• last month
#pia #headlines #aliamingandapur #hafiznaeemurrehman #pmshehbazsharif #nationalassembly #imrankhan

Follow the ARY News channel on WhatsApp: https://bit.ly/46e5HzY

Subscribe to our channel and press the bell icon for latest news updates: http://bit.ly/3e0SwKP

ARY News is a leading Pakistani news channel that promises to bring you factual and timely international stories and stories about Pakistan, sports, entertainment, and business, amid others.

Official Facebook: https://www.fb.com/arynewsasia

Official Twitter: https://www.twitter.com/arynewsofficial

Official Instagram: https://instagram.com/arynewstv

Website: https://arynews.tv

Watch ARY NEWS LIVE: http://live.arynews.tv

Listen Live: http://live.arynews.tv/audio

Listen Top of the hour Headlines, Bulletins & Programs: https://soundcloud.com/arynewsofficial
#ARYNews

ARY News Official YouTube Channel.
For more videos, subscribe to our channel and for suggestions please use the comment section.
Transcript
00:00Pakistan Army Act, Air Force Act and Navy Act me Tarmeem Manzoor, Judges ki taadad badhane
00:23ke bil bhi kasarate raaye se manzoor kar liye gaye.
00:25Supreme Court me judges ki taadad satra se badha kar 34 kar di jayegi.
00:29Islamabad High Court ke judges ki taadad 9 se badha kar 12 ho jayegi.
00:34Supreme Court Practice and Procedure Tarmeem-e-bil 2024 bhi manzoor.
00:38Supreme Court ke bench ki tashkeel ke liye Judges Committee me tabdili kar di gayi.
00:42Chief Judge se Senior Tareen Judge aur Irony Bench ke sarbara Committee ka hissa hunge.
00:47Aham Tarameem ki manzoori ke liye Senate ka ijlaas jaari, Opposition ka ihtijaaj.
00:55Qaumi Assembly me aham kanoon saazi ke dauran, Opposition ka shadeed ihtijaaj, No, No ke
01:03nare gunchte rahe.
01:04Arkaan ne Tarmeem-e-bils ki kopiyan paad kar uchhal di, Speakers dice ke saamne shor sharaba,
01:11Opposition aur hukumati arakeen gutham gutha ho gaye.
01:13Shahid Khattak aur Zulfiqar Bhatti ne ek doosre ko dhakke diye, Security ahilkaar hukumat
01:18aur opposition ke darmian khade ho gaye.
01:21Speaker ne Chairman PTI Barrister Gauhar se kaha, Opposition Arkaan ko khamush kar aaye.
01:25Hukumati arakeen ne Wazir-e-Azam ki nashas ko ghere me liya, Speaker ayaad Sadeq aur Wazir-e-Qanoon
01:31me bhi takraat.
01:40That number has been increased to 34, 24 kar diya kya dikha gaya, up to 34, yaani ki ye
01:45upper ceiling hai, iske deche 16 ho, 20 ho, 24 ho, 28 ho, woh duration commission dekhega
01:52ke kitne jahit iske suhoorat hai.
01:54Judges ki tadaat 34 tak karne ka faisla kiya hai, zarurat kitni hai, tayyun judicial commission
02:00karega.
02:01Wazir-e-Qanoon Azam Nazeer Tarar kehte hai, judges ki tadaat badhana Supreme Court aur
02:05High Court bars ka mutalaba tha, judicial commission faisla karega I&E benches me aur
02:10registry benches me kitne judge darkaar hai.
02:1226 vi tarmeen ke baad zaruri tha, I&E benches ke liye senior terreen judges bhi committee
02:17me ho, I&E benches me jaane wale judges doosra kaam bhi kar sakte hai.
02:23Yehi qawaneen Shahbaz Sharif ke khilaf istamal ho rahe unge aur Muslim League Noon aur People's
02:35Party yehi qawaneen inke peeche istamal ho rahe unge aur us waqt inke paas faraar ka rasta
02:43nahi hoga.
02:44Yeh qawaneen Shahbaz Sharif aur People's Party ke khilaf istamal honge, yeh qanoon saazi
02:50hukumat ke liye achhi nahi, PP aur Noon League ke paas bhaagne ka rasta nahi hoga.
02:55Opposition leader Umar Ayub kehte hain, aaj form 47 ki hukumat ne tamam qanoon saazi ko
03:00bulldoze kiya.
03:01Chairman PTI Barrister Gauhar ne kaha, awaam ki taaqat ke bagayar jo bhi qanoon saazi hui
03:06ghalat hai.
03:07Is hukumat ne aaj tak koi qanoon saazi qanoon ke mutaabik nahi ki, aaj hukumat ko ek baar
03:13phir bohot jaldi thi, wazir-e-qanoon ke siwa kisi aur wazir ko bill ke nikaat nahi malu.
03:20Anti-terrorism act mein tabdili civil martial law hoga, Maulana Fazlur Rehman kehte hain,
03:32hukumat insidad-e-dehshatgardi act mein tabdili karna chah rahi hai, wo ikhtiyar diya jaa
03:36raha hai, jiska zimmedaari usse koi taaluk nahi.
03:39Yeh jamhooriyat ke chehre par dhabba hoga, yeh ek taraka civil martial law hoga, PP
03:45aur Muslim League goon ko aisa act pass nahi karna chahiye, duniya mein badnami hogi.
03:50JUI iske khilaf awam aur adalat se rujoo kare, army chief ke muddat-e-mulasfat mein azafa
03:55karna intazaam-e-muamla hai, zaati taupra muddat-e-mulasfat pe tausi ke haq mein nahi hai.
04:07Saudi Arab aur Qatar ka daura kamyab raha, ek do din mein hamara waqf Saudi Arab rawana
04:11ho jayega.
04:12Rawaan maah Qatar se ek team Pakistan aa rahi hai, Wazir-e-Azam Shehbaz Sharif ki kabina
04:17ijlaas mein guftagu, kaha Ameer-e-Qatar ne Pakistan me IT park lagane ka indiya diya,
04:22Azerbaijan ne bhi sarmayakaari ka pehgaam diya hai.
04:26Wazir-e-Azam ka wifaqi kabina mein tausi aur raddo badal ka indiya, kaha waqt aa gaya
04:31hai ab kabina mein deegar dost hi shamil hoon.
04:33Maishat mustahakam ho rahi hai, shara-e-sood mein kami se karubari sargarmiya, baramadaad
04:38aur rozgaar mein izafa hoga.
04:42Aalmi Aam ko ubharte hui khatrat aur challenges ka saamda hai, Aqwam-e-Mutahidah ke tahad
04:51kai Aam missions kaam kar raha hai, Aam ki koshishon ke baabajood, Kashmiriyon aur Palasiniyon
04:56ki haal atizaar saamne hai, Army Chief General Asim Muni ka International Association of
05:01Peacekeeping Training Centre ki saalana conference se khitab, kaha Kashmiriyon aur Palasiniyon
05:06ke haalat bahut kuch karne ki taraf tawajjo dilate hain, ISPR ki mutaabik 28 saalana conference
05:12wara-e-aam 8 November tak jaari rahi hai, Army Chief ne Centre for Peace and Stability
05:18ki imarat ka iftithaak kiya, UN Under Secretary General wara-e-aam operations aur digar hukam
05:24ke shirkat.
05:25Chanda daalkar phi aayiye kharidenge, Wazir-e-Ala Ali Ameen Ghandapur har hat tak jane ko tayyar,
05:38kehte hain qaumi airline ko kharid kar isi naam se chalayenge, idare ko kauriyon ke daam
05:43nahi beshne denge, Ameer Jamaat-e-Islami Hafiz Naeem-ur-Rehman ne sawal uthaya, PTI ne apne
05:49saadhe 3 saal ke daur mein PIA kyu na chalay, Nawaz Sharif beti se keh rahe hain PIA kharidne,
05:55Nawaz Sharif bataayen PIA ko 40 saal mein kisne tawah kiya, Wazir-e-Tilat Punjab Azma Bukhari
06:01Bori, hamare qaid ne PIA kharidne ki baat nahi ki, nahi Punjab hukumat ka PIA kharidne
06:07ka koi irada hai, Ali Ameen Ghandapur par bhi tans kiya, kaha PIA mein urne wale jahaz
06:12hote hain, Ali Ameen kin jahazon ko kharidne ki baat karne hain, Governor Sindh bhi meydan
06:17mein aagaye, kaha Karachi wale PIA ko PK bana kar taraki de sakte hain, is airline ko 4
06:23billion dollar ki airline bana sakte hain, State Bank ne aayindar 1.5 maah ke liye sharah-e-sood
06:30mein 2.5 feesat ki kami kar di, sharah-e-sood 17.5 feesat se kam kar ke 15 feesat ho gayi,
06:37State Bank ka kehna hai mehngai tabakko se zyada tezi se kam hui, aayinda chand maah mein
06:42mehngai mein mazeed kami aa sakti hai, Sadd FPCCI Aatif Iqram ka kehna hai, monetary
06:47policy mein trade aur industry ki baat nahi mani gayi, karubari baradari ka mutalba 5
06:52feesat kami tha, Afraat-e-Zar 7.2 feesat ho chuka, interest rate bhi agle marharin ne
06:58single digit kiya jaye, 9 May ke waqiat par kisi ko koi maafi ki peshkash nahi ki gayi,
07:05inke kuch fahmi hai ki deal ho jayegi, Wazir-e-Defah Khawaja Aasif kehte hain Bushra Bibi jahan
07:10bhi maujood hai, mujhe uspar comment nahi karna, Pakistan ki takbeer tab patlegi jab
07:16hum khud theek hai, Bani PTI ki 6 aur Bushra Bibi ki ek mukadame mein darkwas-e-zamanat
07:23par faisla maifuz, Islamabad Session Court 18 November ko faisla sunayi, daurane sama
07:29Bushra Bibi rostrum par aakar aap dida ho gayi, kaha humein saza na-insafi ki bunyat
07:35par di gayi, samaan saath laayi hoon jab tahenge jail jaane ko tayyar hoon, wo kulab waqt saaya
07:40kar rahe hain, kya jail mein baitha shaks insaan nahi, kya insaaf hai hi nahi, Additional
07:45Session Judge Afzal Mujooka ka Bani PTI ko bazar yaar vigilance haziri yakini banane
07:49ka hukum, Judge ne remarks hai ki Jail Superintendent ne Bani PTI ko peshna kiya toh unhe idhar khada
07:56hoona padega, Khyber Pakhtunkhwa mein Security Forces ki karrawaye hain, 6 khaariji halaag,
08:06ISPR ke mutaabik, junubi Waziristan mein Security Forces ne Pak-Afghanisar had se khaariji dehshat
08:12gardon ki darandazi ki koshish naakam bana di, 5 khaarijiye ko thikane laga diya, 3 zakhim
08:17ho gaye, Shimali Waziristan ke alaqe 2 saali mein operation ke dauran, ek khaariji Ahmed
08:22Shah Urf Intizaar mara gaya, Lahore mein aaj bhi smoke bhar karar, saans lena hua dushwa,
08:32duniya ke aloodatareen shehro mein doosre number par aagaya, sub ke aukat mein Lahore aloodgi
08:37ke itbaar se duniya mein pehle number par tha, hawa ka ruh badalne par Delhi mein aloodgi
08:41ka index 412, Lahore ka 223 ho gaya, smoke ke baayis Pakistan ke aloodatareen shehro
08:48mein Multan pehle number par aagaya.

Recommended