rahmatullahi wa barakatuhu, alhamdulillahi wa kafa wa salamun ala ibadihi wa rahmatullahi
01:48wa barakatuhu, alhamdulillahi wa kafa wa salamun ala ibadihi wa rahmatullahi wa barakatuhu,
01:52alhamdulillahi wa kafa wa salamun ala ibadihi wa rahmatullahi wa barakatuhu, alhamdulillahi
01:56wa kafa wa salamun ala ibadihi wa rahmatullahi wa barakatuhu, alhamdulillahi wa kafa wa salamun
02:00ala ibadihi wa rahmatullahi wa barakatuhu, alhamdulillahi wa kafa wa salamun ala ibadihi
02:04wa rahmatullahi wa barakatuhu, alhamdulillahi wa kafa wa salamun ala ibadihi wa rahmatullahi
02:08wa barakatuhu, alhamdulillahi wa kafa wa salamun ala ibadihi wa rahmatullahi wa barakatuhu,
02:12alhamdulillahi wa kafa wa salamun ala ibadihi wa rahmatullahi wa barakatuhu, alhamdulillahi
02:16wa kafa wa salamun ala ibadihi wa rahmatullahi wa barakatuhu, alhamdulillahi wa kafa wa salamun
02:20ala ibadihi wa rahmatullahi wa barakatuhu, alhamdulillahi wa kafa wa salamun ala ibadihi
02:24wa rahmatullahi wa barakatuhu, alhamdulillahi wa kafa wa salamun ala ibadihi wa rahmatullahi
02:28wa barakatuhu, alhamdulillahi wa kafa wa salamun ala ibadihi wa rahmatullahi wa barakatuhu,
02:32alhamdulillahi wa kafa wa salamun ala ibadihi wa rahmatullahi wa barakatuhu, alhamdulillahi
02:36wa kafa wa salamun ala ibadihi wa rahmatullahi wa barakatuhu, alhamdulillahi wa kafa wa salamun
02:40ala ibadihi wa rahmatullahi wa barakatuhu, alhamdulillahi wa kafa wa salamun ala ibadihi
02:44wa rahmatullahi wa barakatuhu, alhamdulillahi wa kafa wa salamun ala ibadihi wa rahmatullahi
02:48wa barakatuhu, alhamdulillahi wa kafa wa salamun ala ibadihi wa rahmatullahi wa barakatuhu,
02:52aap maalik ul mulk hain, totil mulka man tasha maalik ul mulk to aap hain, aap jisko chahate
02:58hain mulk dete hain, jisse chahate hain ksheen lete hain, jisse chahate hain aap izzat dete
03:02hain, jisse chahate hain aap zalil kar dete hain, aap ke haath mein sab khair hain, aap
03:08har cheez par qadir hain, firmaaya ki yeh dua mango aise, to yeh cheez ka ihsaas hona,
03:16ki jab iss cheez ka ihsaas paida hoga, tab insaan ke andar wo aajzi aayegi jo ke matloob
03:24hain, jiske zariye se phir hum logon ke saath proper dealing kar sakenge, jiske baad hum
03:30logon ke saath, jisra mein arz kara tha, jo role allocation Allah ta'ala ne hamari di
03:36hui hain, us role ke mutaabik unke saath deal kar sakenge, lekin uske liye apne andar ki
03:42ye cheez paida hona, ki jo kuch mere paad se wo Allah ki den hain, Allah jisko chahate
03:48hain badhaa dete hain, jisko chahate hain ghataa dete hain, Allah ta'ala baasit bhi hain, abid
03:55bhi hain, Allah ta'ala kushaadgi bhi paida kar dete hain, Allah ta'ala tangi bhi paida
04:01kar dete hain, iss sab Allah ki taraf se hota hain, tangi, kushaadgi, waghara waghara, to
04:07anyway, ye zaroori hain ki insaan apne baare mein soche, apni zaad pe gaud kar ghor karein,
04:18apni paidaeesh pe ghor karein, ghair kapdo ke mein paida hua hain, na jisam pe kapde thain,
04:27na pao mein jute thain, iss cheez ko Allah ta'ala baar baar yaad bhi karwaate hain Quran
04:32ke andar, min ayye shayeen khalaqaa, kis cheez se Allah ne usko paida kiya insaan ko, min
04:38nutfaa, nutfai se, khalaqaa hu, faqaddara hu, thummas sabila yassara hu, Allah ta'ala ne
04:45usko, uski takhliq ki, uski takdeer likhi, maa ke peyd se nikalne ke liye, rasta uske
04:51liye aasaan kiya, thumma amaata hu, faaqbara hu, wahi Allah hain jisko maud dega, wahi
04:57usko kabar mein pohchaayega, Allah ta'ala baar baar iss cheez ki yaad dhihaani karwaate
05:02hain, issi liye ki insaan ko, apne andar ki jo emotions hain, usko control mein kar sakayin,
05:11jasbaat ko control mein kar sakayin, yeh bohot zaruri hain ek mausira ki andar, proper har
05:17bande ko uski izzat dene ke liye, yaad rakhein jo cheez upar jaati ho, niche bhi aati hain,
05:25ek dafaa Nabi Karim A.S. ki ek oontni thi, adwaa, wo jab bhi koi oont ki race hoti thi,
05:36toh hamisha jeetti thi, ek dafaa ek dihaati aaya, ar apne bada jawan naumar oont ko lekar
05:44aaya, toh wo mukablah hua, toh adwaa jo thi, Nabi Karim A.S. ki oontni, wo haar gaye,
05:51bohot natural baat hain, sahaba chahate thi ki Nabi Karim A.S. ki oontni jeete, lekin jab
05:57haar gaye toh sahaba bohot udaas ho gaye, unko bohot dukh hua iss baat ka, toh Nabi
06:04Karim A.S. ne ek baat firmahi, jo of course, kisi bhi hadees ki tarah sunne ke kaabil hain,
06:13firmaaya ki haqqun ala Allahi azza wajal, al la yarfa'a shayyan minad dunya illa wada'a
06:19hu, ki Allah subhanahu wa ta'ala ke liye zaruri hain ki jo bhi cheez bad jaye, usko
06:26neecha kare, Allah ta'ala jis cheez ko upar karte hain, us cheez ko Allah subhanahu wa
06:33ta'ala neecha bhi karte hain, yeh usool yaad rakhein saare log, jis cheez ko bhi Allah
06:38ta'ala uncha karte hain, usko neecha bhi karte hain. Insaan ke dar taqat hoti hain,
06:44ek waqt aata hai, burhaapa aata hai, wo saari taqat aista, aista, aista, aista khatam ho
06:49jaate hain. Insaan hain, bil akhir uski maut aata hai, wo mati mein chala jaata hai. Maal
06:58aata hai aur chala jaata hai. Kabhi kisi tarah chala jaata hai, kabhi kisi tarah chala
07:05jaata hai. Har cheez ko upar jaate hain, wo neecha jaate hain. Agar yeh cheez hum yaad
07:11rakhein. Acha ek aur usool hai Allah subhanahu wa ta'ala ka, ke agar chahate ho ki apni
07:17neematon ko apne kabu mein rakho, jaani wo tamare paas rahein, balke badhein, to ek
07:23aur cheez jo ke karne ke liye hain, wo hai shukar. Nabi Karim A.S. har cheez hain neemat
07:33ko shukar karte the. Ek tafaa, maut raat ko lambi namaz padi, baaw mubarak sooj gaye,
07:40to Syed Ayesha A.S. ne poocha ki ya Rasool Allah, aap kyu itne apne upar itni meinat
07:46karte hain, mushakat karte hain. Nabi to, anbiya to masoom hote hain, guna to kar nahi
07:50sakte hain, to apne upar kyu itni mushakat karte hain. To Allah ke Rasool S.A.W. ferma
07:55hai ki Ayesha, kya main Allah ka shukar guzaar banda na bano? Kya main shukar na ada karun?
08:01Yeh to meri shukar ada karne ki kaifiyat hain, yeh shukar ada karne ka tariqa hain,
08:07kya main Allah ke saamne namaz badaun, uske saamne sajde kartaun, uske saamne ruku kartaun.
08:13Allah Taala ne ferma hai Quran ke andar, la in shakartum la azeedannakum, agar tum shukar
08:19ada karoge main tumhani neematon ko zyada kardunga, wa la in kafartum inna azabi la shadeed,
08:24lekin agar tum na shukri karoge to jaan lo ki mera azaab bada sakht hain. To waise to
08:29har cheez upar jaate hain, neeche aate hain, agar hum chahate hain ki thodi der ke liye
08:35wo neemate hamare paas rahein, zyada rahein, badh jayein, wakti taur pe, to shukar ka daaman
08:43haad se insaan na chhodein. Aur shukar ke andar yeh cheez shaamil hain, yeh cheez ki recognition
08:49ki Allah subhanahu wa ta'ala ne yeh mujhko neemah tada kiya hain. Quran mein bilkul
08:55shuroo min suratul baqarah ki Bismillah ar-Rahman ar-Rahim, alif laam meem, zalikal kitabu la
08:59raiba feehi, khudal lil mutaqeen, allazeena yu'minuna bil ghaibi, wa yuqeemuna as-salata,
09:04wa mim ma razaqnaahum yunfiqoon. Mera jo focus hain, wo is aakhri hisse pe hain. Allah ta'ala
09:12firmaatein, taqwe walein wo hain, hidayat unko milegi Quran se. Ki wo risk jo maini unko
09:19diya hain, wo isme se kharch kartein. Allah ta'ala baar baar yaad firmaatein Quran mein
09:25ki risk maini tumko diya, neematein maini tumko di, please is cheez ko yaad rakna.
09:31Warna, insaan sheikhi bhigaarta hain, insaan arrogant ho jata hain, insaan doosron ke baara
09:37bhi sochta nahin hain, mawashree ke andar fasaat payda ho jata hain, mawashree ke andar
09:41corruption payda ho jati hain, mawashree bigad jata hain. Aur yeh hi ho raha hain mawashree
09:47ke andar. To please, kya cheez yaad rakne wali hai, number 1, ki humari asal kya thi,
09:54number 2, ki toh cheez upar jati hai, usko neeche bhi aana hota hai. Aur jo neemat hume
09:59diye hai, wo Allah subhanahu wa ta'ala ne diye hai. Aur us neemat ko agar hum chahate
10:03hain, ki humare paas zyada arse ke liye rahein, aur us neemat ke andar izafa ho, toh hume
10:08chahiye ki hum Allah subhanahu wa ta'ala ka shukr ada karein. Aur shukr ada karne
10:12ki andar, pehli cheez yeh hi hai, ki hum is cheez ke aur recognize karein, ki har neemat
10:17Allah subhanahu wa ta'ala ki taraf se aayi hai. Har neemat Allah ne diye hai. Har neemat
10:23Allah ne diye hai. Bohot saari aadis-e-mubarakah mein, Nabi Karim alaihissalatu wa sallam ne
10:28yeh baat firmaayi, kyaamat ke din Allah ta'ala apni neemate yaad karwaayenge. Kya kiya tumne,
10:34jo maine tumko neemat di thi. Is neemat ke baare mein poochenge, us neemat ke baare mein
10:38poochenge. Kya kiya? Aur mukhtalib jawabat aayenge logon ki taraf se. Ek hadees hai,
10:45zir-e-mazeem-e-rawayt hai, thodi kamzor sanat ka saath hai, lekin hadees hai, ki Nabi Karim
10:52alaihissalatu wa sallam ne firmaaya ki, bande ko khada kiya jaayega Allah ta'ala ke saamne,
10:57aur Allah ta'ala us se poochenge, kya maine tumhe neemate nahi di, maine tumhara ikraam
11:03kiya, maine tumhe, tumhare upar barkate naazil ki, kya kiya tumhe mere neematon ke saab.
11:12Aur wo banda, usne socha hi nahi hoga ki toh Allah ki neemat thi. Rizq mila, maal mila,
11:19rutba mila, status mila, mujhe yaad hi nahi raha. Wo kahega, ya Allah, maine toh jama
11:24kiya, maine toh isko invest kar diya, maine toh zyada kiya. Jitna aapne diya tha, usse
11:32bhi zyada ho gaya wo, investment ke baad. Usko isaas hoga ki, oho mujhe yaad nahi raha
11:38ki Allah ne mujhe diya tha, mujhe isko logon pe kharj karna chahiye tha, Allah ke raaste
11:42mein kharj karna chahiye tha. Ya Allah, mujhe thoda sa mauka de, main jaata ho aur sara
11:46maal abhi leke aajaata ho aapke paas. Allah ta'ala zubara wo hi baat poochenge.
11:50Fir Allah ta'ala poochenge, tumhe yaad tha, ki mulaqaat hone hai aaj ke din. Kahega,
11:55nahi ya Allah, mujhe yaad nahi tha, main bhool gaya tha. Hi yaad dihaani hai, apne
12:05aapko yaad karana, yehi isi se mawashara khubsurat hota hai. Kuch ko Allah ne diya
12:12hai, kuch ko Allah ta'ala ne, utra nahi diya hai. Yeh balance kaise kaim raha hai?
12:16Uska adab kaise ho, jisko Allah ta'ala ne kam diya hai, apni hikmat ke tahad. Uska
12:21adab hai, ek ready wale ka adab hai, ek dukaan wale ka adab hai, ek plumber ka adab
12:26hai, ek carpenter ka adab hai, wo bhi insaan hai, banu Adam hai, Adam ki aulad hai,
12:32alaihi salam. To uska adab kaise ho? Masjid ka imam hai, mawashara mein humare, us
12:39pachara, itna maaldaar nahi hai, uska adab kaise ho? Kaise ho logon ka adab? Jinn
12:45ke paas maal kam hai, agar humare paas zyada hai, kisi ke paas kam hai, yeh tabhi hoga
12:50jab is cheez ki recognition hogi. Kab hum baaki Allah ki neematon ko pehchanenge, ki
12:56Allah ki taraf se hai, aur un neematon ka shukar ada karne wale banenge, usko maal
13:01ko kharch karenge, logon ka khayal karenge, aur sochenge, yaad karenge ki mujhe Allah
13:07ne diya hai, yeh bhi insaan hai, main bhi insaan ho. Hum ek mawashara mein rahte
13:12hai, iska bhi adab hai jaise mera adab hai. Main apne driver ka adab karo, apne ghar
13:18ke khansame ka adab karo, ghar mein jo kaam karne wale log hote hain unka adab karo,
13:24mir office mein jo log mujhe chai bilate hain unka adab karo. In sab kya adab hai?
13:29Mujhe agar Allah ne ek kursi pe bithaya hai, to Allah ne bithaya hai. Aur is bande ko
13:34yeh jo kaam yahan pe lagaya hai, isko Allah ne lagaya hai. Iska bhi adab hai. Aur yeh
13:40saara Allah taala ne takseem isliye kiye taake mawashara chalta raha hai. Har banda CEO
13:44ban jata hai, to phir kaam kaun karta hai. Har banda PhD hota hai, to kaam kaun karta
13:49hai. Intellects different hote hain, IQ levels different hote hain, kuch banda ek kaam
13:53kar sakte hain, kuch bande wo kaam nahi kar sakte hain, wo koi aur kaam kar sakte hain.
13:57Is cheez ka ihsaas. In shaa Allah, agar is cheez ka ihsaas rahega, to In shaa Allah
14:04hur azeez, mawashara ka tawaazan paida hoga, sabko iski izzat milegi. Jaise Allah ki Rasool
14:10sallallahu alaihi wa sallam ke zamane mein tha. Har bande ki izzat thi, har bande se
14:17pyaar hota tha, har bande se mohabbat hoti thi. Ameer, ghareeb sab barabar the. Kisi
14:23Sayyidina Usman ghareebi radhiyallahu taala anhu jo bohot maaldaar the, wo bhi ussi masjid
14:28mein baith the the, jahan pe Sayyidina Abu Huraira radhiyallahu taala anhu baith the the.
14:32Jinn ke paas apne shuru ki ayaam mein jab wa sahab-e-sufa mein se the, unke paas khaane
14:37ko bhi nahi hota tha. Bhoog se gire jaate the. Dono namaz mein akathe kade hota tha.
14:42Dono ka ik doose se pyaar tha, sabko ik doose se mohabbat thi. Ruhama ubainahu.
14:48Ik doose piraham karne wale, pyaar karne wale. Yeh hain wo mawashara, jo Allah ki Rasool
14:53Sallallahu Alaihi Wasallam ne banaya tha. Aur hum sab se yeh expected hai, ki hum saare
14:59isi mawashara ki copy karein. Dekar uske liye, logon apne andar ki aadzi, aur logon ka adab.
15:08Yeh bohot zaruri hain. Toh Inshallah, choti se break lete hain. Aapke sawanon ke saath
15:13tobara aate hain. Aap apne sawalat email kar sakte hain. Deen-e-Fitrat at arydigital.tv
15:19Assalamu alaikum wa rahmatullahi wa barakatuhu. Welcome back, break ke baad.
15:23Aapke sawalon ke saath haazir hain. Ek khatoon ne email ki, ki main Isha ki namaz der se padhti
15:32hun. Raat ko apne waqt pe bohot thaqan hoti hain, toh main so jaati hun. Aur phir soba
15:38teen bajay ke kareeb, main jab utti hun toh fresh hoti hun, toh usfak main namaz acche
15:44tariqah se padh paati hun, usse pehle padhna mere liye us tarah se freshness nahi hoti
15:49hain. Toh iske baare mein kya hukam hain. Dekhe namaz Isha ki jab time shuru ho jaye,
15:56toh ussi waqt padh leni chahiye. Delay nahi karna chahiye. Maghrib ke takreeban, jitna
16:04der ghante baad andazan cho hai, time tables honge aapke, apne alaake ke time tables ke
16:11isha ka waqt shuru hota hain, to be exact. Andazan mein kah rahoon, sabah ghanta, der
16:15ghante ke baad isha ka waqt shuru ho jata hain. Generally toh maghrib ke baad aaj kal
16:19log kam hi sote hain. Toh jaise isha ka waqt shuru ho jaye, agar aapko takawat ho jati
16:25hai der se, toh koshish karein ke foran namaz padhne, isha ka waqt shamil daakhil hoti
16:30hain. Dekhe nabi karim alaihi salatu was salam ne, mana farmaya hai usko bahut taakhir
16:38se padhne se. Thodi si taakhir, balkhe recommend ki hai, dekhin bahut zyada taakhir se mana
16:45bhi farmaya hai. Toh behtar hi hai ke foran padhli jaye. Waise toh Allah ke Rasool Sallallahu
16:52Alaihi Wasallam ne parmaya hai ki agar mujhe apni ummat pe sakhti ka, mushakkat ka dar
16:56na hota, toh main unhe kehta hai ki one-thirds of the night pe padhein. Toh one-thirds of
16:59the night depend karta hai, jagah jagah ke upar, lekin raat ke 10-11 baje one-thirds
17:05of the night hoti hai, ek tihai raat. Lekin main ye recommend nahi karta, ke aaj kal
17:12ke waqt mein, balkhe even sahaba ke daur mein, radiAllahu anhum, unke daur mein bhi, jaise
17:18hi isha ka waqt daakhil hota tha, toh namaz padhli jaati thi, kyunki sahaba subah se uthe
17:23hote the, darmayan mein thoda sa kehloola hota tha, toh is waqt tak unki bahut thakawat
17:28hota tha, unko neend ka galba hota tha. Balkhe hadith mein ye bhi aata hai, kuch sahaba masjid
17:34mein isha ka indazaar kar rahe hote the, aur baithe baithe baithe baithe unko unga jaati
17:39thi, toh unko bhi thakawat hoti thi, lekin woh isha ko apne jaise hi waqt daakhil hota
17:45tha takreeban, us waqt padh lete the, toh unke andar bhi woh freshest energy nahi thi, toh
17:52sunnat hi sabse betreen tariqa hai, toh main recommend yehi karta hoon, sari baaton ki
17:57roshni mein ke, jaise hi namaz ka waqt daakhil ho jaye, bishak fresh nahi hai, chale itni
18:02energy nahi hai, lekin Allah taala kabool karne wale, toh aap usko namaz ko foran padh
18:09le, aur dada delay na karein se pehle ke aur thakawat ho jaye, lekin so ke, sobha teen
18:15baje ke kareeb uthkar, aadat bana lena isko ye munasir nahi hai, kabhi once in a while
18:21aise ho gaye, ke aankh lag gayi, ab isha nahi padhi, toh phir aankh khuli, jab ke do
18:29teen baje rahe hain, toh theek hai woh toh, insaan mazoor hai, insaan ko uzar hota hai
18:35kabhi na kabhi, lekin usko aadat bana lena, ye munasir nahi hai, Allah karein ke main
18:40samjha baya hu apni baat, ek aur sawal, bada common sawal, istara ke bade sawalat aate
18:47hain, ek radke ne kaha ke mujhe apni college mein ek ladki pasand hai, toh main usse shadi
18:54karna chahata hoon, toh main kya karoon, ismein koi muzaayka nahi hai, ke aap shadi
18:59kar le, agar aapko koi ladki pasand hai, toh usse shadi hi karni chahiye, shadi ke bagayr
19:08extra marital affairs, shadi ke bagayr taalukat rakhna, ye toh bilkul shariyat ke itibar se
19:13bilkul theek nahi hai, kisi ka pasand aa jaana, ye bhi bidi fitri baat hai, ke kisi ko koi
19:19pasand aa gaya, lekin shariyat kya kehti hai, shariyat kehti hai, ke usse nikah kar lo,
19:23usse shadi kar lo, ye hi munasib rawayya hai, ye hi munasib tariqa hai, toh uske liye, ek
19:29proper proposal bheja jaaye, ladki ke gharwalon ko, ladki ke walein ko, aur us unko ishaar
19:39kiya jaaye, ke main shadi karna chahata hoon aapki beti se, aur zaari baat hai, shadi
19:44toh do tarfa hoti hai, toh ladki chahegi, uske razamandi hogi, tabhi nikah hoga, tabhi
19:49shadi hogi, toh agar ladki bhi chahe, toh ladki ke walein ko bhi chahiye, ke beech mein
19:55koi kisi kisam ki hindrance na payda karein, agar koi bahot bada issue aap nahi dekhte
20:01ladke mein, nabi karim alaihissalatus salam ne firmaaya, ke agar tumhare paas, tumhari
20:07beti ka koi aisa rishta aaye, jiske deen aur uske akhlaaq se tum mutmain ho, toh apne
20:13bete ki shadi kar lo, yaani aur koi bahot saari cheeze dekhne ki nahi hai as such, agar
20:17aisa nahi karoge, toh ek bahot bada fasaad phail jaayega, fitna phail jaayega, aur bahot
20:22bada fasaad phail jaayega, ukam aqaal, toh ladki ke akhlaaq dekhiye, uska sharafat dekhiye,
20:29uski responsibility dekhiye, responsible hai ke nahi, ho sakta hai aaj kam kama raha
20:35hoon, lekin agar wo ladka zimmedaar hai, apni zimmedaaniyon ke ihsaas hai usko, toh inshallah
20:40Allah ne risht toh takdeer mein likha hota hai, haan agar susti hai, kahili hai, wo ek
20:45alaq baat hai, definitely of course, susti kahili mein toh ladke jo hai apni zimmedaariyon
20:50ko poora nahi karte hai, ek valid reason hai, aur ye deen ka hisa hai, deen aur akhlaaq
20:54dekhne ko kaha gaya hai na, toh deen ka hisa hai, ke insaan zimmedaar ho, zimmedaari ka
20:59hisaas ho, ghaafil na ho, lekin sharafat ho, overall sharafat ho, akhlaaq ache ho, gussa
21:07na karta ho, beja, agar ye saari cheezein aapko nazar aati hai, toh fir sirf status
21:12dekhna, maal dekhna, ye bilkul munasib nahi hai, inshaallah Allah ta'ala agar un bachon
21:19ka mukadar achha karein, toh risht toh Allah ki deen hai, risht toh Allah subhanahu wa ta'ala
21:24dete hai, toh going back, agar koi ladki prasand hai, toh isko through proper channels, uska
21:31rishta bheja jaaye, aur jaise maine arz kiya ke ladki ke waaldein bhi, bila wajah ke nahi
21:37maine tumhari khaandaan mein shaadi karni hai, khaala ka beta hai, poopo ka beta hai, sir
21:42woh unse shaadi hogi, koi ye nahi ho sakta, kabile mein hogi, kabile se bahar nahi hogi,
21:46khaandaan mein hogi, khaandaan se bahar nahi hogi, ye bila wajah ki cheezein hai, agar
21:51ladka, ladki shaadi karna chahate hain, toh unki shaadiyon mein please, bila wajah hindrance
21:57na bane, bila wajah usko na roke, kyunki baat lambi ho jayegi hai, lekin agar koi kisi se
22:06shaadi karna chahata hai, aur uski wo shaadi na karne di jaye, koi valid reason nahi hai,
22:14koi munasib baat nahi hai, bas aise hi ana, zid, rishtedariya, kabila, wagara wagara, toh
22:24iske itne, khalat consequences hote hain, itni ajeeb baate sunne ko milti hain, maushre
22:31mein, ki saari baate toh batane ka waqt bhi nahi hain, shayad kuch baate munasib bhi nahi
22:37hain, lekin aisa hota hai, ki misaal kator pe ek ladka kisi ladki se shaadi karna chahata
22:42tha, uske, accha ladki ke waaldaan bhi kabhi kabhi, oppose karte hain, dekhi ye toh, be
22:51darjay oola munasib nahi hain, main toh keh rahe hoon ki ladki ke waaldaan bhi bila waja
22:55nah roke, ladke ke waaldaan rokna toh be darjay oola munasib nahi hain, kyunki ladki ke liye
23:02toh phir bhi hadees mein aata hai ke wali chahiye, ladke ko toh wali bhi nahi chahiye, wo toh
23:07humare culture ka itraam karte hue, humari jo maushre ki kadre hain unka itraam karte hu,
23:13apne waaldaan ko involve kar raha hai, toh iski saadat ki baat hain, toh isko help out
23:18karein, facilitate karein uske liye, please uske raaste mein bilkul bhi na khare hoon,
23:24lekin kabhi kabhi aisa hota hai ki ladke ke waaldaan bhi khare ho jaate hain, balke badduaayin
23:30dete hain aur phir wo bichara pressure mein aake unki baat maan leta hai aur unki marzi
23:35ki jagah shadi kar leta hai, aur iske itne khatarnak consequences hote hain, ki ladka
23:40chahata tha us ladki ko, usse shadi karna chahata tha, dabard si shadi kar di gayi kisi
23:45aur se, aise waqiat hote hain ki ye ladka us ladki ke saath taalukaat rakhta hai, shaitaan
23:51aata hai, nafs bhi hai, guna karta hai, shadi isse hui hai, taalukaat usse rakhe hain, isi
23:57tarah wo ladki bhi jo hai, chahati thi se shadi karna taalukaat ho jaate hain, shaitaan
24:02ke behkave mein aake, wo jo jisse shadi ki, wo bichari bhi us pe bizulm ho raha hai, wo
24:08bhi mazloom bani, ye galati alag ho rahi hai, poora maushra begadhe aata hai, ye toh
24:13maine pari simple si ek case study aapke saamne rakhi, is tarah ke bahut saare issues create
24:19hote hain, bahut saari problems paida hote hain, please, shadion ko mein facilitation
24:25paida kije, jo kahin agar shadi karna chahate hain bacche, unko shadi karne dijiye, unko
24:31facilitate kijiye, unko duaayin dijiye, illa except ye ke, waqein mein itna bada issue
24:38ho, ke wo badmaash ladka hai, us tehzeeb nahi hai, akhlaaq nahi hai, gusse ka bekaabu nahi
24:45hai, sharafat nahi hai, deen nahi hai, waghara waghara, ye valid reasons hai, of course,
24:51lekin agar aisi saari cheezein nahi hai, toh please duniya, maal, status, sirf ye cheezein
24:57mat dikhiye, toh facilitate kijiye shadion ko, shadiyon ko aasaan banayiye, please, bahut
25:03aasaan banayiye, nabi karim alaihissalatus salam ne firmaaye, khairun nikahi aisa rooh,
25:07ke nikah mein sabse zyada khairwala nikah wo hota hai, toh sabse zyada aasaan hota hai,
25:13jismein rusumaat, jiske andar bila wajah ki, ki functions ye saare nahi hota hai, simple
25:19nikah ho, hijab kabool ho, masjid mein ho jaye, bahut hi acha, aur ladka waleema khila
25:25de, jitni uski istataat hai, as simple as that, inshaAllah ismein barkat aati hai, ismein
25:30khair aati hai, inshaAllah aise maushroon ke andar, fir barkat hai, khair hoti hai,
25:37gunahon se bachte hai log, Allah ta'ala humare maushroon ko bhi aisa banaye, ki uske andar
25:42sakoon ho, barkat ho, lekin uske liye zaruri hai, ki we go back to the basics, aur itna
25:48pyaar e usool jo humein diye kahein, usmein amal karein, please apne sawaalaat email karte
25:52rahiye, deenefitratat airbydigital.tv, par inshaAllah agli hafte aap se dubara mulaqat
25:57hogi, tawam yaad raqiqa, wa aqroo da'awana anil hamdu lillahi rabbil alameen, assalamu
26:02alaikum warahmatullahi wabarakatuh.

Recommended