Skip to playerSkip to main contentSkip to footer
  • 11/8/2022
"Demonetisation was an attack." Rahul Gandhi looked different this time, but he sounded the same.

Category

🗞
News
Transcript
00:00Note bandhi kaale dhan ko mitane ke liye nahi ki gayi.
00:25Narendra Modi ji TV pe aaye aur unhe ne kaha
00:29ki main paancho rupay aur hazaar rupay ke note ko radh karne jaa raha hoon
00:35aur kaale dhan ke khilaf main ladhai lad raha hoon.
00:40Sachchayi yeh thi ki note bandhi kaale dhan ko mitane ke liye nahi ki gayi.
00:47Note bandhi jo humare chhote vyapari hain,
00:52small aur medium business chalane wale log hain,
00:56jo humare kisan hain unpar aakraman tha.
01:01Aur uska natija aaj tak Hindustan ke har gareeb ko dikh raha hai.
01:10Note bandhi ke baad unhone galat GST lagu ki.
01:16Aur in do policies ne,
01:19jo Hindustan ki reed ki addi hai,
01:23jo is desh ko rozgaar dilwati hai,
01:26kisan, chhote business wale, chhote dukaandar,
01:32in sab ko nasht kar diya, khatam kar diya.
01:36Yaha aane se pehle main yuvaon se mila,
01:43paanch tas yuvaon se mila,
01:46aur maine unse sawal poocha,
01:49wo exam ke baare mein aaye the, delegation aaye tha,
01:53exam ke baare mein baat kar rahe the,
01:56maine unse poocha ki aapko kya lagta hai,
01:59aaj ke Hindustan mein aapne padhai kar li,
02:05university, college, school sab kuch kar liya,
02:11mata pita ne aapki shiksha mein lakhon rupai laga diye,
02:16aapko kya lagta hai, aapko rozgaar milega, chup ho gaye,
02:22kyuki aaj Hindustan ki sachaiye,
02:26hamare desh mein aaj yuva padh sakta hai,
02:32school ja sakta hai, college ja sakta hai,
02:37magar rozgaar usse nahi mil sakta.
02:39Aur in policyon ka laksh,
02:42Hindustan ki gareeb janta ko dharane ka hai,
02:46kisan ko dharane ka,
02:48mazdoor ko dharane ka, yuva ko dharane ka,
02:52aur BJP aur RSS,
02:55dar ko,
02:57phir nafrat mein badal dete hain.

Recommended