Skip to playerSkip to main contentSkip to footer
  • 3/19/2025

"Watch Shan e Ramazan Special Transmission with Waseem Badami. Do Subscribe!"
➡️ https://bit.ly/arydigitalyt

#quranaurscience #waseembadami #Allahoakbar

25 crore Saal Pehle, Dil Dehla Dene Wala Sacha Waqiya 😱 | Quran aur Science | Waseem Badami | 19 March 2025 | #shaneiftar #shaneramazan

A helpful segment for our audience which focuses on Islamic history and Today's Science and its teachings.

#Ramazan2025 #RamazanMubarak #shaneramazan

Music by Calm Islam Music

Category

😹
Fun
Transcript
00:00Bismillah hir rahman nir raheem, alhamdulillah hir rabbil alameen, alameen ki hamd, alameen
00:25ki sana, sari tarifein, usi ke liye hain, hum ne kal arz kiya tha, Karachi mein ek khabar
00:34hum sab ne dekhi, ek manzar sab ne dekha, jinnone directly ne dekha, unhone news channels
00:40pe dekha, ki Karachi mein Shahab-e-Saqib ka ek nazara dekha gaya, hum ne kal aapki khidmat
00:44mein arz kiya tha, ki Shahab-e-Saqib yeh hota kya hai, Quran mein lafz hai Shahab-e-Saqib,
00:49to jab Shahab-e-Saqib humne nazar aa raha hota hai, to asal mein behind the scene ho
00:54kya raha hota hai, Quran is baare mein kya kahta hai, Islam is baare mein kya kahta hai,
00:59science is baare mein kya kahta hai, wo sari tafseerat humne aapki khidmat mein kal arz
01:02kiya tha, aur ek jumla yeh bhi arz kiya tha, ki Allah taala ne humare zameen ki girk aisi
01:06ek protective layer manaya hui hai, ki karoonon Shahab-e-Saqib ya pathir ya chatane zameen
01:12ki taraf aa rahe hota hai, Allah ne system aisa manaya hua hai, ki wo sare ke sare zameen
01:16ki sata par aayi nahi sakte hai, wahin pe khatam ho jate hai, jo hume aasman pe ek tootthawa
01:20sitara nazar aata hai, zameen ki sata par aayi nahi paate hai, lekin, lekin, agar Allah
01:28taala chahe aur agar yeh chatane a jaye zameen tak, yeh upar hawa mein aise na takra ke khatam
01:35ho jaye, to kya ho, kabhi agar koi haadsa ho jaye, kabhi bahukm-e-Khuda istara ka koi
01:43maamla ho jaye, to kya ho, yeh aapki khidmat mein arz karte hain, aur aisa ho chuka hai
01:49ek martaba, ho gari, aisa ho chuka hai ek martaba, aap yeh suniye, ki yeh kya waqia
01:54tha, iski nateeje mein kitni tabahi aayi thi, kitna bada pathar takra aaya tha zameen se,
01:59hua kya tha, yeh sune aur dil aur dimaag se kahte jale jaye, Allah-o-Akbar.
02:13Ab yeh waqia hai, yeh waqia hai aaj se takriban 25 crore saal pehle ka, yeh haqeeqi daasthan
02:28hai, haqeeqi baat hai, yeh koi filmi kahaani nahi hai, filmi daasthan nahi hai, tamam
02:33saindhanon ka ispar ittifaq hai, Shahab-e-Saqib humne kal bhi arz kiya tha, bohot chote chote
02:37pathar bhi hote hain, bohot badi badi chatane bhi hote hain, astroids bhi hote hain, nahi
02:43takraate hain, agar kabhi, yaani qayamat bhi yahi hai na, ek nizam ke tahe saara muamla
02:48chal raha hai, soorat, chaan, sitaar hai, lekin kya hoga, Allah-ta'ala chahega uski
02:53marzi se yeh nizam muntashir ho jayega saara, aur qayamat hogi, wo hadsa hoga, to agar kabhi
02:59Allah chahe, to kya ho, aur kitni badi nimat hai ki Allah-an-ama aise hadsaat se mehfooz
03:04rakha hua hai, yeh sab aapki khidmat mein arz karte hain, suniye, ek haqiqi waqia, zameen
03:10ki tabahi ka, waqia hai, aaj se 25 crore saal pehle ka, zameen par ek bohot azeem makhloog
03:18rehti thi, insaanon ka to wujud nahi jo us andaas se, deo qayamat makhloog rehti thi
03:25yeh zameen par isse dinosaur kahte hain, ek ajeeb haibat thi is makhloog ki, ajeeb ul
03:37khilqat makhloog thi hai, latini zamaan ka lafz hai dinosaur, jiska matlab hai, khaaf
03:45naak hattak azeem chhipkali, chhipkali ka concept humare dewaagon mein toh kuch aur
03:50hai, dinosaur latini zamaan ka lafz hai, lekin aap dinosaur ki baat kyu kar raha hain, abhi
04:23kya hua, ek jo haati hai, uska average wazan 4 se 5 tonne hota hai, toh yeh kitne haati
04:30ho gaye, satra, satra haati mila kar ek bada dinosaur banate the, ek tarah itne hairatangez
04:44dinosaur, itne bade dinosaur, doosri tarah itne chote dinosaur bhi the jinka wazan ek
04:50kilo gram bhi nahi hota tha, grams bhi hota tha unka wazan, dinosaur mein se kuch gosht
04:56khor hote the, kuch khoon khaar hote the, kuch sabzi khor hote the, aapko shayaz sunke
05:03hairat ho, yeh dinosaurs ande dete the, inke andon ke fossils bhi tariaft hua hain, takriban
05:10130 iksaam par mushtamil, jinka wazan 220 kilo ke barabar, kuch dinosaurs aise the ke
05:18jinka jo paron ka phailao hai, paron ka phailao, wo 25 se 30 feet tak hota tha, 25 se 30 feet
05:25tak, paron ka phailao hota tha, yeh wo daur tha jab zameen par oxygen aaj ke muqabala
05:35mein bohot zyada thi, 50% zyada thi aaj ke muqabala mein zameen par oxygen, tarakhton
05:42aur jaanwaron ke azeem ul jussa hone ke peche is oxygen ka bhi bada kirdaar tha, dinosaurs
05:47ki uchayi hoti thi kuch ki 55 feet, darakhton ki uchayi 150 liters, ab aap zyada sochein,
05:56chashme tasabur mein sochein, aaj se sade, ab yeh to hogayi sari ki sari baat, ab hum
06:02waqia bayan karte hain, waqia hain aaj se sade 6 crore saal pahle ka, sade 6 crore saal
06:07pahle ka, dinosaurs toh maujood the 25 crore saal pahle, waqia hain sade 6 crore saal pahle
06:13ka, duniya mein maujooda oxygen se 50% zyada oxygen hain, har taraf haryali hain, kheth
06:22sabzon shadab hain, aasman aise parendon se bhara hua hain, jo goya chote chote jahaazon
06:28ki maanind hain, zameen par azeem ushaan chhikali nuva jaanwaron ki hukumrani hain, samandar
06:36wale machliyon ki maanind azeem magar machon se bhari hui hain, har taraf fitrat ki hukumrani
06:44hain, aur insaan bhi nahi tha us doar mein, pollution bhi nahi hain, ab yahan se waqia
06:50shuru hota hain, zameen ka yeh manzar hain, zameen me haryali hain, zameen me oxygen ki
06:55bohtaat hain, zameen me dinosaurs ki bohtaat hain, zameen ka ek ajab aalam hain, yeh zameen
07:01par insaan ka wujood nahi hain, sab kuch aaj se mukhtalib hain, phir aachanak ek din
07:06aaya, is aachanak mein sab kuch, aachanak ek din aaya, jab aasmaan se 10 se 15 km, abhi
07:12toh am chhote shahab-e-saqib ki baat kar rahe hain na, ek din aaya, jab aasmaan se 10 se
07:1715 km badi chataan, zameen ke madar mein daakhil hoti hain, aapko yaad rahein, 10 se 15 km
07:25chataan ka matlab kya hain, zameen par jo sabse ucha structure hain, jo ki Mount Everest
07:30hain, wo 10 km se kam hain, yaani ki Mount Everest se bada ek pahaar, zameen ki jaane
07:39bada hain, 150 km phir second ki raftaar se, alag-alag chakon par alag-alag raftaar aayi
07:44hain, intihai tez raftaari se, kam se kam bhi 40 se 50 km phir second ki raftaar se,
07:50yeh pahaar, jo ki Mount Everest se bada hain, yeh zameen ke madar mein daakhil hona shuru
07:54hua hain, intihai tez raftaar se, aur madar ki shadid sakal ki wajah se, yeh shahab-e-saqib,
08:02ab aag ka dekhta hua, ek azeem gola ban gaya hain, azeem gole ki baanin, zameen ki jaane
08:09bada hain, koi tasabur nahi kar sakta tha, 3.5 arab saal se pur sukoon thi zameen, ki
08:15iska muqaddar, is zameen ka muqaddar, chand lamho baad badal jaane wala hain, kisi ko
08:20nahi maalod, yaha tak ke wo azeem pahaar numa chataan, America ke padosi mul, Mexico
08:28ke sahil ke kareeb aati hain, zameen ke kareeb aana hai shahab-e-saqib, sab manzar yeh dekh
08:33rahein, zameen se kareeb aati ja rahein, zameen par yeh chataan apne saath qiyamat la rahein,
08:39aista aista poori zameen, iske takraon ka shikar hone ja rahein, yaha tak ke tasadum
08:46hota hai aur yeh shahab-e-saqib zameen se takra jaata hai, zameen ka manzar badal gaya
08:58hai, yeh jo waqia hua tha, yeh jo manzar aapne dekha yeh kehne ko manzar aaya aur gaya, lekin
09:08ab iske baad yeh zameen wo zameen nahi rahein, yeh dinosaur wo dinosaur nahi rahein, ab
09:13maud ka raaj hai yaha par, ab aakhri saase le rahi hai khayat, ab kya hua, ab yeh takraon
09:19ho gaya, ab is takraon ke after effect suniye aur phir kahiyega Allahu Akbar, phir kahiyega
09:24Subhanallah, phir kahiyega fa-be-ayye-a-la-o-ir-ab-be-kum-a-tuk-a-zibaan-ke-baar-e-la-ha, agar tu
09:30istara zameen par yeh protective layer na ho aur istara har waqt zameen se istarika se
09:35cheezein takraana shuru ho jayein, to hamara hoga kya, suniye saadeh 6 crore saal pehle
09:39kya hua, yeh waqia hua, ab zameen par shadeed tareen aag lag gayi, zameen par gardo ghubar
09:45ka toofaan aa gaya, zameen par ek azeem tareen toofaan aa gaya, usse poori zameen ka gardo
09:51ghubar aur shadeed dabaw, poori sathe zameen par aisa phail gaya, ke jaha jaha se wo guzarta
09:58chala gaya, waha waha maud bikherta chala gaya, 25 kilogram, yaani goya ek choti si
10:04bakri ke maanin jaanwaron ko chod kar, zameen par jitne bade jaanwar the, sab ke sab us
10:13dabaw se zameen bhos hote chale gaye, saath hi waqt ke saath saath aasmaan par uthne wala
10:19gardo ghubar, dinosaurs bhaag rahe hain, koi yaha bhaagta hai zindagi ke liye, koi waha
10:27bhaagta hai, kisi ko amaan nahi hai, zameen par maujood hayat ka ek bada hissa, jo kuch
10:34jaandar the unka bada hissa marta chala gaya, ek aag hai zameen par, zameen par ek ajam
10:41aalam hai, zameen par aag hai, samandharon par tugyani hai, tsunami hai, zalzale hai,
10:46sab kuch hai, yaani aap yeh samat dijiye, ki iska asar kitna zyada tha, aatmi dhamake
10:53is raftaar se aaya zameen ki tarah, aatmi dhamaka multiply by millions, lakhon aatmi
11:00dhamake hoon, toh jo nuksaan hoga wo iss se hua, ab saath me kya hua, saath me yeh hua
11:13ke zameen par ab gardo ghubar hai, zameen par raak ke badal chha gaye hai, jino ne badalon
11:19ki maanin zameen ko aisa gher liya hai, ghubar aur raak ke badal zameen par itne zyada hai,
11:27ke ab zameen par sooraj ki roshni sahi sahi nahi pohach paari, ek hi din me 20 crore saal
11:33se zameen par basne wali makhlooh, dinosaurs ka hamesha hamesha ke liye khatwa ho gaya,
11:45jo hum dekhte hai wo inki baqiyaat hai, magar mach aur kuch parindo ki nasal hai,
11:50jo apna ajam kar karte maujooda halaat par pohach gaye hai, zameen me andhera, zameen
12:00me tughyani, zameen me zalzala, zameen me sunami, zameen me tufaan, ek takrao se,
12:11ek takrao se zameen me sab kuch ho gaya, aur tamaam science zaanon ka is baat par maan
12:16na hai ki ye aisa hi hua hai, sab ka is par ittifaq hai ki aisa hi hua hai, agar kisi ko
12:20hairat hoti ho, ki pichli aqwaam me anbiya aaye the jab toh azaab aaya tha, ek awaaz
12:26se poori qaum tabha ho gayi, pattharon ki baaris se poori, bhai ye toh scientifically
12:31proven fact hai, hume toh waise pe kisi science ki zarurat nahi apne imaan ko badhana ke liye,
12:36dekin ye toh scientifically proven fact hai ki ye hua hai, surah mul ki aayat suniye hai,
12:41jiska tarjuma mai aapki khidmat mein pesh karta hoon, bismillahir rahmanir rahim,
12:45kya tum, kya tum isse be khawf ho, kya tum isse be khawf ho, ki wo jo aasmaan mein hai,
12:52wo jo aasmaan mein hai, tumhe zameen mein dhasa de, aur yaka yaka ye zameen jhakole
12:58khaane lage, hijkole khaane lage, kya tum isse be khawf ho, ki wo jo aasmaan mein hai,
13:04tum par pathrao karne wali hawa bhej de, phir tumhe maalum ho jayega, ki meri tambeeh kaisi hoti hai.
13:11Quran ki aayat hai, jo aaj saabit hoti chali jaa rahi hai,
13:161400 saal pehle Sarkar-e-Dawalam, Sallallahu alaihi wa sallam ne jo kuch kaha,
13:21Quran-e-Kareem Allah Taala ne jo likha, wo aaj saabit hota chala jaa raha hai,
13:27toh bas, jo mujhe aapko har lamhe, iss dars ki museewat se bacha raha hai,
13:36wo hi khuda hai, jo har lamhe millions shahab-e-saqib zameen ki tarah barsa raha hai,
13:43wo hi khuda hai, lekin phir, wo hi shahabiye, ya jo bhi keh lijiye, unko alag alag terminologies de dijiye,
13:51wo apni masniyat ke tehd chaan se takra raha hai, wo hi khuda hai,
13:56chunke chaan ki toh phaza hi nahi, atmosphere hi nahi, chaan se takra jaate hain,
14:00chaan se takra raha hai, lekin zameen me ek protective layer bana kar,
14:04zameen ko in hamlo se bacha raha hai, wo hi khuda hai.
14:09Wo hi toh hai, jo nizam-e-hasti chala raha hai, wo hi khuda hai,
14:23aakhri baad, yeh zameen par ek dafa, zameen ke ek hisse se ek chataan takra gai,
14:32toh yeh aalam tha, nai malum qayamat ki din,
14:37jis ke baare mein kaha gaya, ki soorat sawan-e-zeh par,
14:40soorat chaan se takra jaayega, jangli jaanwar ikhatte kar diya jaayenge,
14:44daryaon me aag laga, nai malum qayamat,
14:47jab zameen ke andar jo kuch hai, jo kuch hai,
14:52wo bahar a jaayega, yeh ek patthar ek jagah par takra yaaye,
14:56toh zalzala a gaya, nai malum ki wo din,
14:59jis ke baare mein kaha gaya,
15:00idhaa zulzilatil arzo zilzaalaha, wo akrajatil arzo asqaalaha,
15:05wo qaalal insaanu maalaha,
15:07insaan kahega, is zameen ko kya ho gaya hai,
15:09yawma izin tahaddisu akhbaaraha,
15:12khabar deet ho gayi thi is zin ke baare mein,
15:15Allah ta'ala hum sab ko rooze-e-mahshir ki sakhtiyon se mahfooz rakhe hain,
15:20kal phir aazir hote hain Inshallah.
15:30Allah ta'ala hum sab ko rooze-e-mahshir ki sakhtiyon se mahfooz rakhe hain.

Recommended