Hazrat Khwaja Nizamuddin Auliya RA | Episode - 2
#aryqtv #KhwajaNizamuddinAuliyaRA
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
#aryqtv #KhwajaNizamuddinAuliyaRA
Join ARY Qtv on WhatsApp ➡️ https://bit.ly/3Qn5cym
Subscribe Here ➡️ https://www.youtube.com/ARYQtvofficial
Instagram ➡️ https://www.instagram.com/aryqtvofficial
Facebook ➡️ https://www.facebook.com/ARYQTV/
Website ➡️ https://aryqtv.tv/
Watch ARY Qtv Live ➡️ http://live.aryqtv.tv/
TikTok ➡️ https://www.tiktok.com/@aryqtvofficial
Category
🛠️
LifestyleTranscript
00:00Bismillahir Rahmanir Raheem, Alhamdulillahi Rabbil Alameen, wasalatu wasalamu ala sayyidil
00:24anbiyai wal mursaleen, wa ala alihi wa sahbihi ajmaeen, nizamuddin mahboob-e-ilahi, fakiri
00:33aapki hai rashq-e-shahi, nizamuddin mahboob-e-ilahi, fakiri aapki hai rashq-e-shahi, likhoon faizan
00:42kya unki sana mein, bohot kaafi hai khusro ki gawahi, likhoon faizan kya unki sana mein,
00:50bohot kaafi hai khusro ki gawahi, khusro ki gawahi, nazreen-e-mukarram, assalamu alaikum
00:56wa rahmatullahi wa barakatuh, parwarda-e-aagosh-e-ganj-e-shakar, sultan-e-ul-mashaykh, markaz-e-wajd-o-irfan,
01:06fakhr-e-khandan-e-chishtiyan, hazrat nizamuddin mahboob-e-ilahi, quddis-e-sirr-ul-aziz ki
01:13bargah mein hadaya-e-akeedat peshkarne ke liye, aaj ke khususi talk show ke saath ARYQ-TV
01:19par aapka meezban Safdar Ali Mohsin hazir-e-khidmat hai.
01:22Hazrat mahboob-e-ilahi rahmatullah alaih ke salana urs-e-mubarak ke silsila mein,
01:26hum apne hadaya-e-niaz hazrat ki bargah mein pesh karne ka sharaf pa rahe hain.
01:32Hum fakir-on-ki khushbaqti hai, ki unke yawm-e-wisaal phir,
01:35humein apni muhabbat aur aqeedat ka khiraaj, unki aali khidmat mein pesh karne ka sharaf naseeb ho raha hai.
01:41ARYQ-TV ki hamesha se yeh rawayat hai,
01:43ke wo paakaan-e-ummat mein, paakaan-e-ummat ki mukaddas bargahon mein,
01:47hadaya-e-niaz pesh karne ke liye, aqeedat aur muhabbat ka khiraaj pesh karne ke liye,
01:52yeh ihtimam karta rehta hai.
01:54Aaj ki is mubarak nashisth mein, aayiye badte hain,
01:57apne muazzaz behmanon ke khair magdam ki taraf.
02:00Mere saath tasheef farma hain,
02:02Agrarian University Lahore se ek badi zeevakar shaksiyat,
02:05aksar programs mein humein sharaf yaab farmatein hain,
02:08badi khubsurti se apne hisse ka kaam apne nazareen tak aur apni audience tak ponchatein hain.
02:14Meri muraad muhtaram Dr. Irfanullah Saifi sahab se hai.
02:17Assalamu alaikum.
02:18Wa alaikumussalam.
02:18Wa alaikumussalam Khushamuddin.
02:19Bahut shukriya.
02:20Aur bazme Mahboob-e-Ilahi mein aapka khair magdam.
02:22Bahut shukriya.
02:23Aapke saath, doosri shaksiyat,
02:25bada dheema mutawaze lehja Allah Rabbul Izzat nain deen-e-mateen ke khidmat ke liye inhe ata kiya hain.
02:31Arz-e-batan ke bahut maaroof scholar hain,
02:33muhakkik hain Al-Idraak Research Center Lahore se.
02:37Meri muraad Mufti Ghulam Yasin Nizami sahab se hain.
02:40Assalamu alaikum.
02:41Wa alaikumussalam wa rahmatullah.
02:43Nizami sahab Khushamuddin.
02:44Jazakum.
02:45Aur yeh Qudrat ka ittifaq hain ke jis Kareem Mamdooh ke khidmat mein hum aaj
02:49apna hadiya yaqeedat pish karne ke liye hain,
02:51toh aap already us nisbat se mamlooh hain, us nisbat se faiziyat hain.
02:55Aapka bhi khair magdam.
02:57Aur meri teesre mehman,
02:58Arz-e-batan ke aalmi shohrat ke haamil Sana Khan-e-Rasool,
03:01Allah Rabbul Izzat nain apne Kareem Mahboob-ul-Izzat-o-Salam ke zikr-e-khair ke sadqe,
03:06inhe badi izzato se nawaza hain.
03:07Parliament of Pakistan, bil khusus Qaumi Assembly mein,
03:10aksor-o-beshtar naat sharif padhne ki saadat paate hain.
03:14Wahan Allah Rabbul Izzat ke Mahboob ka zikr-e-khair karte rahte hain.
03:18Dastka se hamare mehman Sana Khan-e-Rasool,
03:20muhtar-e-Muhammad Nouman Ghori.
03:22Assalam-o-Alaikum.
03:23Wa-Alaikum-o-Salam wa-Rahmatullah.
03:24Nouman bhai, khushamdeed.
03:26Azad Mahboob-e-Ilahi ki bargah mein aapka bhi khair magdam janaat.
03:29Aur aapke naat sharif ke nazraane se hame aage barna hain.
03:32Bismillah farmahiye.
03:48O jo Hatim ko muyazar yeh nazara tera,
04:10keh uthe dekh ke bakshish mein yeh rutba tera.
04:30Wah kya jood-o-karam hain,
04:43keh uthe dekh ke bakshish mein yeh rutba tera.
05:11Aur kayi nasloon se ghulami ka yeh rishta hai baghaar.
05:26Yeh hi tifli jawaani ke bita hai maah-o-saal.
05:39Aap budha pe mein khudara mujhe yun dal se na taal.
05:59Tere tukdoon pe bhalen ghair ki thokar pe na daal.
06:22Jidki aankhain kahan chhod ke sadka tera.
06:48Wah kya jood-o-karam hain, shag-e-batha tera.
07:04Subhanallah, subhanallah.
07:06Noman bhai, bahot khubsurat nazraane hain aqeedat.
07:08Kalam aapne samaat farmaaya.
07:10Kalam-e-ala Hazrat Azim-ul-Barkat Imam Ahmad Raza Khan alaihi rahma.
07:14Aur tazmeed hain Naseer-e-Millat Pir Sayyid Naseer-ud-Din Naseer Rahmatullah alaihi ki.
07:18Allah kareem, dono buzurgon ke madaraj mein aur unke maratib mein aur balandiya naseeb farmaayi.
07:24Aayiye, aaj ke stock show mein,
07:26jo Hazrat Khwaja Nizam-ud-Din Auliya Rahmatullah alaihi ki zaat-e-satuda sifaat ke baare mein
07:31haqiqatan aagahi ka ek program hain.
07:34Uska agaaz karte hain.
07:35Pehla episode already aap mulaahiza kar chuke.
07:38Aaj ke doosre episode mein,
07:39doosri nashist mein aapka khair makdam hain.
07:41Guftagu ka agaaz karte hain.
07:43Janab-e-Doctor Irfanullah Saifi sahab se.
07:45Doctor Sahib Qibla,
07:46tarteeb baar aaj humaari yeh doosri nashist hain.
07:48Aur Bazm-e-Mahboob-e-Ilahi mein doosri haadri hain.
07:51Hum aaj ki nashist mein,
07:52ibtadaan, aap se samajhna chahenge
07:54ke jo Auliya Allah hain,
07:56Allah ke kareem mande,
07:58inka jo taaluk Billah hain,
08:00humein isko samajhne ki zaroorat hain,
08:02ki inka Allah se taaluk kitna mazboot hain,
08:04kitna acha hain,
08:05aur kitna khubsurat hain,
08:06jaa ke hum uske tataubo mein,
08:07apni zindagi mein tabdil hi raa sakayin.
08:09Bahut shukriya.
08:11Jazakumullah khaira,
08:12aur is khubsurat program mein,
08:14haadri par Allah ta'ala ka shukr guzaar hun,
08:17ki Allah ta'ala ne apne nek bandon ki,
08:19yaad mein baithne ki tofeeq ata farmayin.
08:21Alhamdulillah.
08:22Allah ke nek bande,
08:23Auliya Allah,
08:25yeh wo khush naseeb hastiyan hain,
08:28jo Allah ke karam ki chaadar ke neeche hote hain.
08:30Subhanallah.
08:31Khubsurat ta'ala.
08:32Aur Allah ta'ala humesha,
08:33in par apni nazar-e-karam farmayi rakta hai.
08:36Auliya-e-karam,
08:38Allah ta'ala hum kahte hain,
08:40ki yeh Allah ke wali hain.
08:42Aur jab ek marhala aata hai,
08:45toh Allah farmata hai,
08:46ki yeh mere wali hain,
08:47aur main inka wali hun.
08:48Kya kehne hain?
08:50Quran-e-Majeed mein,
08:51farmaya gana,
08:52ala inna auliya Allah,
08:53Allah ke wali,
08:54laa khaufun alaihun.
08:55Quran-e-Majeed ki andar hi,
08:56ek aur jagah farmaya,
08:57nahnu auliyaakum fil hayat-e-duniya,
08:59wa fil akhirah.
09:00Allah hu akbar.
09:01Yeh nahan bhi inka wali hain,
09:02aur aakhirat mein bhi inka wali hun.
09:05Toh isse humein yeh samajh aati hai,
09:06ki yeh jo ta'aluk hai,
09:07yeh do tarfa ta'aluk hai.
09:09Jo ta'aluk billa auliya-e-karam ka hai.
09:13Safidur bhai,
09:14iska aagaz jo hota hai,
09:15wo imaan aur taqwa se hota hai.
09:17Jo aam kaifiyat hai,
09:19ki aadmi jab imaan laata hai,
09:21aur taqwa ikhtiyar karta hai.
09:22Allazeena aamanu,
09:23wakaanu yattaqun.
09:25Imaan le aaye,
09:26taqwa ikhtiyar kiya.
09:27Ab isse jo agle marhale,
09:28se mazeed ta'aluk mein,
09:29mazeed mazbooti peyda karte hain,
09:31wo jitni muhabbat badti jati hai,
09:33usni usni chashni badti chali jati.
09:35Farma wallazeena aamanu,
09:37ashaddu hubbal lillah.
09:39Imaan wale wo hai,
09:40imaan aagaya, taqwa aagaya,
09:41ab us imaan wale jo hain,
09:43us muhabbat mein mazeed
09:44aagey badte chali jate hain.
09:46Aur ashaddu hubbal lillah ke maqam pe pohonshte hain.
09:48Jab is maqam pe pohonshte hain,
09:49toh Allah tabarak wa ta'ala ki deed hoti hai,
09:51toh phir Allah ta'ala mazeed karam farmata hai.
09:55Phir isse aagey badte hain,
09:56toh Allah tabarak wa ta'ala ke zikr mein masroof hote hain,
09:59aur phir wo zikr kaisa hai,
10:00phir baaki muhabbatin peechay rahe jati hain,
10:02baaki cheezein khatam ho jati hain,
10:04aur wo,
10:05allazeena yadkuroon Allaha qiyamam,
10:07wa qu'oodam wa ala junoobihim.
10:09Phir wo khade Allah ko yaad karte hain,
10:11baithe Allah ko yaad karte hain,
10:12lete Allah ko yaad karte hain.
10:14Allah ki muhabbat mein istare gharak ho jate hain.
10:17Aur phir unki,
10:18jo logon se muhabbat hoti hain,
10:20ya logon se nafrat hoti hain,
10:21uska bhi marqaz aur mamba Allah ki zaat ban jati hain.
10:24Al hubbu lillah,
10:25wal bughzu fillah.
10:26Phir iska mazhar-e-atam ban jati hain.
10:28Aur agar kisi ke saath unko muhabbat hain,
10:31toh uska maqsad bhi Allah ki rizah hain.
10:33Aur agar kisi ke saath muhabbat nahi hain,
10:35ya Allah tabarak wa ta'ala ke kisi bhi bande ke saath,
10:39wo doosra taaluk hain,
10:40toh wo bhi al-bughzu fillah ka mazhar-e-atam bante hain.
10:43Aur phir,
10:44jab isse aagey badte hain,
10:45toh phir Allah ki makhlook,
10:47wo Allah tabarak wa ta'ala ki mazeed muhabbat ata karti hain,
10:50firmaaya,
10:51al khalqu ayaalullah.
10:52Makhlook Allah ka qumba hain.
10:54Aur Allah ko sabse mahbood banda wo hain,
10:56jo Allah ki makhlook se muhabbat karta hain.
10:59Yani yeh saari muhabbat hain,
11:00ya katti hoti hain,
11:01yeh idhar se.
11:02Yani,
11:03bande ki taraf se yeh taaluk hain.
11:04Aur phir udhar Allah ki taraf se kya?
11:06Allah tabarak wa ta'ala firmata hain,
11:08ki bande,
11:09ab tu iss maqam pe aagaya hain,
11:10ab meri taraf se sun,
11:11main tuja kya karam firmata hain.
11:13Firmaaya,
11:15aur phir aisa madadgaar hoon,
11:16ki ab iss par mohr lagadi hain,
11:20ab yeh aisi mohr hain,
11:21ki iss mein koi tabdeeli nahin hogi hain.
11:22Yeh taaluk Allah tabarak wa ta'ala,
11:24apne bande ko biyaan wa maa raha hain.
11:26Aur phir firmaaya,
11:27tumne mera zikar kiya,
11:28fazkuruni azkurukum,
11:29tum mujhe yaad karte rahein,
11:30ab main tumhare charche karunga.
11:32Yeh taaluk ki ek jihat yeh hain.
11:34Phir,
11:35issi taaluk ke andar,
11:36jo banda apni muhabbat Allah ki khidmat mein pesh karta hain,
11:39Allah tabarak wa ta'ala,
11:40us bande ki muhabbat,
11:41makhlook ke dil mein daal deta.
11:42Innal lazeena aamanu wa aamilus saalihaati,
11:45saya ja'alu lahum urrahmaanu wudda.
11:47Allah ta'ala,
11:48us bande ki muhabbat,
11:50bandon ke dil mein daal deta.
11:51Phir,
11:52bande muhabbat karte hain.
11:53Phir,
11:54ek kaifiyat aur ek maqam yeh aata hai,
11:55Allah ta'ala firmaata hain,
11:56ki ab mere bande ko,
11:57agar mere bande ko jaanna chahate ho,
11:59mere wali ko dekhna chahate ho,
12:01toh us shahs ko dekho,
12:02jis ko dekhkar tumhe Allah yaad aajain.
12:04Izaara'u zukir Allah.
12:07Us ko dekh ke Allah yaad aajain,
12:08toh samjh lo ke yeh mera wali hain.
12:10Aur Allah ta'ala,
12:11apne jo kamalaat hain,
12:14us bande ke andar jamaa firmaa deta hain.
12:16Phir,
12:17Allah firmaata hain,
12:18mai uske haat ban jaata hun,
12:19jisse wo pakarta hain.
12:20Phir,
12:21mai uske aankhe ban jaata hun,
12:22jisse wo dekhta hain.
12:23Mai uske kaan ban jaata hun,
12:24jisse sunta hain.
12:25Yani,
12:26wo banda,
12:27ab Allah tabarak wa ta'ala ke kamalaat ka
12:28mazhar-e-atam ban jaata hain.
12:30Toh,
12:31jo Allah ka wali hain,
12:32uska ta'alook billah,
12:34ki wo saari umar,
12:35Allah ke hukam ke mutaabak,
12:36aur Allah ki muhabbat mein,
12:37Allah ki riza ke liye basar karta hain.
12:39Aur Allah kareem fir,
12:40us par karam yeh firmaata hain,
12:42ki uski duniya bhi,
12:43aur uski aakhirat bhi,
12:44apne karam ke parde mein le aata hain.
12:46Aur phir firmaata hain,
12:47ki mera banda jo hain,
12:48mere karam ki chaadar ke neeche rahe hain.
12:50Subhanallah.
12:51Aur phir,
12:52wo banda saari umar,
12:53Allah ke karam ki chaadar ke neeche rahe hain.
12:54Bahut khubsurat hain,
12:55Ghazi Doctor sahab.
12:56Doctor Ifanullah Saifi sahab ne,
12:57yeh jahan baat firmahi,
12:58wo badi dilruba hain,
12:59woh bahut attract karne wali hain,
13:01ki yeh jo muhabbat hain na,
13:02bande ki sirf Allah se nahi hain,
13:04yeh Allah ki bhi bande se,
13:06yaani muhabbat ka two way traffic hain,
13:08yeh one way nizam nahi hain.
13:10Allahu Akbar.
13:11Mujhe apni maa boli,
13:12punjabi zubaan mein kehne deejiye,
13:14ki unnu kadi na maahi milaya,
13:16jida do karanda sanja.
13:18Unnu kadi na maahi milaya,
13:20jida do karanda sanja.
13:21Ikko paasa rakni heere,
13:23khede rakhiya ranja.
13:25Allahu Akbar.
13:26Allahu Akbar.
13:27Allah kareem hume nismat ka sahih mahfoom ata firmahi.
13:29Aaj ki is khususi episode mein,
13:31yaha ek muhtasar sa waqfah hai.
13:33Wapas aatein hain,
13:34toh Nizami sahab Qibla se guftagu ka silslah,
13:36hum aage badhaa denge.
13:37Jina aazirin khushamdeed.
13:38Hazrat Mahboob-e-Ilahi rahmatullahi alaihi ki,
13:40is mubarak bazm mein,
13:42poori duniya ke nazareen ka,
13:43airway qtp par khair magdam hain.
13:45Guftagu ka silslah humein,
13:46Mufti Ghulam Yasin Nizami sahab se aage badhaana hain.
13:49Mufti sahab Qibla,
13:51Hazrat Nizamuddin Auliya.
13:53Poori duniya waise hi unhe Mahboob-e-Ilahi kehti hain,
13:56toh jo banda khud Mahboob-e-Ilahi ho,
13:59uske Allah ke saath taaluka aur zauk-e-ibadat ka darja kya hoga,
14:03is par kuch aap irshaad firmahiye.
14:07Bismillah-ir-Rahman-ir-Rahim.
14:10Hazrat Khawaja Nizamuddin Auliya ke taaluk billah ko dekhena,
14:14toh unmein humein jo jo jihatein malum hoti hain,
14:18sabse pehli baat toh yeh hain,
14:19Muhabbat-e-Ilahi,
14:21aur uske baad dekha jaaye,
14:23Ibadat-e-Riyazat,
14:24Zikr-o-Fikr,
14:26Sabr-o-Raza,
14:27Tawakkul-al-Allah,
14:29Zuhd-o-Saadgi,
14:31aur uske baad,
14:32Muhabbat-e-Ilahi aur Khidmat-e-Qalq.
14:35Yeh aapki zaat ki andar numayan sifat hain,
14:38aur iske ilawa Ikhlas,
14:40yeh wo numayan sifat hain,
14:42ke jo aapke taaluk ko waazi karteen hain,
14:46aur humein is baat ka dars deti hain,
14:48unke pair-o-qaaron ko is baat ka dars deti hain,
14:50ke aapka taaluk Allah ke saath kaisa hona chahiye.
14:53Khubsoorat.
14:54Agar hum Muhabbat ki baat karein,
14:55duniya jahan ki tamaam cheezon se badh kar,
14:59aap Allah ki zaat se muhabbat farma chahiye.
15:01Aur yeh Nabiy-e-Muazzam,
15:02Shafi-e-Mukarram ka tariqa-e-qaar hain.
15:04Waah, Subhanallah.
15:06Aapki muhabbat ka markz-o-mahwar jo hai,
15:08wo sirf Allah ki zaat hain.
15:10Aur iske baad agar hum aapki ibadat-o-riyazat ko dekhen,
15:12sirf faraiz ki baat nahi hain.
15:14Nawafil jo hain,
15:16wo bhi aap humesh ki, unpar humesh ki,
15:18iqtiyar farmaati hain.
15:20Chalte, pirte,
15:21jis tarah ki Doktor sahab ne beyaan farmaaya,
15:23uthte, baithte,
15:25huma waqat Allah ko yaad farmaate rehte hain.
15:28Aur sirf zubaan se nahi,
15:30balke yeh yaad-e-ilahi jo hain,
15:32wo dil ki gehraiyon se hain.
15:33Subhanallah.
15:34Aap dil ki gehraiyon se Allah ko yaad farmaate hain.
15:37Aur aap apne maanane walon ko is baat ka dars dete hain,
15:40jo aadmi chahate hain,
15:42ki uska maqam Allah ki baargah mein buland ho,
15:45aur Allah paak ussi apni nimto wali jannat mein jagah ataab farmaaye,
15:48to usse zikr ko laazmi pakarna chahiye.
15:51Ab yeh muazzam shafi-e-mukarram ka farmaana hain,
15:53aapne sahaba-e-e-e-karam se beyaan farmaaya,
15:55kya main tumhe jannati shaks ki nishani na batla doon?
16:00Sahaba-e-e-e-karam ne arz ke,
16:01Ya Rasoolullah, kyu nahi?
16:02Aapne farmaaya,
16:03wo shaks jannati hain,
16:05jiski zubaan har waqat Allah ke zikr se tar pehti hain.
16:08Allahu Akbar Kabira.
16:09Aur jahan tak taalok ki aapke zuhud aur aapki saadgi ka,
16:12saada tarz-e-hayat thi,
16:15aur aap duniya jahan ki tamaam ki tamaam cheezon se be-niyaaz thi.
16:20Agar tawajju thi,
16:21to wo sirf aur sirf Allah ke zaad war thi.
16:24Aur saadgi,
16:25aam logon ke saath baitha karte the,
16:27koi baadshahana zindagi nahi thi,
16:29fakirana zindagi thi,
16:30fakar ko aap pasand farmaate hain,
16:32logon ke saath baithna,
16:33ghareeb ghurabaan ko baithna,
16:34main yahan pe yeh baat arz karna chahunga,
16:37bila imtiaaz-e-maslak,
16:39bila imtiaaz-e-mazhab,
16:41koi bhi aa gaya hain,
16:43aap uske saath baith kar khaana khaa lete the.
16:45Aapne kabhi nahi poocha,
16:47ki bhi aap kis mazhab se taalok rakhti hain.
16:50Aapka darwaza logon ke liye khula hain.
16:52Aap farmaati hain,
16:53ki dekho,
16:54agar tum chahate ho,
16:55tumhare dil ko Allah paak sukoon ki daulat naseeb farmaaye,
16:58to sukoon ki daulat ko hasil karne ka tarika ye hain,
17:01ki bhookon ko khaana khilaya ko.
17:04Aur aap isi taaleem par aap amal pehra hote hain.
17:07Aur aap farmaati hain,
17:08ki dekho,
17:09Allah ke qurb ko hasil karne ke beshumar zaraee hain.
17:12Lekin sabse bada zariya jo hai,
17:14wo khidmat-e-khalq hain.
17:15Badi khubsurat baat.
17:16Jo bhi aapke paas aaya hain,
17:17aapne usse nawaza hain.
17:18Aapne kabhi usse apni baarga se khaali haath nahi jaan hain diya.
17:22To humi bhi chahiye,
17:23Huzoor-e-Mahboob-e-Ilahi ki taaleemat ko apnaye,
17:26unki seerat-e-tayyaba ka mutala karen,
17:28aur unko apna kar,
17:29unko aage faroq deyen.
17:31Taake log unke qalb ki safaiq ka ihtimam ho sakey.
17:35Unki jo zihin ke shubahat hain,
17:37unka ihtimam ho sakey.
17:38Aur unka Allah ki zaat ke saath taaluk mazboot ho sakey.
17:41SubhanAllah, SubhanAllah.
17:42Doctor sahab,
17:43kaisi khubsurat baat Huzoor-e-Mahboob-e-Ilahi ki,
17:46mubarak khayat se,
17:48jo aapne firmaaya ki,
17:49kisi ke saath khaana bhi baithna,
17:51majlis bhi karna,
17:52toh na uska maslak poochna,
17:53na mazhab poochna,
17:54na hudood arba poochna,
17:59toh poora interview karne ke bagayar,
18:00kisi banday ko apne table ke saath shariq nahi karte.
18:03Aur waise kahte hain ki,
18:04hamari auliyah se nisbat hain,
18:05data sahab ke maane wale hain,
18:07khaja sahab ke maane wale hain,
18:08baba sahab ke maane wale hain.
18:10Lekin behraal,
18:11Allah karein ki,
18:12humein in se aamaal ki raah bhi milein.
18:13Ik bada aham sawal aapke khidmat mein rakh raho.
18:16Aap kyunki university se taaluk rakhte hain,
18:18naujman taliba talibat aapke zehre sayah padhte hain,
18:21toh yeh sawal istara ke hai,
18:24Doctor sahab Qibla,
18:28confusion phalane wale,
18:29phir ismein bahut hisa daalte hain,
18:31ki Allah ke waliyon ke mazaaraat par jayna kaise hai?
18:34Haziri kaise deni hai?
18:35Uska sharai tariqa kya hai?
18:37Aur ismein se kaun kaun se aise kaam hain,
18:39jo ghair sharai umoor mein shumar hote hain?
18:41Iska main precisely aur quickly,
18:43aap se answer chahata hoon.
18:45Safzab bhai dekhiye,
18:46pehli baat toh humein yeh yaad rakhni,
18:48ki Allah ke jo naik bande hain,
18:51wo zahiri hayaat ke saath hoon,
18:53toh phir bhi unke mahal mein barkat hoti hain,
18:56aur jab is duniya se rukhsat ho jayein,
18:58tab bhi barkat hoti hain.
18:59Yeh badi keemti baat hai,
19:01yeh zaruri hai,
19:03aur iska hawala main Quran se arz karta hoon.
19:05Allah ta'ala ne Quran-e-Majeed mein,
19:07Nabi-e-Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke waqe-e-Miraaj ka zikr farmaya,
19:10aur jo Masjid-e-Haram se lekar Masjid-e-Aqsa ka safr hai,
19:14uska zikr farmaya.
19:15Aur Masjid-e-Aqsa ki jo ta'reef Quran ne kiye na,
19:18wo kya hai?
19:19Subhanallazi asra bi'abdihi laylam minal Masjid-e-Harami ilal Masjid-e-Aqsa,
19:24allazi barakna hawlahu.
19:26Masjid-e-Aqsa wo hai jiske ird gird barkatein hain.
19:29Yaha mufassirin-e-karam likhte hain,
19:31ki barkatein toh Masjid ki andar hoti hain,
19:33toh Masjid-e-ird gird barkam ka kya matlab hai?
19:35Yeh kehna chahiye tha,
19:36ki Masjid-e-Aqsa wo hai jiske andar barkatein hain.
19:38Wo firmatein hai,
19:39Masjid-e-Aqsa ke ird gird Allah ke Nabi-on ke mizaar hain.
19:42Is wajah se farmaya,
19:44ki Masjid ke andar barkat ke hone mein,
19:46toh ikhlaaf koi nahi karega.
19:48Wo toh Allah ka ghar hai,
19:49usmein toh koi shak nahi,
19:50barkat hai hi.
19:51Lekin ird gird ki jo barkatein hain,
19:53uska matlab hai,
19:54ki Allah ke naik bandon ki qabren bhi,
19:56Allah ke barkaton ka aur anwar-e-tajalliyat ka mahwar hoti hain.
20:00Isliye jab hum us mahal mein jaatein hain,
20:02toh hum barkatein kashid kar rahe hotein.
20:04Aur barkatein wasool kar rahe hotein.
20:06Isliye humein wahan jaate hu,
20:08ek toh apni yeh soch aur apna nazriya durst rakhna chahiye,
20:11ki hum jahan aaye hain,
20:12yahan Allah tabarak wa ta'ala karam firmata hai.
20:14Hazrat-e-Syed-e-Ibn-e-Musayyib,
20:18R.A.
20:19Aur Hazrat-e-Abu-Ayub Ansari,
20:21R.A.
20:22ki misal hai.
20:23Hazrat-e-Abu-Ayub Ansari,
20:24mein jazbaan-e-rasool hain,
20:25Nabi-e-Karim Sallallahu Sallam ke
20:27kabar mubarak pe
20:28apna unhone saar rakha hua tha.
20:30Aur waqt ka governor aaya,
20:32aur usne aake kaha,
20:33Baba ji tum kya kar rahe hoon?
20:34Toh unhone saar upar uthaya,
20:36aur firmaane lage,
20:37je tu Rasool-Allah-e-Sallallahu-Wa-Sallam
20:39wa lam aatil hajara.
20:40Mein Rasool-Allah-ki-baarga mein baitha hoon,
20:42kisi patthar-ki-baarga mein nahi aaya.
20:43Allah-u-Akbar.
20:44Iska matlab hai,
20:45ki yeh concept clear karna chahiye,
20:46ki jo mizaaraat hain,
20:47anbiya-e-ikram aur auliya-e-ikram ke,
20:49unko hum wo na samjhe,
20:51ki jo hume samjhane ki koshish ki jati.
20:53Aur Doctor sahab,
20:54katakalam-e-ki-maufi se,
20:55yeh baat bhi,
20:56bada clarity ho jati iski,
20:57Hazrat-e-Abu-Ayub Ansari,
21:08Aur yeh shuru se tariqa chalta aa raha hai,
21:10Hazrat-e-Imaam-e-Shaafi rahmatullahi alaih,
21:12ek fitq-e-Imaam hain,
21:14aur wo firmaate hain,
21:15baqaida taur par kitab-o-mein maujood hain,
21:17ki main Imaam-e-Aazam Abu Hanifa ke mizaar pe hazar hota hoon.
21:20MashaAllah.
21:21Mujhe jab bhi ko masla aata hai,
21:22Imaam-e-Aazam Abu Hanifa ke mizaar pe hazar hota hoon,
21:24do rakat nafal padhta hoon,
21:25unko isaal-e-sawab karta hoon,
21:27unke waseela se Allah-ki-baarga mein dua maangta hoon,
21:30Yeh nahi yeh bada aasaan,
21:32achha salis tariqa bayan.
21:34Main sahabi ki misaal di hai,
21:36aur fir Imaam-e-fiqh ki misaal di hai.
21:38Baut achha hai.
21:39Aur isi tarah aap Auliya-e-Ikram ka tarzi amal dekhte rahein.
21:42MashaAllah.
21:43Auliya-e-Ikram hamesha buzurgon ke mizaar pe hazar hote hain,
21:46aur hazar hokar unke waseela se Allah-ki-baarga mein dua maangta hain.
21:49Hamein jo musayikh ne teeka bataya,
21:51Ahl-e-Sunnat Imaam-e-Ahmad Raza rahmatullahi alaih,
21:54Aapne firma hai ki bade adab ke saath,
21:56mizaar-e-wali par jaao,
21:58aur adab ke saath,
21:59koshish karo usko boosa na do,
22:01haath na lagao,
22:02juko na,
22:03sajde ki kaifiyat na banao,
22:04adab ke saath peechhe khade raho,
22:06aur fatiha pado,
22:07isaal-e-sawaab karo,
22:08unki khidmat mein,
22:09Allah-ki-baarga mein unke waseela se dua maango,
22:12Allah-tabarak-wa-ta'ala unke waseela se duaan ko qabool farmayein.
22:15Bahut shukriya doktor.
22:16Hamein ihtiyaat karni chahiye,
22:17aur ghair-e-sharih omoor,
22:18sajda karne se ihtiyaat karni chahiye,
22:20sajda karna haram hai bilkul,
22:22kabar par usse ihtiyaat karni chahiye,
22:24aur hamein matha tekne se bhi ihtiraaz karna chahiye,
22:26aur bilkul seedhe khade hokar,
22:28ba-adab tariqah se haaz-deed dene ki koshish karni chahiye.
22:30Shukriya doktor.
22:31Bahut shukriya.
22:32Nizami sahab,
22:33ye to adab ho gaye saare,
22:35ab ek sawaal aur bada hai humein,
22:37ke waha jaane ke maqasid kya-kya ho aapke zehan mein,
22:39kyunki zyarah jab aapki soch aur approach seedhi ho jayegi,
22:42phir rasta aasaan ho jayega.
22:43Auliya ke mazarat par jaane ke jo maqasid hai,
22:45usse se moti-moti chand baatein aap humein irshaad farma.
22:48Mere khayal mein,
22:49doktor sahab ne adab aur maqasid hain,
22:51bade khubsurat biyaan farma hai.
22:53Agar iss sawale se dekha jaye na,
22:55Auliya-e-Izam ke mazarat par jaane ka pehla maksad ye hai,
22:59ke wahaan par jaane se bande ko Allah ki raza hasal hoti hai.
23:02Sahi.
23:03Dusra maksad ye hai,
23:05ke wahaan par jaane se bande ko rohani sakoon naseeb hota hai.
23:08Subhanallah.
23:09Uske dil ko itminan naseeb hota hai.
23:12Aur jo itminan usse aam logon ke paas masoos nahin hota hai.
23:15Aur jis ke liye aaj wo poori duniya mein jo hai na,
23:18wo khak khak chanda hai.
23:20Subhanallah.
23:21Wo yasari nahin hai.
23:22Subhanallah.
23:23Ab wo wahaan par jaayega,
23:24usse par Allah ki rahamton ka nazool hoga.
23:25Barkat-e-ilahiya ka nazool hoga.
23:27Ab iske saas sa dekha jaye,
23:29wahaan par jaayega,
23:30to uska tazkiya-e-nafs hoga.
23:32Wahaan par jaane se,
23:34wo Allah ke huzur tauba karega.
23:36Allah paak wahaan par jaane se,
23:38uski tauba ko kabul farmayega.
23:40Naik logon ke paas jaane ke maqasad me se,
23:43ek maqsad ye bhi hai,
23:44ke wahaan par jaoge,
23:45to wahaan par jaane se,
23:47Allah paak tumhare gunahon ko maaf farma dega.
23:49Tum tauba karoge,
23:50Allah paak tumhari tauba ko bhi kabul farmayega.
23:53Aur isi dhara,
23:54naik logon ke paas jaane ke maqasad me se,
23:56ek maqsad ye bhi hai,
23:58ke wahaan par jaane se,
24:00tumhari muraadin aur tumhari haajat,
24:02jo hain wo poori hoti hai.
24:04Aur uski wajah kya hai?
24:05Allah ke naik log hai.
24:07Aur jab aap Allah ke naik bandon ke paas jaate hain,
24:09to wahaan par jaakar,
24:10aap Allah ke bargah mein dua maangte hain,
24:12Allah paak un naik logon ki barqaat se,
24:15aapki dua ko kabul farmata hai.
24:17Kyunki ye naik log jo hain,
24:19ye koi hamein,
24:20jis deen ki taalim de rahi hain,
24:22aur in logon ki zindagi ka maqsad ye hi hai,
24:25logon ka taalluk Allah ke saath mazboot banana,
24:28aur Allah ke rasool ke saath mazboot banana.
24:30Ab jin logon ne,
24:32logon ka taalluk Allah ke saath mazboot banaya hai,
24:34aur uske pyaar-e-rasool ke saath mazboot banaya hai,
24:37unhon par Allah ka khaas fazal hai,
24:39khaas karam hai,
24:41aur unhon par nabi-e-mauzzam,
24:42shafi-e-mukarram ki nazre-e-inaayat,
24:43nazre-e-rahmat hai.
24:45To zahir isi baat hai,
24:46jo in ke daaman se wabasta ho jaate hain,
24:48Allah paak unhe faiz yaafta jo hai,
24:50wo bhi bana deta hai,
24:52aur dono jahanon me usse kamyaab,
24:53aur kamran bhi farma deta hai.
24:55Aur agar dekha jaaye,
24:56auliyah-e-zaam ke mazaaraat par jaane se,
24:58wahaan par jaate hai,
25:00wahaan par jaane se,
25:01tajdeed-e-imaan hota hai.
25:03Woh is baat ka ahad karta hai,
25:05aaj mai is nek banday ke paas aaya hoon,
25:07wahaan par aakar,
25:08Allah paak uske dil me paida farma deta hai,
25:10ka bhi dekho,
25:11tumne ab is baat ka ahad karna hai,
25:14mere nek banday ko dekho,
25:16iski seerat-e-mubarakah ko dekho,
25:18aur tumne iski seerat-e-mubarakah ko
25:20apnaane ki koshish karni hai.
25:22Agar tum chaate ho,
25:23ki mera qurb hasil ho,
25:24to mera qurb hasil karne ka tariqah yeh hai,
25:26ki jiski baargah mein tum aakar mujhse maang rahe ho,
25:29agar tum isi ki tariqah kaar par amal karoge,
25:31to phir meri karamnawaziye ka aalam kya hoga.
25:33Yeh wo bunyadi maqasid hain,
25:35ki jin ko apnaane se,
25:37hum log Allah ki baargah mein bhi surkhur ho sakte hain,
25:40aur Allah ke pyaar-e-rasool ki baargah mein bhi surkhur ho sakte hain.
25:43Bahut accha hai,
25:44badi khubsoorti se,
25:46aapne Nizami sahab isko beyaan farma diya hai,
25:49Allah kare ke hamare liye amal ka rasta aasaan ho jaye,
25:52ek mukhtasar waqfa.
25:53Khushamdeed.
25:54Nazirin aapka khair magdam hai,
25:56Bazme-e-Mahboob-e-Ilahi.
25:57Huzoor, Nizamuddin Auliya ki bazme,
25:59doosra episode aaj aap mulahiza kar rahe hain,
26:01aapke salana urs-e-mubarak ke salsama mein,
26:03hum fakiron ka hadaya-e-niyaz unke khidmat mein.
26:06Programme ka yeh aakhri hisa hai,
26:08isko conclude karne ki hum koshish karenge,
26:10hamare aaj ka topic,
26:11jitni discussion,
26:12hum mukarrar waqt pe aapke khidmat mein pesh kar sakhe hain.
26:15Doctor Sahib, Qibla?
26:16Kaise sum up ki jayega aaj ki is nashis ko?
26:19Qibla, main arz karunga ki,
26:22Huzoor, Khaja Nizamuddin Auliya Mahboob-e-Ilahi,
26:25rahmatullah alaih ki seerat-e-tayyiba,
26:27humein yeh pegham deti hai,
26:29ki aap khaandani sharafat aur khaandani nijabat,
26:34rakhne ke ba wajood,
26:36ilm-e-zahir bhi hasl karte hain,
26:38ilm-e-batin bhi hasl karte hain,
26:39aur apni zindagi ko,
26:41Rasoolullah sallallahu alaihi wa sallam ki shariat ke mutabak guzarne ke liye,
26:44sab kuch seekhte hain.
26:45To Allah ta'ala ne jin ko yeh nijabat ata farmayi hai,
26:48aur jin ko kisi khaanwada mein,
26:50aise khaanwada mein peyda kiya,
26:51ki jis ke paas yeh dono cheezein maujood hain.
26:54Aap, Hazrat-e-Nizamuddin Auliya,
26:56apni waalida aur waalid dono ki taraf se sayyid hain,
26:58nazeeb-u-tarafain hain.
26:59Bilkul aisa hi.
27:00Aur,
27:01Auliya ke ghar mein peyda hua hain,
27:03lekin iske ba wajood,
27:04ilm-e-zahir bhi hasl karte hain,
27:05ilm-e-batin bhi hasl karte hain.
27:07To main,
27:08jo sajjadgaan hain khaas toh par,
27:10unse main arz karunga,
27:11ki aap ilm-e-zahir aur ilm-e-batin ki taraf aayen,
27:14aur,
27:15Auliya-e-Ikram ke saath hamari nisbat hain,
27:17to ham is nisbat ko salamat rakhne ke liye,
27:19unke,
27:20us mission ke saath aagey badein,
27:22jo unhone hamare saamne pesh kiya.
27:24Hazrat-e-Nizamuddin Auliya rahmatullah alaih ne,
27:27Hazrat-e-Baba,
27:28Fareed Ganj Shakar rahmatullah alaih ki,
27:30barga mene zanu-e-talammuz tahki.
27:32Aur, aapne yeh nahi kaha,
27:33ki main sayyad hun,
27:34aur yeh Baba ji Farooqi hain,
27:36to main sayyad hokar,
27:37Farooqi ki saamne jo hai,
27:38apna sar-e-niyaz kham kar rahun.
27:40Nahi,
27:41aapne haasil kiya.
27:42Balke,
27:43riwayaat mein aata hai,
27:44ki aap ke saamne,
27:45aur bhi Auliya-e-Ikram ka zikr ho raha tha.
27:47Lekin,
27:48jab Baba Fareed Rahmatullah alaih ka zikr hua,
27:50to aapka dil machalne laga.
27:51Aapne firmaaya,
27:52mujhe wahan unki barga mein jaana hai.
27:53Aur phir wahan unki barga mein gaya,
27:54zahiri bhi pada,
27:55batini bhi pada.
27:56To hamme unse,
27:58yeh faiz lene ki koshish karni chahiye.
28:00Auliya-e-Ikram se,
28:01jo hamare iss waqt ke buzurg hain,
28:03unse faiz haasil karein,
28:04ilm-e-zahir aur batin dono mein,
28:06aage badhne ki koshish karein,
28:07taake hamari khaanka ki,
28:09wo dam todti riwayaat,
28:10dubara bahaal ho sakein.
28:12Aur hamari khaanka hain,
28:13dubara abad ho sakein.
28:14Jis sara ki Hazrat-e-Baba paak ki daur mein thi,
28:16Nizam paak ki daur mein thi,
28:17aur hamare digar Auliya-e-Ikram ki daur mein thi.
28:19Allah-o-Akbar.
28:20Yaani ilm ka mahaul banayin.
28:22Wo angrezi mein ham kahtein ki,
28:23this is truly need of the hour.
28:25Yeh waqt ki bohot badhi duroorat hain,
28:27jiski taraf aapna ishara kiya,
28:28aur yeh ek tara se hamara saneha bhi hain.
28:30Allah karein ki hami sanehe se niklayin,
28:32aur yeh rasta mein bileyin.
28:33Nizami sahab,
28:34aap kaise aaj ki nishis ka khulasa-e-kalaam
28:37kaise nashar ki diyega?
28:38Main to Huzoor,
28:40Mahboob-e-Ilahi ke pair-o-kaaron se,
28:42aur digar ehle-e-imanin se,
28:44unse yehi baat arz karunga,
28:46ki aap Allah ki zaat par burosa karein.
28:48Zindagi ke tamam ke tamam muaamlaat.
28:51Agar hum Huzoor,
28:52Mahboob-e-Ilahi ke ayaat-e-mubarakah ko dekhti hain,
28:55aapne apni ayaat-e-mubarakah se,
28:57humein teen dars joh hain,
28:58wo ataab farmaya hain.
28:59Pehla dars yeh hain,
29:00izzat denewali zaat Allah ki zaat hain.
29:02Dusra dars yeh hain,
29:04ki rizq denewali zaat Allah ki zaat hain.
29:06Teesra dars,
29:07aapne humein yeh ataab farmaya hain,
29:09ki maud denewali zaat Allah ki zaat hain.
29:11Agar izzat denewali zaat Allah ki zaat hain,
29:14fir Allah se hatkar,
29:15kisi aur se izzat ki tawakku nahi rakhni chahiyein.
29:18Doosra,
29:19rizq denewali zaat Allah ki zaat hain.
29:21Aapne baadshahon ka daur bhi dekha hain,
29:23lekin kabhi kisi baadshah ke darwazein par nahi gayein.
29:25Aapne farbo,
29:26rizq denewali zaat Allah ki zaat hain.
29:28Isliye,
29:29aapne kabhi kisi se swaal nahi farmaya hain,
29:31balki aapne humesha logon ko ataahi farmaya hain.
29:34Ar tisre number par,
29:35aapne kabhi kisi ka khauf nahi rakha.
29:37Jo Allah se darne wala hona,
29:39wo kisi aur ka khauf apne dil ki andar nahi sama sakta.
29:42Jo Allah se darne wala,
29:44aapne baadshahon ka daur bhi dekha,
29:47bade bade jagheerdar the,
29:49wo bhi aapke saamne aaye,
29:51lekin aapne unke saamne haq ka alam jo hai,
29:53wo humesha buland farmaya hain.
29:55Toh Quran-e-Paq mein agar hum dekhe na,
29:57Allah Paak imaan lane ke baad,
29:59jis wasf ki ahle imaan ko sabse zyada taqeed farmata hai,
30:03wo hai tawakkul.
30:05Aaj ke daur mein dekha jaye na,
30:07is wasf ki sabse zyada zaroorat hai,
30:09ki log Allah ki zaat par borosa nahi karte,
30:11jis tarah ke borosa karne ka haq hai.
30:13Allah Paak Quran-e-Aziz mein farmata hai,
30:15jo log meri zaat par borosa karte hain,
30:17main unke liye kaafi hun.
30:19Jo meri zaat par borosa rakhte hain,
30:21main wahan se unko rizq ataah farmata hun,
30:23jahan se wahm-o-guman bhi nahi hai.
30:25Hazrat Mahboob-e-Ilahi ne apni Hayat-e-Mubarakah se,
30:27hume isi baad ka dars diya hai,
30:29tawakkul kijiye,
30:31Allah ki zaat par kaamil yaqeen rakhiye,
30:33kisi aur se izzat ki tawakku
30:35rakhne ki zaroorat nahi hai,
30:37izzat denewali zaat Allah ki zaat hai,
30:39rizq denewali zaat Allah ki zaat hai,
30:41aur kisi se darne ki zaroorat nahi hai,
30:43maud ka waqt mukarrar hai,
30:45agar aap maud ke dihane par bhi hun,
30:47phir bhi Allah ki zaat par yaqeen rakhe,
30:49wahan se bachanewali zaat bhi Allah ki zaat hai.
30:51To ye apni hume apni Hayat-e-Mubarakah se peygam diya hai,
30:53aur hume chahiye ki isi peygam ko jaagar karein,
30:55amli, yaani ispar imaan aur yaqeen bhi rakhein,
30:57aur ispar apni zindagi ko guzarne ki koshish karein.
30:59Bahut shukriya.
31:01Nadhiri na mukarram,
31:03bahut hi khubsurat paidaar guftage
31:05aaj ki nashist mein aap tak paunchi hai,
31:07program ke ikhtitami heese mein,
31:09main nihayat shukar guzar,
31:11janaab-e-doctor Irfanullah Saifi sahab aapka,
31:13Mufti Ghulam Yasin Nizami sahab aapka,
31:15Muhammad Numan Ghori sahab aapka,
31:17abhi Numan bhai aapse manqubat hume sunni hai,
31:19main do teen ashaar,
31:21hume izbaan ke taur pe khud pesh karta hua,
31:23Inshallah agli nashist mein phir aap se mulaqat hogi,
31:25janaab-e-saqib khairabadi ke chand kalimat-e-khair,
31:29manqubat Hazrat Nizam Pak ki,
31:31aur uske baad aap samaat karenge,
31:33Muhammad Numan Ghori sahab ko phir Inshallah,
31:35aaj ke program se rukhsat ke ham talabgaar honge.
31:37Wafa ki paasdari hai,
31:39nizam-o-deen kya kehna?
31:41Subhanallah.
31:43Rateef dekhiye kaisa dilruba hai,
31:45Doctor Kibla, Nizami sahab aur Ghori sahab.
31:47Wafa ki paasdari hai,
31:49nizam-o-deen kya kehna?
31:51Itaat khud gawahi hai,
31:53nizam-o-deen kya kehna?
31:55Itaat khud gawahi hai,
31:57nizam-o-deen kya kehna?
31:59Fareed-ud-deen ke dar par sare tasleem kham tera,
32:01Fareed-ud-deen ke dar par sare tasleem kham tera,
32:05Tajarrud ikhtiyari hai,
32:07nizam-o-deen kya kehna?
32:09Tajarrud ikhtiyari hai,
32:11nizam-o-deen kya kehna?
32:13Aur,
32:15An amta alaihim ka jo muzmoon hai,
32:17usse nazareen zara samaat kijiye,
32:19jisse kehta hai seedi rah,
32:21maalik apne Qur-aan mein
32:23jisse kehta hai seedi rah,
32:25maalik apne Qur-aan mein
32:27to uz raste ka rahi hai,
32:29nizam-o-deen kya kehna?
32:31To uz rate ka rahi hai,
32:33nizam-o-deen kya kehna?
32:35Mohite har zaman hu,
32:37har makaan teri wilayat hai,
32:39Mohite har zaman hu,
32:41har makaan teri wilayat hai,
32:43dilon par teri shahi hai.
32:45nizam-o-deen kya kehna?
32:47Teri Shahi Hai, Nizamuddin Kya Kehna, Jahan Se Bhi Pukara Aa Gai Imdaad Be Khatke,
32:54Jahan Se Bhi Pukara Aa Gai Imdaad Be Khatke, Ajab Aalam Pana Hi Hai, Nizamuddin Kya Kehna,
33:01Ajab Aalam Pana Hi Hai, Nizamuddin Kya Kehna.
33:04Nizamuddin Kya Kehna aur aakhri shayar hai aur bil khusus ulema ke nazar hai,
33:09Faqeeh-e-Safshikan, Bahas-e-Dauran Fi Sabeelillah.
33:14Yeh Hazrat-e-Nizam-e-Paki jawani ke ahwal hai.
33:17Faqeeh-e-Safshikan, Bahas-e-Dauran Fi Sabeelillah.
33:21Abhi Toh Naujawani Hai, Nizamuddin Kya Kehna.
33:25Allahu Akbar.
33:26Abhi Toh Naujawani Hai, Nizamuddin Kya Kehna.
33:29Nizamuddin Kya Kehna.
33:31Wafa Ki Paasdari Hai, Nizamuddin Kya Kehna.
33:34Allah Kareem, hamare tamam kalimat Nizam-e-Paki Bargah Mein Kabool Farmai,
33:38Wo Pasand Farmai, Hame Apni Bargah Se Bhi Khairat Ata Farmai.
33:42Aakhir Mein Manqabat Sunte Hain, Muhammad Numan Ghor Hisaab Se.
33:45Bahuzur, Mahboob-e-Ilahi.
33:47Mohe Apne Hi Rang Mein Rang De Nijam.
33:56Mohe Apne Hi Rang Mein Rang De Nijam.
34:03Tu Hai Sahib Mora, Mahboob-e-Ilahi.
34:11Mohe Apne Hi Rang Mein Rang Le Nijam.
34:20Rang Ki Rangai Jo Tu Mange, Rang Ki Rangai Jo Tu Mange.
34:36Mora Joban Girvi Rakh Le Nijam.
34:50Tu Hai Sahib Mora, Mahboob-e-Ilahi.
34:58Mohe Apne Hi Rang Mein Rang Le Nijam.
35:06Mori Chunariya, Pee Ki Pagadiya.
35:23Ho To Basanti Rang De Nijam.
35:30Mohe Dono Basanti Rang De Nijam.
35:37Mohe Dono Basanti Rang De Nijam.
35:44Tu Hai Sahib Mora, Mahboob-e-Ilahi.
35:51Mohe Apne Hi Rang Mein Rang Le Nijam.
36:00Nizamuddin Auliya, Tu Peer Mera.
36:17Mori Laj Sharam Sab Rakh Le Nijam.
36:31Tu Hai Sahib Mora, Mahboob-e-Ilahi.
36:39Mohe Apne Hi Rang Mein Rang Le Nijam.
Recommended
Mehfil Bari Giyahrven Shareef | Shaikh Abdul Qadir Jilani RA | 14 Oct 2024 - Part 2 | ARY Qtv
ARY QTV
Mehfil Bari Giyahrven Shareef | Shaikh Abdul Qadir Jilani RA | 14 Oct 2024 - Part 1 | ARY Qtv
ARY QTV
Mehfil Bari Giyahrven Shareef | Shaikh Abdul Qadir Jilani RA | 15 Oct 2024 - Part 2 | ARY Qtv
ARY QTV