Dars e Quran | Ba-Mutaliq Hazrat Khuwaja Ghareeb Nawaz RA
Speaker: Mufti Mazhar Mukhtar Durrani
#DarseQuran #KhuwajaGhareebNawazRA #ARYQtv
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Speaker: Mufti Mazhar Mukhtar Durrani
#DarseQuran #KhuwajaGhareebNawazRA #ARYQtv
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Category
🛠️
LifestyleTranscript
00:00Nihmaduhu wa nusalli wa nusallimu ala Rasoolihin Nabiyil Kareem.
00:29Amma ba'd fa'uzubillahi minash shaytanir rajeem, bismillahir rahmanir raheem, inna
00:40allazeena qaloo rabbuna allahu summa istaqamu, tatanazzalu alayhimul malaika, allatakhaafu
00:50wa la tahsanu wa abshiru biljannati allati kuntum tu'adoon, sadaqallahul azeem.
01:02Hazireen aur Nazireen, Allah o Rabbul Izzat ke be paya fazl o ihsaan aur Rasool-e-Kareem
01:13sallallahu alayhi wa barak wa sallam ke tasadduk, aaj hum ARYQ TV ke zahir-e-tamaam, dars-e-Quran
01:27ke silsile mein, jo surah-e-Hameem, as-sajda ki ayat number 30 par mujhtamil hai, is par
01:37kuch tafsir-e-niqaat pesh karenge, aur aakhir ke andar, Auliya-e-Kiram ke aqeeda-e-Rabubiyat
01:49par kuch zaruri bahas pesh karenge.
01:54Hazireen-e-Muhtaram, Quran-e-Majeed ki is ayat-e-Kareema mein, Allah-o-Rabbul Izzat
02:02ke zahir-e-Quran ke zahir-e-Quran-e-Ishaat farmaya, beshak jinn logon-e-kaha, hamara-Rab-Allah
02:07hai, phir is par mustaqeem rahe, toh farishte-yeh kehte huye unpar naazil hote hain, khauf na
02:17karo, gham na karo, aur us jannat ki khushkhabri suno, jiska tumse wada kiya gaya hai.
02:31Hazireen-o-naazireen, Rabubiyat ki bahas se pehle, ham istiqamat par kuch tafseeri nikaat
02:46pesh karna munasab samajhte hain, dekhiye mustaqeem wo raasta hai, jo ifraat aur tafreet
02:58ke darmian mutawassit ho, na yahudiyon ki tarah, na dehriyon ki tarah, ke wo khuda ka
03:16inkaar kar baithe, na mushrikeen ki tarah, ke unhone mutaaddid khuda bana daale, ham
03:29ahle imaan aur ahle Islam ka yeh aqeeda hai, ke Allah hai, aur sirf ek hi hai.
03:43Naazireen-e-kiraam, Al-Jami-us-Sahih mein, Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ki
03:52hadith-e-baag ko Imam-e-Tirmidhi ne naqal kiya, ki Rasool-e-Kareem sallallahu alaihi
03:59wa barak-us-sallam ne irshaad firmaaya, aur is ayat-e-kareema ki tilawat ki, aur irshaad
04:07firmaaya, aksar to kafir ho gaye, jo shakhs is par gata raha, hatta ki mar gaya, wo unme
04:20se hai jo qaul-e-mustaqeem par rahe.
04:25Hazireen-e-kiraam aur naazireen-e-mautaram, Imam-e-Qurtubi ne Tafseer-e-Qurtubi mein,
04:33Qazi Sanaullah Panipatti ne Tafseer-e-Mazhari mein, aur Imam-e-Baghvi ne Tafseer-e-Baghvi
04:40mein, sum-mustaqaamu, ki jino ne rabubiyat ka ikraar kiya, sum-mustaqaamu, fir is par
04:50mustaqeem rahe, is ki tafseer mein khulafa-e-rashideen ke aqwal ko naqal kiya.
05:01Hadhrat-e-Sayyidina Siddiq-e-Akbar radi-Allahu ta'ala anhu, aap irshaad firmaatein, sum-mustaqaamu
05:09is ki tafseer kya hai, firmaatein, Allah tushrika billahi shayya, ki Allah ke saad kisi ko shariq
05:18na tahrao, apne amal ko, apne iman ko, shirk ke saad alooda na karo, yeh sum-mustaqaamu
05:30ka maana. Amir-ul-Mu'mineen, Hadhrat-e-Sayyidina Farooq-e-Azam radi-Allahu ta'ala anhu, ek
05:40din mimbar par khare ho gaye, aur khutba irshaad firmaaya, aur sum-mustaqaamu, ki jino ne
05:48rabubiyat ka ikraar kiya, fir is par mustaqeem rahe, is ki tafseer aapne meyan ki, firma
05:56Allah ki kasam, ki yeh log Allah ki itaat par qaim rahe, aur lomni ki tarah, idhar udhar
06:09munne ki heela saazi aur makar na karte rahe. Hadhrat-e-Sayyidina Usman-e-Ghani radi-Allahu
06:18ta'ala anhu ne, sum-mustaqaamu ki tafseer bayan ki, ki jino ne ikraar-e-rabubiyat kiya,
06:27fir mustaqeem rahe. Aapne is ki tafseer ko istariqah se bayan kiya, ki in logon ne apne
06:37har amal ko Allah ke liye khalis kar liya. Allahu Akbar. Aur Mawla-e-Kainat, Hadhrat-e-Ali
06:48ul-Murtaza, karamAllahu wajhah. Aapne is ki tafseer me yu bayan kiya, firma-e-moh, farahis
06:58par mustaqeem rahe. Hadhrat-e-Abdullah bin Abbas radi-Allahu ta'ala anhuma ne, ishaat
07:06firma, ki farahis par mustaqeem raho. Aur ek qaul hamme yeh bhi milta hai, ki jis tariqah
07:15se qaul par mustaqeem raho, isi tariqah se amal par bhi mustaqeem raho. Khud, Rasool-e-Kareem
07:27sallallahu alaihi wa barak wa sallam ko hukum diya gaya. Fastaqeem kama umeerta. Mustaqeem
07:36rahi yeh isi tariqah, jis tariqah aap ko hukum diya gaya. Hazireen-o-nazareen, aage Allah
07:46rabbul-izzat ne, ishaat firma, tatanazzalu alaihim-ul-mala'ika, ki farishtein unpar utarte
07:53hain. Iske mutaalik hamme do qaul milte hain, ki maut ke waqt, jinoone ikraar-e-rabubiyat
08:02ki ya fir istiqamat ki, maut ke waqt, farishtein pe nazal hote hain. Doosra, ki hashar ke din,
08:12qiyamat ke din, jab in-e-kabr se nikaala jaayega, to farishtein pe utarte hain. Farishtein pe
08:22nazal hote hain. Farishtein se kehte hain, khauf na karo, gham na karo. Iske mutaalik
08:35bhi, kutub-e-tafaseer me hamme do qaul milte hain, ki aage aane wale, jo tumare saath haalaat
08:46pesh honge, uska khauf na karo, jo pichle maamalaat guzar gaye, unpar gham na karo.
08:58Doosra qaul yeh milta hain, Allah ta khaafu wala tahzanu, ki khauf na karo aur gham na
09:03karo. Doosra qaul yeh, ki maut ke waqt khauf na karo, aur apni aulaad ka gham na karo.
09:15Allahu Akbar. Aage irshaad firmaaya. Wa ab shiru bil jannah, ki khushkhabri suno. Farishtein
09:26kehte hain, khushkhabri suno, jiska tum se wada kiya gaya hai. Yeh jo khushkhabri jannat
09:34ki, farishton ki taraf se sunaayi jaayegi, yeh teen maqamat par hongi. Ek maut ke waqt,
09:43ki maut ke waqt, farishtein inna jannat ki khushkhabri sunaayi gaye. Ek kabar ke andar
09:51aur doosra hashar ke din ki maukah par, inna jannat ki khushkhabri farishtein sunaayi gaye.
09:59Hazireen o nazireen, is ayat-e-karima ka ta'alluk auliya aur kaamileen ke saath bhi hai.
10:09Yehi mazmoon, hume Quran-e-Majeed ki surah Yunus ke andar milta hai. Allah Rabbul Izzat
10:18ne is shahid firmaaya. Alaa inna auliya Allahi la khawfun alayhim wa laahum yahzanoon.
10:25Allazeen aamanoon wa kaanoon yattaqoon. Lahumul bushra fil hayati-d duniya wa fil aakhira.
10:33Ki khabardaar Allah ke wali, jinn par khawf nahin, jo ghamgeen nahin hota hain.
10:42Farmaa wa imaan la aaye. Taqwa ko ikhtiyar kiya. Unke liye duniya mein bhi khushkhabri hai
10:51aur unke liye aakhirat ke andar bhi khushkhabri hai. Duniya ke andar khushkhabri indal maut.
10:58Duniya ke andar yehi khushkhabri hogi. Maut ke waqt wa abshiroo bil jannat illati kuntum
11:07tuwa'doon. Ke farishte unhe jannat ki khushkhabri sunaayenge. Aur aakhirat ke andar unke liye
11:16khushkhabri hogi. Ki wo jab jannat mein jaayenge to jannat ke har darwaze se farishte unhe salam
11:25kahenge. Aur pir Allah ki taraf se salam hoga. Jisko surah Yasin mein irshaad firmaaya.
11:34Ki salamun qawlam mir rabbir rahim. To iss ayat-e-karima ka ik ta'alluk,
11:41auliyaa aur kamileen aur aarifeen se bhi hota hai.
11:47Hazireen-e-muhtaram, jahan tak Allah ta'ala ki rabobiyat ke ikraar ka ta'alluk hai,
11:56to iska maana ye hai, ke momin apni zubaan aur apne dil se maane, tasleem kare,
12:08ke Allah hi khaliq hai. Kainaat ki takhliq mein, kainaat ke khalq mein, kisi aur ka na
12:17dakhal hai. Kainaat ki takhliq mein, Allah ke seba kisi aur ka hisa nahi.
12:23Allah rabbul Izzat ne isko bhi beyaan kiya, firmaa alaa lahul khalq wal amr.
12:31Ki takhliq aur hukum uske liye hai. Yani Allah ke liye hai.
12:40Aur ikraar-e-rabobiyat ki ik doosri surat ye hai,
12:47ke momin ye ikraar kare, tasleem kare,
12:51ki Allah hi raazik hai, maalik hai, rizq ko takseem karne wala hai.
12:59Isko bhi Allah rabbul Izzat ne Quran-e-Majeed ke andar beyaan kiya.
13:03Inna allaha huwar razzaqo zulquwwatil mateen.
13:09Ki bishak Allah ta'ala rizq dene wala hai. Badi quwwat wala hai.
13:16Ik aur surat hai, ikraar ki, Allah ta'ala ki rabobiyat ki ikraar ki,
13:23ki momin-e-ikraar kare ki Allah hi mudabbir-e-kainaat hai.
13:29Woh kainaat ki tadbeer karta hai. Woh kainaat ki nizam ko chalata hai.
13:35Aur yaad rakhiyega, Allah ki rabobiyat me kisi ko sharik tahira dena,
13:45ye shirk-e-akbar hai.
13:49Ab dekhiye ye jo teeno suraton ko mene beyaan kiya,
13:55Allah rabbul Izzat ne in teeno suraton ko ik ayat-e-karima ke andar beyaan kar diya.
14:02Irshad farmaya, qul main yarzaqqum minas sama'i wal-ard.
14:08Farma deejiye, kaun hai jo tumhe rizq deta hai aasmaan se aur zameen se.
14:17Am main yamlikus sama' wal-absar, kaun hai jo sama'at aur basarat ka maalik hai.
14:30Fir farmaya, main yukhrijul hayya minal mayyite,
14:37wa yukhrijul mayyita minal hayy.
14:41Kaun hai jo zinda ko nikaalta hai murda se, aur murda ko nikaalta hai zinda se.
14:51Aur uske baad aakhir ke andar farmaya,
14:54wa main yudabbirul amr, kaun hai jo kainat ki tadbeer karta hai,
15:01kainat ki nizam ko chalata hai.
15:04In sabke beyaan kar dene ke baad,
15:06fir farmaya, fasayquloon Allah, an kareeb walok kahenge ki Allah hai.
15:17Yani Allah hi khaliq hai, Allah hi raziq hai, Allah hi mudabbir-e-kainat hai.
15:26Hazireen-o-nazareen, rabobiyat ka mafoom kya hai?
15:33Isko samajhne ke liye hame, iske lughwi maana ki taraf jaana padega.
15:38Rabobiyat ka lughwi maana, parwarish karna, nigdaasht karna.
15:46Rabobiyat ka mafoom ye hai, ki Allah ta'ala apni tamam makhluqaat ki zaruriyaat ko poora karta hai.
15:56Wo kainat ki nizam ko chalata hai, uski tadbeer karta hai,
16:02aur uska har hukm apni makhluq ke faida ke liye hai.
16:11Aur jahan tak ta'aluk hai, Allah ta'ala ki shaan-e-rabobiyat ke mazaahir ka,
16:19to Allah ta'ala ki shaan-e-rabobiyat ke mazaahir, zaahir hai.
16:25Har makhluq ke liye baahir hai, jiski chand surat ko ham pesh kar dete hain.
16:34Allah rab-ul-izzat ki, jo rabobiyat ka pehla mazaahir hai, wo khud uski takhliq hai.
16:43Bada ghaur talab nukhta hai, ki wo khalk karega na,
16:51kainat me kisi ki takhliq karega, to phir uski parwarish karega.
16:58Balfaaz-e-digar main yoon kehdoon to durst hoga, ki uski rabobiyat ka nukta-e-aagaz, uski takhliq hai.
17:09Jisko Allah rab-ul-izzat ne bayan firmaaya.
17:12Allahu khaliq-o-kulli-shayi, wahoo ala kulli-shay-in-waqeel.
17:19Firmai Allah, har shay ka khaliq hai, uski takhliq kar nimaala hai,
17:26ar wo har shay par nigebaan hai.
17:30Aur uski shaan-e-rabobiyat ka doosra mazhar, jisse uski rabobiyat ka izhaar ho,
17:39wo uski shaan-e-razzaqiyat hai.
17:44Ki Allah ta'ala razik hai, wo rizq-o-faraham karta hai.
17:50Allahu akbar.
17:52Koi usko maane, koi usko na maane,
17:58koi zameen ke neeche rehta ho,
18:01koi zameen ke oopar rehta ho,
18:04rizq dena uske zimme-e-karam mein seghe.
18:08Jisko Allah rab-ul-izzat ne bayan kiya.
18:12Wama min daabatin fil-ard, illa alal-lahi rizq-o-ha.
18:18Farba-e-zameen par chalne-wali koi makhlook aisi nahi,
18:23jiska rizq Allah ke zimme na ho.
18:28Allahu akbar.
18:30Uski rabobiyat ka, ik izhaar, uska mazhar,
18:36yeh kainat ka khud nazm-u-zabt hai.
18:40Sooraj waqt pe tul-u-hota hai.
18:43Sooraj waqt pe ghuroob hota hai.
18:46Yeh sooraj, chaand, hawa,
18:49yeh saari, izka nazm-u-zabt,
18:53inka chalna, inka baqi rehna,
18:58yeh uski shaan-e-rabobiyat ka mazhar hai.
19:02Jisko Allah rab-ul-izzat ne bayan firma.
19:05Was shams-u-tajreel-e-mustaqarri-llaha,
19:09zaalika taqdeer-ul-azeez-il-aleem.
19:12Farma sooraj apne madar pe chalta hai.
19:16Sooraj ka chalna,
19:19farmaya yeh Allah,
19:22jo aleem hai,
19:25ghalib hai,
19:27yeh uski taqdeer hai.
19:29Yani sooraj,
19:31jis nizam ke tahad chalta hai,
19:34Allah rab-ul-izzat ne usko apni taqdeer karar diya hai.
19:39Uski shaan-e-rabobiyat ka
19:42ek aur mazhar,
19:45har jaan-daar ki parwarish karna hai.
19:48Allahu Akbar.
19:51Yeh uski rabobiyat ka izhaar hai.
19:54Har jaan-daar ki parwarish karna.
19:57Allahu Akbar.
19:59Chahe uska ta'alluk insaan ke saath hai.
20:01Chahe uska ta'alluk
20:04kisi bhi jaan-daar ke saath hai.
20:07Woh uski parwarish karta.
20:09Isko badi khubsoorti ke saath
20:11Allah rab-ul-izzat ne bayan kiya.
20:13Aur irshaad farma,
20:16ke Allah-ul-lazee khalaqakum minhu.
20:19Allah ne tumhe peyda kiya.
20:22Aur phir irshaad farma,
20:25summa yaj'alukum
20:27fee butoon-e-ummahaatikum.
20:30Phir Allah ta'ala
20:33tumhe apne maaun ke peytoon-e-rakta hai.
20:37Shikam-e-maadar ke andar rakkar
20:41Khuda tumhari parwarish karta hai.
20:44Uski rabobiyat ka izhaar hota hai.
20:47Main sirf namuna ke taur par
20:50insaan jab apne shikam-e-maadar me hota hai,
20:53uski parwarish Khuda kaise karta hai?
20:56Allah rab-ul-izzat ne isko bhi bayan kiya.
20:59Irshaad farma,
21:02inna khalaqnakum min turab,
21:05summa min nutfatin,
21:07summa min a'lakatin,
21:09summa min mudgatin.
21:12Yeh insaan ke marahil-e-takhleek ko bayan kar diya.
21:16Ke insaan apni maa ke peyt ke andar
21:21kin marahil se guzarta hai?
21:23Aur Khuda uski kaise parwarish karta hai?
21:27Farmaya,
21:29ki humne tumhe asal ke lihaas se matti se peyda kiya,
21:33summa min nutfatin,
21:35phir nutfe se peyda kiya.
21:37Nutfa, jama huwa khoon bana,
21:40a'laka bana,
21:43aur phir a'laka mudgha bana,
21:46gosht ka lothra bana.
21:49Yeh amm maine ek namuna ke taur par
21:53aapke saamne sirf ek baat ko pesh kar diya.
21:56Isi tariqah se
21:58darindon ke peyt ke andar bhi,
22:02madda ke peyt ke andar Khuda
22:05unke bachon ki parwarish karta hai.
22:08Jisko Quran ne waazih taur par bayan farmaya.
22:12Summa yaj'alukum fee butoon-e-ummahaatikum
22:16phir Allah
22:18rakta hai tumhe
22:20tumari maaun ke peyt ke andar.
22:23Allah Ta'ala ke
22:26Rab hone ki aqeedah ka kya matlab hai?
22:29Allah Rab hai,
22:32iske aqeedah ka maqsad aur matlab kya hai?
22:35Aayiye hum iski taraf chalte hain.
22:37Allah Ta'ala
22:39ki Rab hone ki aqeedah
22:42Tauheed ke usool ki buniyad hai.
22:45Yaad rak lijiye gaa.
22:47Ki hum Allah ki ibadat mein
22:49kisi ko shariq nahi tayraate.
22:53Uski ibadat mein kisi ko shariq nahi maante.
22:57Aur
22:59hazireen aur nazireen-e-muhtaram
23:02Uska Rab hona hi is baat ki tasdiq karta hai
23:06ke wo ahad hai,
23:09wahid hai,
23:11yakta hai,
23:13wo la shariq hai.
23:16Isko bhi Allah Rab-ul-izzat ne Quran-e-Majeed ka
23:19andar bayan kiya.
23:21Irshad firma,
23:23Rabb-us-samaawati wal-ardi wa maa baynahuma
23:26fa'abud hu.
23:28Firma aasmaan aur zameen
23:31aur jo kuch in ke darmeyan hai
23:36Uska Rab Allah hai.
23:39To jab zameen aur aasmaan ka Rab Allah hai
23:43fa'abud hu
23:45to ibadat ka mustahik bhi Allah hai.
23:49Firma uski ibadat karo
23:52aage irshad firma
23:54wasta bir li ibadatihi
23:56uski bandagi par
23:58saabit raho
24:00istiqamat rakho
24:03aur bada aage
24:05Allah Rab-ul-izzat ne
24:08irshad firma ya
24:10jisse iman taza ho jata hai
24:13Allah Rab-ul-izzat ne
24:15apni
24:17makhlook se
24:19apni rabobiyat
24:21aur apni ibadat ke zikr karne ke baad
24:25irshad firma ya
24:27hal ta'lamu lahu samiyyah
24:30kya uske naam ka doosra bhi jaante ho
24:34Allahu Akbar
24:36ki jab ho Rab tumhara hai
24:39kya uske naam ka doosra bhi tum jaante ho
24:43ye
24:45Allah Ta'la ke Rab hone ka matlab hai
24:48Hazireen-o-nazareen
24:50jaha tak Rabobiyat par istiqamat ka ta'alook hai
24:55toh iske kai marahil hai
24:57unmein se chan
24:59ko hum pesh kar dete hain
25:01Rabobiyat par istiqamat ka pehla marhala
25:06insaan
25:08yaqeen rakhe
25:10ki Allah hi uska parvardigar hai
25:13aur is kainat ka nizam chalata hai
25:16jaise woh chalta hai
25:18jaise uske bashiyat hoti hai
25:20uske matabik is kainat ki tadbeer karta hai
25:24Hazirat-e-Musa alaihissalam ne
25:29irshad firma hai
25:31jisko Allah Rabbal-Izzat ne irshad firma hai
25:34ki jab unhone firma hai
25:36qaal Rabb-us-samawat-e-wal-ard
25:39ki jab Hazirat-e-Musa ne firma hai
25:41Rabb-us-samawat-e-wal-ard wa ma baina huma
25:45ki aasman aur zameen unke darmian
25:48Rabb wo hai
25:50in kuntum muqineen
25:53agar tum yaqeen rakhne wale ho
25:57yani Allah ke
25:59wahdaniyat par
26:01uski tauheed par
26:03uske la shareek hone par
26:05jo daleel Hazirat-e-Musa alaihissalam ne di
26:09wo daleel bhi Allah ki Rabobiyat se di
26:12ki Rabb-us-samawat-e-wal-ard wa ma baina huma
26:16ki aasman aur zameen aur uske darmian
26:20jo kuch hai
26:22uska Rabb
26:24Allah hai
26:26aur uska doosra marhala
26:28Rabobiyat par istiqamat ka
26:31jahan tak doosra marhala hai
26:34insaan koshish kare
26:37ki apne har amal ke andar
26:40Allah ki raza ko chahe
26:43apne har amal
26:45raza-e-ilahi ke liye kare
26:48Allah Rabb-ul-izzat ne Quran-e-Majeed ke andar
26:52shaan-e-sahaba ko istariqe se bayan kiya
26:55farma taraahum
26:57rukka'an sujjadain
26:59yabtaghoon fadlam min Allahi wa ridwana
27:03farmaya ki tu unko dekega
27:06rakoo karte huwe
27:08sajdo mein girte huwe
27:11yabtaghoon fadlam min Allahi wa ridwana
27:14yaani rakoo aur sajood ibadat isliye karte hai
27:18taan ki iske andar Allah ka fazl
27:21aur Allah ki raza ko talash kare
27:25haadireen-e-muhtaram
27:27ik teesra marhala bhi hai
27:30Rabobiyat par istiqamat ka
27:33wo ye hai ki duniya aur aakhirat me kamyabi
27:38is aqeeda-e-rabobiyat par istiqamat se millegi
27:45yeh jo ayat-e-karima
27:47maine khutma mein peshki
27:49uske muttasilan Allah Rabb-ul-izzat ne irshaad farma
27:52nahno awliyaukum
27:54fil hayat-e-duniya wa fil aakhirah
27:58farmaa ki hum tumare dost hai
28:01duniya ki zindagi mein
28:04aur aakhirat ke andar
28:05walakum feehaa maa tashtahi anfusukum
28:10jo tumara jee chahega
28:13jannat mein jo tumara jee chahega
28:17wo tumare liye hoga
28:19walakum feehaa maa tadda'oon
28:22aur tumare liye wo hoga
28:25jo tum chaho
28:28Allah Rabb-ul-izzat
28:31ne is ayat-e-karima mein waazay kar diya
28:33ke duniya aur aakhirat ki kamyabi chahate ho
28:39toh phir
28:42aqeed-e-rabobiyat par
28:45tumhe istiqamat dikhana hogi
28:48duniya aur aakhirat mein tum kamyab ho jaoge
28:52hazireen-e-muhtaram
28:54jahan tak ek aham sawal hai
28:57aaj ke istaur ke talazur mein
29:00auliya-e-kiram ka
29:03Allah-ta'ala ki shan-e-rabobiyat
29:06ke mutaalik aqeedah kya hai
29:10unka aqeedah waazay hai
29:13auliya aur kamileen ka buniyadi aqeedah yeh hai
29:17ke Allah-e-kainat ka khaliq hai
29:20wo maalik hai
29:22wo raazik hai
29:24wo mudabbir hai
29:26wo la shariq hai
29:29wo jo chahata hai karta hai
29:32isko bhi Allah Rabbal Izzat ne
29:35Quran-e-Majeed ke andar bayan kiya
29:37inna rabbaka fa'alul lima yureed
29:40ki Allah jo chahata hai
29:43wo karta hai
29:45auliya aur kamileen
29:48unki zindagi
29:51ka agar hum mushada karte hai
29:53unki zindagi ka har amal
29:56ibadat ho
29:57mushada ho
29:59riazat ho
30:01taqwa ho
30:03tazkiya ho
30:05tasfiya ho
30:07tajliya ho
30:09yeh saare waqamat ho
30:11manadil-e-shalook ho
30:13wo sab tayh karte hai
30:15sirf Allah ki raza ki liye
30:17isko bhi Allah Rabbal Izzat ne
30:19Quran-e-Majeed ke andar bayan kiya
30:21wasbir nafsakam aal-ladheena yad'oona rabbahum
30:24bil ghadati wal-ashi
30:28yureedoona wajhah
30:30firmaaya ki
30:32apni jaan unse maanoos rakho
30:35jo sub-o-shaam Allah ko pukaarte hai
30:39aur Allah ki raza ko chahate hai
30:43hazireen-e-muhtaram
30:45Allah ki jo shaan-e-rabubiyat hai
30:48ki wo
30:50jaisa ki peechay main bayan kar chuka
30:52ki wo apni makhulukat ki parwarish karta hai
30:56wo
30:58apni makhluk ko
31:00jo jaandaar hai
31:02wo maaun ke peto mein uski parwarish karta hai
31:05yahi tasawwur
31:08insaan ko khidmat-e-khalq pe ahmada karta hai
31:13ispar usse mustaqeem rakta hai
31:17ata-e-rasool khaj-e-khajgaan
31:20hazrat khaj-e-mu'in-ud-din chishti, ajmeri, sanjari
31:24quddis-e-sirr-ur-aziz
31:27jahan tak khidmat-e-khalq ka ta'aluk hai
31:30ajmer ka ek shaks aapki khidmat mein haazir hua
31:36ki meri zameen ko haake mein shehr ne zabt kar liya
31:40aapne firma
31:42kya hi achha hota
31:45agar hindustan ka baadshah
31:47hiye zameen tumhare naam lik de
31:50wo khush ho gaya
31:52usne arz ki
31:54ki
31:56us waqat ka baadshah
31:59qutb-ul-auliyah hazrat khaj-e-kutb-ud-din bakhtiyar kaaki
32:02rahmatullah-e-ta'ala alaika mureed hai
32:04aap unko khat lik de
32:06mera kaam ban jaayega
32:09hazrat-e-khaj-e-gharib-nawaz ne kuch der tawakf kiya
32:13aur fir irshaat-e-khaj-e-khajgaan
32:16aur fir irshaat farba
32:18ki nahin
32:20hum tumhare saad khud ajmeer se dehli jaayega
32:24jab hazrat-e-khaj-e-gharib-nawaz dehli pohche
32:27to hazrat-e-khaj-e-kutb-ud-din bakhtiyar kaaki
32:30rahmatullah-e-ta'ala alaika ilb hua
32:32aap
32:34aap istiqmaal ke liye wahan pohche
32:37hazrat-e-khaj-e-gharib-nawaz ne
32:39yeh saara waqaya beyan kiya
32:42hazrat-e-khaj-e-kutb-ud-din bakhtiyar kaaki
32:45rahmatullah-e-ta'ala alaika ilb hua
32:48huzoor mujhe hukum ata kar dete
32:50mujhe khat irsaal kar dete
32:52main baadshah se kehta hukum ki taameel ho jatee
32:55aap ne firmaaya ki ajmeer se dehli tak
32:58us ghareeb shahs ke chehre par
33:02mere jaane se jo khushi ke aasaar maine dekhe
33:06isse meri rooh tak khush ho gayi
33:10yeh Allah ki shaan-e-rabobiyat se
33:13khidmat-e-khalka jazba
33:15insaan ke andar peyda hota hai
33:18Allah, Rabb-ul-izzat
33:21hum sabko hidayat par mustaqeem firmaaye
33:25aur istiqamat ki doolat se sarfaraz firmaaye
33:28wa ma alaina illal balagul mubeen
33:31mere hadi
33:35mere rahbar
33:40mere sardar
33:45mera jahe