• 4 days ago
स्वच्छन्दता : प्रकृति की

Category

🗞
News
Transcript
00:00Namaskar, aaiye aaj aapko sunaate hain Rajasthan Patrika ke Pradhan Sampadak Dr. Gulab Kothari
00:08ka Sharir Hi Brahmand Shrinkhala me Patrikayan me Prakashit Alik, jiska shirshak hain Swachhandita
00:14Prakriti ki.
00:15Maryada karta ke liye honti hain, drishta ke liye nahin, maryada ke abhav me koi aakriti
00:21ubhar nahin sakti, nilakaar ko rit kaha jaata hain, agni satya hain, som rit hain, purush
00:28satya hain, istri rit hain, somya hain, swachhand hain, swa ka arth hain swayam ka, chhand
00:34hain, kaamna, ichcha, marji, vibhaha poorv dono swachhand hain, apni apni ichcha se jeena
00:39jahate hain, keval parivaar ke sanskaaron ki maryada hoti hain, yadi kuch hai bhi to,
00:45vibhaha sanstha maryada me baand kar dono ka swaroop nirmaan krti hain, swa sharir nahin
00:51aatma ko kehte hain, aatma hi sharir ka chalak hain, para prakrati ka shetra hain, sharir
00:57apra jad shetra hain, hum sharir ka hi astitva maan kar jeete hain, karam karte hain, aatma
01:04ko jaanne ke prashna humare man mein uthte hi nahin, haan, shastraon ko sunte samay hum
01:09aatma ka vivechan bhi sunte hain, kintu swayam se jod nahin pate, apne se bhin kisi vastu
01:15ko aatma maan lete hain, hum sunte hain, aham brahmasmi, hum sunte hain, mamai vansho jiv
01:21loke jiv bhoot sanatana, kintu vyavhaar mein hum sharir aur man ke bahar nahin jate hain,
01:28apne vatavaran mein phase rehte hain, jabki sathya yaha hai ki hum sharir nahin hain,
01:33man bhi nahin hain, sharir, man, buddhi humare sadhan hain, nashwar hain, hum aatma ke swaroop
01:39mein shashwat hain, avya man roop hain, jise hum man maante hain, bha toh pratibimb hain
01:45mool man ka, mool man alamban hain, asang hain, nirlep hain, gunaateet hain, aur sada
01:52saakshi bhaav mein rehte hain, adhah karta bhi nahin ho sakta, kintu vyapak aur poorn
01:58hain, jaisa ki ashtavakra geeta mein kaha hain ki aatma saakshi hain, vyapak hain, poorn
02:04hain, akela hain, mukta hain, chaitanya roop hain, akriya hain, sang rahit hain,
02:09ichcha rahit hain, bhram ke kaaran sansarik ki tarah lagta hain, aatma saakshi vibhu poorn,
02:17eko mukta shchidak kriyah, asango nishprihah shanto, bhramat sansar vaaniv, ashtavakra geeta 1.12
02:27aham brahmahasmi roop mein jab mein swayam hi bhram hoon, tab sampoon brahmand mera hi
02:32vitaan yaani phailav hain, main hi srishti mein vyapt hoon, firbhi yadi bhramit hoon to
02:37iska kaaran maya hi hain, maya ne hi sharir ka nirmaan karke usme asakti bhar di, krishna
02:43keh rahe hain ki naham prakashah sarvasya yogmaya samavritah, arthaat yogmaya se avrit hone
02:50ke kaaran main sabhi ke liye prakat nahin hoon, pratyek jeev roop brahm yogmaya se avrit
02:57hokar sthool sharir dharan pratah hai, jeev chunki prarabdh ka nakshah saath lekar aata
03:03hai, poorv karamon ke falon ko bhogne ke liye atahat pratyek jeev ki yogmaya bhi swartantra
03:10ho jati hai, bal, shakti aur priya, in teen avasthaon se hum maya ke swaroop ko samajh
03:16sakte hain, maya ki prasukta avastha ko bal kehte hain, jab koi kaare karne ka sankalp
03:22ho, tab maya ke jagne par bal ko shakti kaha jaata hai, sansar mein hum kriya roop mein
03:28jo bhi cheshtay karte hain, ya dekhte hain, we sab shakti ke hi parinaam hain, vyakti ke
03:35jeevan main shakti ke anek roop hain, jaise sharir, buddhi, mann, pran, poshan aur sanhaar,
03:41aaveg aur aavesh, sahyog aur virodh aadi ki shaktiyan, ye shaktiyan purush ki arthaat
03:48aatma ki kahi jaati hai, aatma se shabd nikalta hai, swanati atah swah kaha jaata hai, jiska
03:55aatma shabdodpatti mein asamardh hai, waha shabd maryada se vanchit parir hai, keval swah
04:01arthaat aatma ko tab tak aatma nahi kaha jaasakta hai, jab tak ki waha kisi tantra ka anugami
04:07nahi ban jaata, tantra ki seema mein hi aatma shabdodpatti mein samardh hokar swah kahi
04:14jaata hai, yadi tantra aatma nukool hai, tab aatma uss tantra ka niyantrak banta hua swah
04:21tantra kehalata hai, yadi tantra aatma ke swaroop ko vikrit karne wala hai, tab waha tantra
04:27padh tantra kehalayega, aur tab aatma bhi padh tantra hi maana jaayega, aatma swah hai,
04:34anaatma par hai, prakrati tantra hai, aatma ko viksit karne wala bhaav aatma bandhu kaha
04:40jaata hai, aatma ko avrit karne wala bhaav aatma ripu hai, ek aatma ka swah hai, aur
04:47doosra aatma ka ripu arthaat par hai, purush wa prakrati hi is thool srishti mein nar nari
04:53kahe jaata hai, purush agni pradhan, wa istri som pradhan hai, somya istri apne swaroop
04:59mein nirbal hote hue bhi upasya devata ki upadhi ko prapt hai, kyonki bahar se abla
05:06dikhne wali istri bheetar balwan hai, agni bheetar nirbal hai, kyonki uske bal ka aadhar
05:12som hai, wahi agni ka ann hai, bal ki paribhasha hai sankoch, tatha nirbal ki paribhasha asthir
05:19bhaav, jaise hi agni mein som ki aahuti bandh hui, waise hi agni bandh padhta hua shant
05:27ho jaata hai, agni vishkalandharma hai, ek isthaan par pind roop mein nahi rahe sakta,
05:32som ka sankoch bhaav usse ghan banaye rakhta hai, swa ki shetra ko hi shetragya kaha jaata
05:39hai, jabki apra shetra hai, karmabhoomi hai, karmabhoomi mein sharir, mann, buddhi teen
05:45sansthaayen hai, teenon ka apna apna swaroop aur apni apni maryadayen hai, atma ka swabhaav
05:50praprati hi uski maryada hai, para praprati ki maryada swatantrita hai, apra swachhandrita
05:57ka shetra hai, vyakti chahe to isse maryadit karke, manak ki parah aachran kar sakta hai,
06:03vyakti chahe to swachhandr hai kar, pashuvat jeevan yapan kar sakta hai, yaha keval aahaar,
06:09nidra, bhare, maithun hai, yaha sharir ka jagat hai, swatantrita mein vyakti, yath ho chit
06:15swaroop mein jeeta hai, isi bhaav ko vyakta karte hue, krishna keh rahe hai, yukta har
06:21viharasya, yukta chestasya karmasu, yukta swapnaav bodhasya, yogo bhavati dukhaha,
06:28geeta 6.17, arthaat dukhon ka naash karne wala yog, uchit aahaar vihar, uchit karam cheshta,
06:36uchit sogne jagne wala hi hota hai, parampara ek abhyas hai, abhyas ki maryada ka swaroop
06:43ho jata hai, suryoday se poorv jagna, suryast ke baar bhojan na karna abhyas hi tha, jo
06:49parampara ban gaya, ye ache swasthe ke mahamantra ban gaya, adhunik jeevan shayali par krishni
06:55daale to bharat ki yeh pehchaan hi kho gayi, mano yeh bharat ke pichade pan ki nishani ho,
07:02yeh swachhandita ka saadharan sa udharan hai, jo shabir se juda hai, swachhandita ka kendra
07:08mann hai, kaamana mann se utti hai, buddhi ko dhakka dekar kaamana poorti ke peeche bhaagna
07:14hi mann maani hai, isme ek kaamana para prakrati ki hai, jise praagandh kehte hai,
07:20doosri kaamana apara prakrati ki hai, bhaagya ko badalna sehj nahi hai, indriya kaamana kamjor
07:28mann par bhaari padhti hai, inme kamjor atwa chanchal mann aasani se prabahit ho jata hai,
07:34maryada peeche chhut jati hai, agni aur som dono milkar srishti rachna karte hai,
07:39karm karte hai, alag alag dono hi apoorn rehte hue poornata ke liye daudh bhaag karte hai,
07:46som aahut hokar tanmay arthaat aagneya ban jata hai, pindi bhoot avastha ko prapt karte hai,
07:52alag swabhavta rahe hi nahi sakta, rith hone se usko ashray apekshit rehta hai,
07:58Rigveda ka mantra hai, agnir jagar tam vrchah kaam yante, agnir jagar tam usamaan yanti,
08:05agnir jagar tamayam som aah tavas hamasmi sakhe nyokah, yaha som ke ashray kaamana ka
08:13soochak mantra hai, agni ke jagrat hote hi, som daudh kar baha pahuchta hai ki main aapka
08:19sakha bankar rahunga, agni nahi daudhta som ki aur, satya roop hai, jeevan mehwar ka swaroop
08:27yehi hai, yehi kaamana ka bhi swaroop hai, sangat sanjayate kaamaha, lok mein ek kahawat
08:33hai ki vidya vama vel ki jo sangat mein rehta hai, ye usi ke lipat jaati hai, yehi som
08:39ka swachhand roop hai.

Recommended