• 3 months ago
Nazar Ya! ke saath aaj hum seekhenge Midjourney ke baare mein - ek aisa AI tool jo aapke ideas ko khoobsurat art mein badalta hai. Step-by-step guide mein sikhenge kaise Discord par Midjourney use karein, apne prompts ko aur bhi effective banayein, aur creative possibilities ko explore karein. Aapne kaunsa prompt try kiya? Comments mein batayein!
Transcript
00:00Hi guys, nazariya ki nagariya mein aapka swagat hai.
00:09Humare nai segment May I AI mein aaj hum baat karenge Midjourney ki.
00:14Yeh AI tool aapke ideas ko stunning visuals mein convert karta hai.
00:19Toh chaliye shuru karte hai iski kahaani aur jaante hain kaise aap isse use kar sakte
00:24hai.
00:26Midjourney ek AI powered tool hai.
00:29Yeh text prompt ko artworks mein badalta hai.
00:32Aap bas apne ideas ko type karo aur Midjourney unhe realistic images mein badal deta hai.
00:38AI aur machine learning ka use karke yeh tool creativity ke nai dimensions kholta hai.
00:46Midjourney use karne ke liye aapko Discord chahiye.
00:51Apne browser pe jaake Discord ki website khule aur apne OS ke hissaab se isse download
00:56kar le.
00:57Installation complete hone ke baad apna account banaye ya login karein.
01:01Discord pe login karne ke baad Midjourney ki website pr jaaye.
01:05Us par join the beta button pe click karein.
01:08Jo aapko Discord server pe redirect karega.
01:11Midjourney ke official Discord server pe join karein.
01:14Aur fir Midjourney ke bot ko apne server mein invite karein.
01:18Server pe kisi bhi channel mein jaake backslash imagine type karke apna prompt likhe.
01:23Midjourney aapke prompt ko image mein convert kardega.
01:30Brands Midjourney ka use karke unique visuals create kar sakte hain.
01:33Jo unke product aur services ko highlight karega.
01:36Content creators aur bloggers high quality images generate kar sakte hain.
01:40Apne blog posts, social media updates aur YouTube thumbnails ke liye.
01:45Graphic designers apne projects ke liye creative ideas bhi generate kar sakte hain.
01:49Educators apne presentations aur training materials ko enhance karne ke liye visuals create kar sakte hain.
01:55Aur film makers aur game developers apne projects ke liye concept art aur storyboards create kar sakte hain.
02:02To guys Midjourney aapki creativity ko nai udaan de sakta hain.
02:06Experiment karein, explore karein aur apne creative project ko nai level pr liye aaye.
02:12Ab baat karte hain kuch tips ki jo aapke prompts ko aur effective banayenge.
02:17Specific prompts likhe.
02:19Clear aur detailed prompts se AI ko aapka idea samajhne mein help hogi.
02:23Jaise agar aapko ek sunset scene chahiye to beautiful sunset over a calm ocean with vibrant colours likhe.
02:32Style aur mood bhi specify kare.
02:34Apne artwork ka style aur mood specify karna zaruri hai.
02:38Jaise a surreal dream like forest.
02:42Ya a futuristic city in cyberpunk style.
02:47Ye cheezein aapke artwork ko unique banayegi.
02:50Experiment karein aur variations try karein.
02:53Ek hi prompt ko thoda modify karke different results dekhe.
02:57Midjourney aapko multiple variations provide karta hain.
03:01To unhe explore karein aur best fit chose kariye.
03:05Aur agar aapke paas koi reference image hain to usse bhi prompt mein uska image address dal kar include karein.
03:11Ye AI ko clear guidance dega aur result bhi accurate hoga.
03:19To guys ye tha Midjourney ka quick guide.
03:22Apne ideas ko artworks mein badalne ka ye simple aur exciting tarika hai.
03:27Agar aapko ye video pasand aayi ho to like karein, share karein aur subscribe karna na bolein.
03:33Comments mein batayiye aapne kaunsa prompt try kiya aur kaisa result bola.
03:37Tab tak ke liye creative rahe aur explore karte rahiye.
03:40Bye Bye.

Recommended