• 2 days ago
Deen e Fitrat | Speaker: Shaykh Mufti Tauqeer

#DeeneFitrat #ShaykhMuftiTauqeer #ARYQtv

Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Transcript
00:00As-salamu alaykum wa rahmatullahi wa barakatuhu, alhamdulillahi wa kafa wa salamun ala ibadihi
00:14allatheena ustafa amma ba'an, fa abudu billahi minash shaitanir rajim, bismillahir rahmanir
00:19rahim, allahumma salli ala sayyidina wa nabiyyina muhammad wa ala aali sayyidina wa habibina
00:25muhammadin, wa barik wa sallim wa la hawla wa la quwwata illa billah.
00:56Iske baare mein humaari kuch kam ilmi reh jati hai ya phir shayat ilm toh hota hai lekin
01:04usme amal karne mein kuch kota hi reh jati hai. Toh aaj dil mein aaya ki uske baare mein
01:10baat ki jaye, ki Ramzan-ul-Mubarak khatm-e-maheen aa raha hai, yeh Allah ta'ala ne humko kyun
01:15diya hai. Iska maqsad jo hai wo Allah subhanahu wa ta'ala ne Surat-ul-Baqara ki ayat no.
01:21183-183 ke andar, bahut clarity ke saath bataayi hai baat, iska maqsad, ki Allah ta'ala ne
01:28firmaaya ki, ya ayyuhal lazeena aamanu, kutibu aalikumus siyam, ki ae imaan walo, ki wo log
01:34jo imaan laaye ho, hum Allah par imaan laate hain, Allah ke rasoolon par imaan laate hain,
01:39aakhri nabi sayyidina Muhammad sallallahu alaihi wa sallam par imaan laate hain, Quran par imaan
01:44laate hain, kitabon par imaan laate hain, akhirat ke zin par imaan laate hain, ta ae
01:49imaan walo, yaani jo Allah ko maante ho, jo Allah ke aakhri nabi ko maante ho, jo Quran
01:55ko maante ho, unse kitab hain, ki ae imaan walo, kutibu aalikumus siyam, tum par roze
02:02farz kiye gaye hain, kama kutibu aalal lazeena min qablikum, jaise tumse pehle logon par farz
02:09kiye gaye the, la'allakum tatta'akoon, taake tum taqwe wale ban jao, taake tum taqwe wale
02:17ban jao, maqsat-e-ramadan, maqsat-e-roza, taqwa, hum iske baara mein kahi tafa baat
02:27kar chuke hain is program ki andar, lekin chunke yaha par dubara se maqsat bataya jaa raha
02:33hai, tum hum ko apne aap ko remind karana hai, revise karana hai, ki taqwa hota kya
02:37hai, taqwa literally iska matlab hota hai kisi cheez se bachna, ya kisi cheez se rukhna,
02:45nabi kareem a.s.a.w. ne forma hai, ittaqul mahaarim, haram cheezon se bacho, qoo anfusakum
02:53wa ahlikum naara, quran mein hain, apne aap ko apne gharwalon ko jahannum ki aag se bachao,
02:59to taqwa bachne ko kahte hain, aur shariyat ki istila ki andar taqwa, har Allah ta'ala
03:08ki nafarmani se bachne ko kahte hain, aasaan alfaaz mein har guna se bachne ka naam taqwa
03:15hai, taqwa kisi ek ya do actions ka naam nahi hai, balke taqwa kisi action ka actually
03:21naam nahi hai, taqwa to kisi gunaon se bachne ka naam hai, Allah ta'ala ne hukam diya paanch
03:27faqee namaz pado, hum paanch faqee namaz pad kar namaz na padne ke guna se bachte hain,
03:35be taqwa ka hisa hai definitely, ramzan aa raha hai, Allah ka hukam ramzan mein roze
03:40rakho, hum roze rak kar roza naa rakhne ke guna se bachte hain, yeh bhi taqwa ka hisa
03:45hai, zakat dena yeh bhi taqwa ka hisa hai, haj karna yeh bhi taqwa ka hisa hai, lekin
03:50iske alawa jitne bhi guna hai, bad nazri, behiyai ki cheez dekhna, behiyai ki baat karna,
03:57chhoot se bachna, gheebat se bachna, hasad se bachna, keene se bachna, bughat se bachna,
04:03adawat se bachna, ill feelings dil mein hoon usse bachna, takabur se bachna, kisi ki tehkeer
04:11karne se bachna, apni sharamgaah ke gunaah se bachna, waghara waghara, in sab gunaahon
04:19se bachne ka naam taqwa hai, Allah ta'ala firma rahe hain, ki roze isliye farz kiye
04:26taake tum taqwa wale ban jao, taake tum gunaahon se ban jao, tumhare andar ki jo ek form hai,
04:33tumhare andar ki ek jo hayat-e-nafsaniya hai, tumhare andar ki ek internal form hai, wo
04:40aisi ho jaye, ki tumhare jisam ke aazaaz se guna saadir hi na ho, isliye roze farz kiye
04:50Acha taqwa ka ek generally ek aur maana bhi tarjuma mein likha jaata hai, ki Allah se
04:55darna, jo ki ghalat tarjuma nahi hai, kyunki asal mein umumi taur pe gunaahon se bacha jaata
05:02hai, Allah ta'ala ke dar se, ya Allah ta'ala ki azaab ke dar se, ya Allah ta'ala ki naaraaz
05:07gi ke dar se, isliye gunaahon se bacha jaata hai, ki Allah naaraaz na ho jaye, ya Allah
05:12na karein, ki Allah mujhe azaab na de de, umuman nafs gunaahon se isliye bachta hai,
05:19to Allah ka dar bhi theek tarjuma hai, lekin maqsood samajhna chahiye ki Allah ke dar se
05:26gunaahon se bachna, Allah ki nafarmani se bachne ko taqwa kahte hai, ab ab roze ki poori
05:35jo ramazan ka set up hai agar usko ab dekhiye, ki ramazan kya hai, pehli baat to labz-e-saum
05:41jisko arabi mein roze ko kahte hain saum, labz-e-saum jo hai uska matlab hai kisi cheez
05:47se rukna, kisi cheez se ruk jaana, to shariyat ki istila ke andar saum, roza, ek khas muddat
05:57ke dauran, ek khas waqt ke dauran, fajar ke start se lekar maghrib tak, khaane se,
06:04peene se, aur jo azdawaji taalukat hote hai, unse bachne ko roza kahte hai, ab dekhiye
06:14teeno ki teeno cheezein halal hai, shariyat ke andar jayaz hai, khaana jayaz hai, peena
06:20jayaz hai, aur azdawaji taalukat karna ye jayaz hai, of course jam khaane peene ke jayaz
06:25hone ki baat karte hain, to am baat karte hain halal khaane ki, tayyab khaane ki, halal
06:30peene ki, tayyab peene ki, na ke sharaab peene ki, na ke ghinzeer khaane ki, waghara, of
06:39course, wo to ek badi samjhwani, samjhwane wali baat hai, usse to koi hum uski tafseel
06:46mein nahi jaa rahe hain, lekin ye halal cheezein, khaana, peena, azdawaji taalukat, shohar
06:52kiwi ki aapas ki taalukat hain, ye saari halal hain, Allah ta'ala ne isse rok diya, isse hua
06:58kya, isse ye hua ki ye teeno insaan ki nafsani khaishaat hain, insaan ka jo andar nafs hain,
07:04ye uski badi ek natural khaishaat hain, har bande ko khaane ko dil chahata hai, peene
07:09ko dil chahata hai, jab baale ho jata hai to nikah ki khaish karta hai har insaan, to
07:14ye natural khaishaat hain, Allah ta'ala ne isse par ek check laga diya, ki dekho ye
07:21nafs ki khaishaat ko kuch arse tak kaabu mein rakho, ek mahine tak, iss waqt se lekar iss
07:28waqt tak isko kaabu mein rakhna hai, to asal mein nafs train ho raha hai, halal cheezeon
07:34se bachne par train ho raha hai, lekin baat yaha pe rokti nahi hai, roza tik to ho jata
07:42hai, ki agar insaan khaane se, peene se aur azdawaji talukaat se rukh gaya fajr ke shuru
07:48se lekar maghrib tak, lekin iske saath saath Nabi Karim A.S. ne ye bhi firmaaya ki gunaahon
07:54se bhi bachho, ek hadith-e-mubarakah ka mafoom kuch aisa hai, ki Nabi Karim A.S. ne firmaaya
08:01ki jo shaks haram kaamon se nahi rukhta roza mein, to Allah ta'ala ko iske bhooka pyaasa
08:08rehne se koi gharz nahi hai, yaani it's not about ke aap bhooka rehne aur pyaasa rehne,
08:15asal mein apne nafs ko kaabu mein rakhna hain maqsad tha, to zabaan kaabu mein rehne,
08:20keebat na ho, zara din chhoot na bole, koi ghalat cheeze na dekhe, nazar kaabu mein ho,
08:26behyaai ki koi cheeze na dekhe, behyaai ki koi baat na kare, kisi ka dil na dukhae, kisi
08:32tahqeer na kare, kisi ka mazaak na odhaaye, khayanat na kare, to ye roze ka integral
08:39part hai, isliye Nabi Karim A.S. ne yeh bhi firmaaya, ki kitne hi roze daar aise hain,
08:45chun ko din mein bhooka pyaasa rehne ke sewa kuch hasil nahi hota, aur raat ko jaagne mein,
08:53yaani jab insaan extra namazon ke liye jaagta hain, to raat ko neend ki kami ke ilawa kuch
09:01hasil nahi hota usko, kyun isliye kyun usne apne aap ko kaabu nahi kiya, usne gunaon se
09:07apne aap ko roka nahi, to asal mein yeh nafs ki training hai, poora mahina nafs ki training
09:16hai, ki insaan kis tariqah se apne nafs ko na sirf ke haram cheeze se, balke kuch halal
09:23cheeze se bhi rokta hai, yeh ek mujahad hai, ek exercise hai, jis se Allah subhanaw Taala
09:33humein guzaar rahe hai, aur iske saath saath Allah Taala ne ek environment bhi aisa bana
09:39diya hai, ki taqwa ka husool aasaan ho jata hai, guna insaan kyun karta hai, do wajuhaat
09:44se karta hai, ek insaan guna karta hai, shaitaan ke wasawaz ki wajah se, aur doosra insaan
09:50jo apne nafs ki khaishaat andar se ubarti hai, unki wajah se insaan guna karta hai, ab hadees
09:55mein aata hai ki, ramzaan ul mubarak ki andar jo rebellious shayateen hai, jo baaghi shayateen
10:01hai, unko qaid kar diya jata hai, diska matlab hai ki environment create kar diya gaya, ki
10:09insaan ko jo wasawaz shayateen daalte the, wo jo baaghi shayateen the, un wasawaz ki
10:15kamee ho jati hai, by the way shaitaan kuch bhi nahi karta hai, har insaan khud hi karta
10:21hai, jo bhi karta hai, shaitaan to sir waswasa daalta hai, to waswasa se kam ho gaye, lekin
10:26kuch fayda to hua, isi tariqa se nafs ko, jaise mene arz kiya hai, kaabu karne ki poora intizaam
10:31Allah Subhanaw Taala ne kiya hai, iske alawa jannat ke darwaze khol diya jaate hain, jahannum
10:37ke darwaze band kar diya jaate hain, jannat ke jab darwaze kholte hain, to unka uska asr
10:43zameen par hota hai, ek khair phelti hai, uske asraat aate hain, aur jab jahannum ke
10:49darwaze band hote hain, to uska bhi asr hota hai, ki jo jahannum ke asraat the, wo duniya
10:55mein kam ho gaye, aur farishte utarte hain, yaa baaghi al khair, aqbil, yaa baaghi al
11:02sharr, aqsir, ki hai khair ke chahane wale aage badho, hai burai ke chahane wale peeche
11:07wato, ruk chao, to farishte samjhe ki ilhaam karte hain, wo Allah Taala ki taraf se peghaam
11:17leke aate hain, farishte khud to kuch bhi nahi karte hain, farishte jo bhi karte hain, Allah
11:21Taala ki hukam se karte hain, to farishte aa ke ek announcement kar rahe hain, to ek,
11:26jisse kehte hain na ingrezi mein, there is a buzz in the air, ek environment create ho
11:33jata hai, ye Ramzanul Mubarak ka mahina hai, ek neki ka mahal ban jata hai, isliye to masjide
11:40bhar jati hain, isliye to wo log jo kabhi namaz badhne nahi aate hain, wo masjid aa jate hain,
11:46kyunki ek mahal bana hua hai, farishte ye jo ailaan karte hain, isse humare dilon par
11:52asar hota hai, to ye ek perfect mauka hai taqwa ke husool ke liye, ki insaan apne upar
12:01mehnat karein, environment perfect hai, lekin mehnat humari hai, lekin agar khudana khasta
12:08koi is mahina ko zaya karte hain, aur us mehnat ko na karein, to wo jaise Ramzan mein daakhil
12:14hota hai, waise hi nikal jata hai, iske liye mehnat to darkaar hain, ki insaan ek checklist
12:21banaye, ke mere andar kya kya khamiya hai, main jhoot bolta hu, mujhe ghussa bahut aata
12:26hai, kaabu nahi hai, mere sagheebat bahut hoti hai, bad nazri karta hu, mere sharamga
12:31kaabu mein nahi, mere dilon damaag kaabu mein nahi, mere jazbaat hain sahsaat kaabu mein
12:35nahi, ek list banaye, unhin sab par baqaida mehnat karein, har roz ke maine na aaj beja
12:41ghussa karna hai, control karein apne aapko, maine nazar kaabu karni hai, maine apne jazbaat
12:47kaabu karne hai, maine jhoot nahi bola aaj saara din, maine aaj saari namazin masjid
12:52mein jaake padhni hai, main mardon ke liye kehna hoon, main takbeer-e-oolah ka ihtimam
12:57karne ki koshis karunga, bhalke thodi zir pehle jaunga, sunnaton ke daayi karunga, tahiyyat-ul-masjid
13:02padhunga, waghara waghara, iska poora ek ihtimam karein, mujahada karein, aur phir monitor
13:12karein, aisa na ho ki hum saara ramzan hamara iftaar parties pe guzar jayein, usko iftaar
13:17pe bula rahein, usko iftaar pe bula rahein, parties ho rahi hain, na tarawi ki fikar,
13:22na maghrib jamaat mein padhni ki fikar, soba uthe toh sahi, sehri toh kar liye, lekin pe
13:28neend aa gayi, so gaye, na fajr jamaat mein padhni ki fikar, please, ek mehnat karni
13:33hai, yeh mehnat ka mahina hai, yeh bahut mehnat ka mahina hai, aur jaise jaise waqt guzarta
13:39tha, nabi karim alaihissalatu wassalam ki mehnat mein aur izafa hota chala jaata tha,
13:45aakhri das din mein, aakhri ashray mein, nabi karim alaihissalatu wassalam apne gharwalon
13:50ko firmaaya karte the, ki ab kya swana raat ko, aakhri das din rahein, mehnat karo, aur
13:56azwaaj mutaharaat firmaati hain ki nabi karim sallat salam jaise, urdu mein bhi kahte hain,
14:01apni kamar band lete the, apna izar kas lete the, yaani yeh kinaya hain, mushakat me izafa
14:08kar dete the, saara aakhri ashray itikaaf karte the, masjid ke andar waqt guzarte the,
14:15lailatul qadr ki talash karte the, yeh ramzaanul mubarak ka mahina, toh inshaAllah humne poori
14:22izda mehmat karein, mehnat karein, ki yeh ramzaanul mubarak humari zindagi kiya sabse
14:27behtreen ramzaanul mubarak ho, jo aaj tak taqwa ka husool nahi ho saka, inshaAllah
14:32ramzaanul mubarak mein hum ustaqwa ka husool ki koshish inshaAllah karenge, lekar uske liye
14:37bahot saari cheezein hain karnewali, uske liye tahiyya, irada, niyyat, duaon ka ihtimaam,
14:46Allah se dua maange, ya Allah iss ramzaan me tofeeq detejiye, namazon ko jaise mene
14:51arz ki, hum masjid me padein, takbeer-ul-ula ke saath padne ki koshish karein, saari namaze,
14:57tarawih ka ihtimaam karein, Quran ki tilawat keejiye, end to end ek dafah to kamaskam tilawat karein,
15:04kamaskam ek dafah tarawih mein Quran ko sunne ki niyyat karein, zabaan, nazar, dilo, damaag,
15:11sharam ka kabu karein, logon ke saath accha sulug karein, zurur logon ko iftaar karayin,
15:16usmein sawab hain, definitely, lekin let's not waste time in iftaar parties, aisa log
15:21iftaar parties mein waqt zaye karein, bila waja, uske andar gossiping ho rahi hain,
15:25waqt zaye ho rahi hain, logon ko iftaar bheji, logon ko roza khulwayein, usmein ajar milta hai,
15:31jis rozedar ko iftaar karaya jaye, uske roze ka ajar bhi iss shaks ko milta hai jo iftaar
15:36karaye, uske roze ke ajar mein koi kamee waqe nahi hoti hai, isko additional milta hai,
15:42zurur karayi hain, lekin time nahi waste karenge Inshallah, poori himmat karenge,
15:47Inshallah main bhi niyat karta hoon, aap log bhi niyat karein, ki Ramzan-e-Mubarak Allah karein,
15:51ki humari zindagi ka sabse behtri Ramzan hoon, pata nahi kitne Ramzan baaki rahi gaye hain,
15:56kab zindagi khatam ho jayegi, kab Allah ta'ala mein wapas bula lenge, ye bhi nahi pata iss Ramzan
16:01dek pohuchte hain, nahi pohuchte hain, dua toh karte hain, ki Allah ta'ala iss Ramzan
16:05ki barkat-e-ataa farmayein, lekin agla saal kisne dekha hai, so let's take it as if it's
16:10our last Ramadan, jaise ki humaar aakhri Ramzan hain, Inshallah meenat karenge,
16:14aur Allah se dua e ka Allah kabool bhi karenge, Inshallah, ek choti se break lete hain,
16:18aapke sawalon ke saath hazir hote hain.
16:19Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu, welcome back, break ke baad aapke sawalon ke
16:23saath hazir hain, Inshallah Ramzan-e-Mubarak mein koshish karenge ki unhi sawalon ke jawab
16:29diye jayein jo ki roze se mutaalik hain. Ek bada common frequently asked question,
16:36wo yeh hota hai ki jib fajr ki azaan ho rahi ho, to us waqt khaan-e-beena ka kya hukam hain.
16:42Allah ta'ala ne Quran ke andar firmaaya, ki kulu wa sharabu hatta ye tabayyana lakum
16:50al-qaytul abyadu min al-qaytul aswadi min al-fajr, thumma a'timmu siyama ilal-layl,
16:55ila aakhri al-aaya. Ki tum khaa pee sakte ho, ya khao pee yo, yahan tak ki fajr ki
17:03jo safayt dhaari hain, ya subah ki jo safayt dhaari hain, wo raat ki siyah dhaari se paazay
17:09na ho jaye, alag na ho jaye. To basically, wo zamane mein toh na clocks the, nabi kareem
17:15a.s. ke zamane mein na clocks the, na timings the, toh wo log fajr ka andaza karte the,
17:21jo ufuk hai, horizon hai, us par jab pehle raat mein andhera hota hai bilkul, aur jab
17:29fajr hoti hai toh uske, bilkul across the horizon, ufuk ke saath saadik, safayt dhaari
17:34aati, toh yeh fajr ke start ka time hota hai. Ki yeh Allah ta'ala firma rahe hain,
17:39ki jaise hi fajr ka waqt shuru ho jaye, us waqt khaana peena rok do, aur phir saara din
17:45roza mukamal karo, ilal-layl, maghrib tak, raat tak, yaani maghrib tak. Toh fajr ka
17:51jaise hi waqt shuru ho jaata hai, Allah subhanahu wa ta'ala ne firmaya ki khaana peena
17:57rok do. Fajr ki toh azaan hoti hai, wo fajr ka waqt shuru hone ke baad hoti hai, aur
18:05azaan ka maqsad, logon ko namaz ke liye bulana hai, masjid mein logon ko namaz ke liye bulana
18:12hai, hayya alas salah, hayya al-infalah, namaz ke liye aao, kamiyabi ki taraf aao.
18:17Toh Allah ta'ala ki taraf se jaise nida aati hai, muazzin azaan deta hai, ki masjid
18:22mein aao, azaan ka maqsad kisi waqt ka batana nahi hota, generally speaking.
18:28Yeh aur baat hai, ki Ramzan-ul-Mubarak mein khas taur pe, India Pakistan ki alaako
18:37mein, subcontinent ki baat kar raho, generally azaan bilkul fajr ka waqt shuru hote hi
18:44dedhi jaati hai, Arab mubaligh ke andar, throughout the year, saara saal hi yeh
18:48tarteeb hoti hai, ki jaise waqt shuru hota hai, saath hi azaan dee jaati hai, lekin yeh
18:53cheez yaad rakhni chahiye, ki azaan ka maqsad, asal mein logon ko namaz ke liye bulana hai.
18:58Wo coincide kar jaati hai, us waqt ke saath jab namaz ka waqt shuru hota hai, toh yeh
19:04achi baat hai, lekin agar ho toh achi baat hai, na bhi ho toh koi masla nahi hai, isliye
19:11kyun ki uska maqsad time ki announcement nahi hoti hai. Toh phir doara arz karoon ki
19:17fajr ki azaan jo hoti hai, wo namaz ka waqt shuru ho jane ke baad hoti hai. Toh jab Allah
19:24Taala firma rahe hai, ki jab fajr ka waqt shuru ho jaye, toh khaana peena rok do, toh
19:29jab fajr ka waqt shuru hone ke baad azaan ho rahi ho, toh azaan ke waqt me khaana peena
19:34isse toh roza nahi hota hai. Kuch log is hadees ka hawala dete hai, ki nabi karim
19:39alaihi salatu wasalam ne firma hai, ki jab agar tum fajr ki azaan sun lo, toh jo haat
19:44mein agar hai kuch, toh usko kha lo ya moon mein paani waghara hai, toh usko peelo mein
19:49sirf uska mafoom biyaan kar roon, aise hi mafoom hai, toh uska hawala dete hai. Dekh
19:54hai, do baate yaad rakhne ki baat hai. Pehli baat, ki nabi karim alaihi salatu wasalam
19:59ke zamane mein, fajr ka waqt shuru hote hi azaan ho jati thi, toh aur wo approximations
20:06ke saath hoti thi, ki dekha aur bahut perfect approximations thi, aisa nahi hai ki vague
20:13approximations thi, bahut perfect approximations hoti thi, maqaida unko is cheez ki expertise
20:19thi, ki jaise hi ufuk par ek safayt dhaari unko dekhi, toh unko pata chal gaya fajr ka
20:23waqt shuru ho gaya, saad hi azaan deti. Toh moon mein andar koi cheez hai, toh usko kha
20:27lo, yeh nahi ki abhi plate mein pada hai, toh usko khaate ro, yeh toh Allah-e-Rasool
20:31nahi firma rahe hai, haath mein kuch hai, moon mein kuch hai, toh usko foran nigal lo
20:36yaani, is cheez ki ijazat thi, yeh toh qataar nahi kaha ki haan uske baad sehri kar lo.
20:42Number one. Number two, ab toh bahut perfection ke saath humare paas timings hai. Right?
20:49Ab toh bahut perfection ke saath humare paas timings bhojoot hai. Yeh jitne bhi humare
20:54paas calendars hote hai, yeh toh bahut perfection ke saath, scientific calculations ke saath,
20:59us jaga ke timings humare paas bhojoot hote hai. Toh approximations koi nahi hai.
21:05Toh, toh theek hai, chalein koi kisi aatmi ne, agar, chalein, misaal letein ki kisi muazzin
21:11ne, jaise hi waqt shuru hua, misaal ka taur pe 5 bach kar 45 minute pe fajr ka waqt shuru
21:17ho gaya, aur usne 5 bach kar 45 minute par hi azaan deti. Toh moon mein agar kisi koi
21:21kuch hai, haath mein kuch hai, usne usko nigal liya, toh hum uski bhi naqeer nahi karte
21:25hai, is hadees ki roshni ke base pe. Lekin, what if, ki us muazzin ne, ek minute baad
21:31azaan di, usne toh koi ghalat nahi kiya, usne toh namaz ke liye bulana tha na, toh toh
21:37khud hi apni tyari kar raha tha, khud hi wo miswaak kar raha tha shahid, khud hi apne
21:41tooth brush kar raha tha, apni tyari kar raha tha, toh 5 45 pe agar fajr ka waqt shuru
21:46ho gaya tha, toh wo 5 46 pe usne azaan di, misaal ka taur pe. Wo toh already ek minute
21:50baad dera hai, kyunko usne baad mein hi deni hai, toh ab, waqt toh ek minute pehle shuru
21:56ho chuka, wo sakta hai, Allah karein main aapko samjha para hoon, main kya keh raha
22:01chaha hoon, ke waqt toh shuru hua ek minute ho gaya, aur ab usne azaan di, toh ab agar
22:08khai peenge toh ab kaise roza hoga, agar toh bilkul usi waqt mein, jaise hi fajr ka waqt
22:15shuru hua, aur saath hi usi second usne azaan deni shuru kar di, aur kisi ke moon mein kuch
22:20hai, kisi ke haath mein kuch hai, foran hi usko nikal liya usne, toh jaise mene arz kiya
22:24uski hum naqeer nahi karenge ais hadith ki roshni mein, lekin agar kisi ne azaan hi tha
22:29akhir se di, aur kayi tafa toh aisa hota hai ki, erd kar teen masajid hai, ek ne azaan
22:34ek minute baad di, ek ne do minute baad di, ek ne teen minute baad di, toh kisi ki azaan
22:38ka itibaar karenge, aur wo sari ki sari, roza ka waqt shuru hone ke baad, fajr ka waqt
22:44shuru hone ke baad di jaa rahi hai, ek minute, do minute, teen minute, teen minute baad, toh
22:48kya hum unki azaan ho pe khai peenge, toh mukhtasar ye hai, khulasa ye hai, ke dekhe fajr ka azaan
22:55ke waqt, aaj kal, khaas taur pe, jo ke, hon sakta kayi ek aad, ek do minute baad di jaye,
23:02us waqt khaana peene se roza nahi hota, humein ithiyaat karni chahiye, humein khaana peena,
23:07humar paas toh calendars hain, jaise mene arz kiya, hum un calendars ko dekhte hue, apna
23:12peena, fajr ka waqt shuru hone se pehle khatam karte hain, balki arab mubalag ke indar toh
23:19ek aur bhi, unne, ek time ka ilan kiya hota hai, kuch mubalag mein, maine dekha hai, khaliji
23:24mubalag mein, ke wo kahte hain ki ye imsaak ka waqt hai, wo generally fajr ka waqt shuru
23:29hone se, das minute pehle ka waqt hota hai, imsaak ka matlab hi hota hai, rukh jaana,
23:33yaani wo kahte hain, khaane peene se rukh jao, das minute pehle rukh jao, aur wo isliye
23:37unhone diya hota hai ki kahin, ghalati se bhi, aisa na ho ki khaate khaate tum, fajr
23:44ke waqt ke andar daakhal ho jao, aur aisa na ho ki tumhara roza na ho, toh das minute
23:47pehle hi rukh do, ye sirf ihtiyaat ke taqazi ke taht hai toh kehte hain, aur da koi kha
23:52le, fajr ke waqt se pehle pehle, toh uska roza ho jaata hai, lekin main toh sirf bata
23:57raho ho ki kitni ihtiyaat ki jaati hai, ya khaliji mubalag ke andar, ya kuch arab mubalag
24:01ke andar, aur kuch aur jagah bhi main, south africa mein, southern africa mein bhi, jahan
24:06musliman jagah hain, udhar bhi main ye cheez ka itimaam hote dekha hai, bahut achi cheez
24:11hai ye, toh please, fajr ka waqt jab shuru ho jaayen, toh khaana peena nahi chahiye,
24:18azaan baad mein hoti hain, azaan ke waqt khaana peena nahi chahiye, usse roza nahi hota hai,
24:23please iske baare mein ihtiyaat kijiye, please us hadees ko samajhne ki koshish kijiye, wo
24:28bilkul fajr ka waqt shuru hote hi azaan di jaati thi, toh wo bhi Allah ka rasool firma
24:33rahe hain, sallallahu alaihi wasallam jo khaarein usko bas nikal lo, aisa na ho, matlab usme
24:38jo ke la haraj hain, din mein haraj nahi hain, toh haraj ko rokne ke liye Allah ka rasool
24:43sallallahu alaihi wasallam firma rahe hain, ye baad aisa na ho, ki udhar azaan ho rahi
24:46hain, aur hum plate se utha utha ke khaarein, aur agar wo ul tahkheer se azaan hai, tab
24:50toh bilkul hi roza nahi hoga, even time pe bhi hain, toh baad mein ek action bana chahiye,
24:57ek action bana ke usko khaana, ye bilkul theek nahi hain, mooh mein cheez hain, wo
25:02nikal gayi, toh uske andar phir bhi koi gunjaish nikalti hain, toh Allah ta'ala sabko taufiq
25:07ataa firma hain, is baad ko samajhne ki ye bahut ahim sawal kiya gaya hain, aur isko
25:11samajhna chahiye, ek ghalat-ul-aam cheez hain, aur bahut sare log iske andar, is ghalati
25:17mein pada hua hain, ke wo fajr ki azaan ho rahi hain, aur wo khaa pee rahein, toh
25:22iska ihtimam karein, isme ihtiyaat karein, hum roza rakh rahein Allah ke liye, toh hum
25:28poora koshish karein, ke jis tariqat se Allah ta'ala ne hukam diya hain, fajr se lekar
25:33maghrib tak, hum khaane peene se, ek zinaab ka rukne ka ihtimam karein, Allah ke liye.
25:40Ek do minute zyada nahi khaayenge, toh usse kuch farak bhi nahi padega, das minute pehle
25:46bhi rokh lenge, toh agar roza hamara das minute lamba ho jayega, toh usse kya farak
25:50pad jayega, toh ihtiyaat acchi hain, isi tariqat se maghrib ka waqt shuru ho jaye,
25:56sun set ho jaye, phir khaaye pee hain, aisa na ho ke maghrib ka waqt shuru hone se pehle
26:02hi kisi ne khaa pee liya, uska bhi roza toot jayata hain, toh please isti iska ihtimam
26:06karein, toh Quran ke andar yeh ayat hain, bahut sari, clear ayat hain, iske andar koi
26:11ambiguity nahi hain, please iska, is hukam ka khayal karein, aur apne rozo ko theek
26:16banayain, Allah taala ham sab ko behtreen roza rakhne ki tawfiq ataa farmayain, aur
26:20hume wo taqwa naseeb farmayin, jiska hukam Allah subhanaw taala ne hamko diya hain, ki
26:26roza isliye farz kiye gaye hain, taake tum taqwa wale ban jao, inshaAllah agli haft
26:31pe phir hazir honge, apne sawalat pe email kar sakte hain, deenfitrat at airwaydigital.tv
26:37par, duaa me yaad rakhega, khas taur pe apni Ramzan ki duaa me duroor yaad rakhega,
26:43wa akhrur daamana anil hamdulillahi rabbil alameen, as-salamu alaykum wa rahmatullahi
26:48wa barakatuh.

Recommended