• 5 months ago
#ImranKhan #BarristerGohar #PTI #NewsBulletin

Follow the ARY News channel on WhatsApp: https://bit.ly/46e5HzY

Subscribe to our channel and press the bell icon for latest news updates: http://bit.ly/3e0SwKP

ARY News is a leading Pakistani news channel that promises to bring you factual and timely international stories and stories about Pakistan, sports, entertainment, and business, amid others.

Official Facebook: https://www.fb.com/arynewsasia

Official Twitter: https://www.twitter.com/arynewsofficial

Official Instagram: https://instagram.com/arynewstv

Website: https://arynews.tv

Watch ARY NEWS LIVE: http://live.arynews.tv

Listen Live: http://live.arynews.tv/audio

Listen Top of the hour Headlines, Bulletins & Programs: https://soundcloud.com/arynewsofficial
#ARYNews

ARY News Official YouTube Channel.
For more videos, subscribe to our channel and for suggestions please use the comment section.
Transcript
00:00Welcome back.
00:05Justice Retired Musheer Alam ke baad Justice Retired Maqbool Baqir ne bhi Ad-hoc Judge
00:09banne se mazarat karli.
00:11Maqbool Baqir ne zaati masroofiyat ke baayes Ad-hoc Judge banne se mazarat ki hai.
00:15Justice Retired Maqbool Baqir ne kaha hai, Ad-hoc Judge ki tayyunati ghairaini nahi.
00:20Chief Justice Qazi Faiz Isa nek niyati se yeh kaam kar rahe hain.
00:23Chief Justice ka yeh ikdaam saufi, sadaini aur kanuni hai.
00:27Justice Retired Maqbool Baqir, Supreme Court ke Judge aur Nigram Wazir-e-Ala Sindh bhi
00:44rahe hain.
00:47PTI ne Supreme Court me Ad-hoc Judges ki tayyunati ki mukhalifat kardi.
00:53Adiala Jail me Bani PTI se, mulaqat ke baad Chairman Barrister Gauhar kehte hain, Supreme
00:58Court me Ad-hoc Judges lagana munasib nahi, apna maaqif Supreme Judicial Council bhej rahi
01:03hain.
01:04PTI par pabandi hukumat ke khatme ka aqas hoga.
01:07Opposition Leader Umar Ayub ne kaha, Election Commissioner istifa de, warna Article 6 lagega.
01:11Asad Qaisar ne dawa kiya Nawaz Sharif raah-e-faraad dhund rahi hain, jal chale jaayenge.
01:17Yeh Ad-hoc-ism Azad-e-Adliya ke liye mauzar hain, aaj hum saare reservation likar Supreme
01:25Judicial Council me hum bhej rahein, ki inko mad-nazar rakte hue aise ikdamaat se aap kuraiz
01:31karein.
01:32Pakistan Tehrik-e-Insaar, sattar peesat Pakistaniyon ki tarjumaan Jamaat hain, ispe koi bhi pabandi
01:39hukumat ke khatam hone ki tarab countdown hoga.
01:43Deep Election Commissioner, uske tamaam Commissioner fail-poor resign karein, warna inke khilaab
01:49Article 6 lagne chahiye.
01:50Kisi ka baap bhi Pakistan Tehrik-e-Insaar ko nahi ban kar rahein.
01:53Islamabad ka jalsa bhi hoga aur amaare bharpoor jalsa hone hain poore Pakistan mein.
01:59Jis tarah se hareen shrikati ho rahi hain, usse yeh mult aage nahi daa sakta.
02:04Main toh samjhta hu ki Mian Nawaz Sharif baag niwala hain.
02:06Raah-e-faraad tab birega, jab aap public mein aao, elaan karo, maafi maangao, kaho,
02:11yeh yeh jali mandate hain mere paas, asli mandate Tehrik-e-Insaar ke paas hain, Imran Khan ke paas hain.
02:17Wifaakhi Wazir-e-Qanoon ne Ad-hoc Judgeon ki haimat kar di.
02:21Azam Nazeer Tarar kehate hain, Ad-hoc Judge Chief Justice ne nahi, Judicial Commission ne muqarar karne hain.
02:25Aayin Ad-hoc Judgeon ki tayyunati ki ijazat deta hain.
02:29Supreme Court me Ad-hoc Judge tayyunat hone chahiye.
02:33Kisi ka baap bhi Tehrik-e-Insaar par pabandi nahi laga sakta.
02:36Opposition Leader Umar Ayub ki lalkaar.
02:39Bole Nawaz Sharif, Shahbaz Sharif aur Maryam Nawaz yaad rakhe hain,
02:42hamaare Leader ko jail mein daalne ki baawajood PTI nahi kuch nahi jaa sakhi.
02:46Bauklahat ka shikar hukumat hamaare MNAs aur MPS ko giraftar kar rahi hain.
03:10Kisi ka baap bhi Pakistan Tehrik-e-Insaar nahi ban kar sakta.
03:14Hum log Yadalton mein jayenge.
03:15Yeh log, yeh bilkul bukhla aage hain.
03:18Hamaare MNAs aur MPS ko utha rahe hain.
03:20Unke khilaf yeh parche kar rahe hain anti-corruption ke.
03:24Besiyat hai Leader of ki Opposition Qaumi Assembly mein.
03:27Aaj maine Privilege Motion daal diya hain.
03:29IG Jail Khana Jaat, IG Punjab.
03:32Jotout hai Dr. Usman.
03:33Home Secretary, Jail Superintendent.
03:35Insano ko waha pe hum log summon karenge.
03:38Makhsoos nashistein PTI ko deni hain ya nahi.
03:41Election Commission aaj faisla na kar paya.
03:43Mushawarat ke liye kahl dobara ejlaas talab kar liya gaya.
03:46Makhsoos nashiston par Supreme Court ke faisle par amal dharamat ke liye.
03:50Chief Election Commissioner ki sarbarahi mein ejlaas munaqid hua.
03:52Jisme Secretary Election Commission aur Legal Wings ke hukam ne briefing di.
03:56Zaraay ka kehna hai, ejlaas mein Supreme Court faisle ke muhtalif pehloon par ghaur kiya gaya.
04:00Aur mazeed mushawarat ka faisla kiya gaya.
04:03Iss silsele mein kahl dobara ejlaas bulaya gaya hai.
04:08PTI Rukne Assembly Jamshed Dasti aur unke bhatije ke khilaf muqaddimah darjh kar liya gaya.
04:14Thana City Muzaffargarh mein Darjh muqaddimah mein dahshat garti ikdaam-e-qatl samein digar
04:19defaat shamil hain.
04:20Jamshed Dasti par Muharram-ul-Haram ke dauran snap-checking par police party par hamla karne
04:25ke ilzaam lagaye gaye hain.
04:26Doosri taraf halka 170 ki MNA Mawazim Jatoi do roz se anti-corruption ki tehbeel mein hain.
04:32Mawazim Jatoi ko anti-corruption hukam Darjh muqaddimah mein remand ke liye adalat pehsh
04:36karenge.
04:37Mawazim Jatoi ko anti-corruption ne Multan mein unki rehaish gah se ghiraftaar kiya tha.
05:07Balochistan Police tahdari remand ki istada par zor nahi de rahi.
05:11Judge ne Sanam Javed ke waqeel se istafzaar kiya ki internet par dekha Sanam Javed bahut
05:15na munasib zaban istamal karti hain.
05:17Aap zamanat dete hain ke wo na munasib guftagu nahi karengi.
05:21Waqeel ne yaqeen deha nahi karwai ki Sanam Javed ainda na munasib lafz istamal nahi karengi.
05:25Sanam Javed ke waqeel ka kehna tha ki do din mein Islamabad aur Quetta mein Darjh muqaddimah
05:30wapas liye jaayenge.
05:37Ki humein qal tak jo promise kiya gaya hai ki yeh dono muqaddimahat Balochistan ke aur
05:42jo Islamabad ke iski kharaj report dee jaayenge aur magisterial court ki karwai ki jaayenge.
05:46Aake bhadke hum wazir taur par main Sanam Javed Khan sahab aur Ali Bukhari sahab unki
05:52family ki taraf se Attorney General for Pakistan ka zaati taur par shukur guzaar hain.
05:57Yaha pe main ek bahut important baat mazeed karna chahunga ki Sanam Javed Khan sahiba
06:01ki haqat to yeh masla jo hai wo hal ho gaya hai.
06:04I am sure ki yeh Attorney General for Pakistan yehi advice wo State of Pakistan ko jo baaki
06:09khawateen hain Aliya Hamza sahiba aur Dr. Yasmeen Rashid sahiba inki haq tak bhi yehi
06:14advice deyenge aur yehi wo word of caution aur word of advice wo niche provincial governments
06:18pra communicate kiya jaayega aur unki rehai bhi wo ab jaldas jal yakini banayi jaayega.
06:24Bani PTI aur Bushra Bibi Satosha Khana case mein chauthi baar pooch karch.
06:28NAB team ne Adiala jail jaa kar dono mulzimon se tafteesh ki Mohsin Haroon ki sarbarahi
06:33mein NAB team Adiala jail pohchi.
06:35Deputy Director Mustansar Abbas bhi team mein shamil the.
06:38Zarai ne bataya NAB team ne taufeh mein milne wale jewellery set se mutaalik sawal kiye.
06:43NAB team ne takriban ek ghante tak mulzimon se sawal kiye.
06:46NAB ne ihtisab adalat se mulzimon ka 8 roz ka jismani remand hasal ke rakha hai.
06:54Karachi se tajabuzat ke khatme ke liye sakht ikdamat ka faisla.
06:58Wazir-e-Ala Sanmuradar Ishaan ne kaha hai ki unhe ek hafte mein shahid saaf sutna chahiye.
07:02Wazir-e-Ala ne Karachi se tajabuzat ke khatme se mutaalik ijlaas talab kar liya.
07:07Wazir-e-Ala ne kaha footpath, green belts, sadko se tajabuzat hatane ke liye
07:12do hafton mein plan tarteeb dene ki hidayat di thi.
07:14Ek hafta ho chuka, hikmat-e-amli se agah karein.
07:17Saaf sutna shahid chahiye.
07:19Awam ki guzh-e-gahon par kisi khasam ki koi rukawat manzoor nahi.
07:22Parking areas baqaatgi se namzat kiye jaayen.
07:25Sadak par parking ke bilkul ajazat nahi hogi.
07:27Busen banane ki sabse badi company Karachi mein plant lagayegi.
07:35U-Tong company ke ahuddaron ki subah-e-wazir Sharjeel Inam Memon se mulaqat.
07:40Sharjeel Memon ne bataya U-Tong buson ka plant lagane ka kaam teen maah mein shuru hoga.
07:44Agle saal kaam mukammal ho jayega.
07:46Plant mein U-Tong ki intracity aur electric busen banegi.
07:49Karachi mein buson ki tayyari se zare mubatla bachaye jaa sakega.
07:53Buson ki baramadat se mulk ko fayda hoga.
07:58Wapas aayenge iss break ke baad humare saath rahiye.
08:05Welcome back.
08:07Afsoos naak kabar aapko nahi.
08:08Pakpatan mein awara kutte ke kaatne se saath maa ka bachcha jaan bahak ho gaya hai.
08:13Kutte ne ghar mein ghus kar bachche ko noch khaya aur logon ne kutta maar diya hai.
08:18Pakpatan mein awara kutte ke kaatne se saath maa ka bachcha jaan bahak ho gaya hai.
08:22Imdad Hussain iski tafseel batayenge.
08:24Imdad yeh bataye kaise ghus kaya yeh kutta ghar ke andar?
08:54Muntikal kiya jaa raha tha jo raaste mein hi zakhmo kitab na laate huye dham tod gaya.
08:59Jee.
08:59Theek. Shukriya aapka imdad.
09:04Hukumat IPPs ko bola kar kahe, mohide par amal dharamat nahi kar sakte.
09:08Cheeni companies ko kahin khuda ke waaste hum par rahim kare.
09:11Companies se baat kare, mohide dubara karna chahate hain.
09:14MKM Rehnuma, mehngi bijli ke maamle par phat pade,
09:16bole yeh masala kisi dahshat gardi se bhi bada hai.
09:19Hukumat saare kaam chod kar power emergency declare kare.
09:24Power sector ke masala hai, yeh bijli ka masala hai,
09:28yeh Pakistan ki survival ka masala hai.
09:31Yeh Pakistan ki security ka masala hai.
09:33Yeh kisi bhi dahshat gardi se bada masala hai.
09:35Allah ke waaste saare kaam chod kar,
09:3840 IPPs ko bola kar batao,
09:40tum chaand par nahi reh rahe,
09:41toh foran jeh wo aap yeh capacity charges mein adha hone wale agreement ko,
09:46is clause ko pharek kare.
09:48China jayiye,
09:498 point agenda bhi,
09:50batayein ki humse ghaldi ho gayi,
09:52humne yeh ghalat mohide kar liye,
09:53Chinese government apne Chinese companies ko bole,
09:56ke Khuda ke waaste hum par rahim karein,
09:58hum default karna chahatein.
10:03Karachi mein garmi ke waad jaari,
10:04aaj heat stroke ke unachast case report hua,
10:07jinmein se 2 mareez intikal kar gaye.
10:102 din mein mukhtalif alaakon se 20 afraat ki laashe mili,
10:13jinmein se 15 afraat nashae ke yaadi the,
10:15June mein ab tak 51 afraat jaan se jaa chuke hain.
10:18Anwar Khan ke report dekhiye.
10:20Garmi ke shiddast se mutasara,
10:2236 afraat se Prasoparal Karachi ki emergency mein report hua,
10:24jine tibhi imdaad dekar pharek kar diya gaya.
10:26Mutasara afraat mein sabse zyada mazroor shamil hain.
10:29Amwaad hui hain, wo 2 hui hain.
10:30Humare paad is waqt tak jo aaein 15 patient to aa chuke hain.
10:33Lekin Alhamdulillah aisa koi nahi hain,
10:35kisko ICU ya kismein admit karna pade.
10:37Timardar kehte hain,
10:38ke badtareen load shedding ke baayez,
10:39gharon mein riyashpazir afraat,
10:40namkiyaat ki shadeed kabhi ka shikar ho jate hain.
10:435-5 ghante inhone laite ban kariwi hain.
10:451-1.5 ghante laite kholte hain,
10:47wo phir laite ban kar dete hain.
10:48Saans ruk raha tha,
10:49saans zyada garmi ke waise,
10:50saans hi nahi aa raha tha usko.
10:51Jina hospital mein garmi se mutasara,
10:5312 madridon ko laaya gaya tha,
10:54jabki Abbasi Shahid Hospital,
10:55Sindh Government Hospital,
10:56Liaqatabad,
10:57New Karachi,
10:58Saudabad,
10:58aur Qutr Hospital,
10:59Aurangi mein bhi garmi se mutasara afraat report hua,
11:02jine tibhi imdaad dekar discharge kar diya gaya.
11:04Karachi mein Mai se shuru hane wale
11:06tabeer tareen garmi ke durane ka saisala badar soor barqaraar hai.
11:08Is duraan shahir ki muktalif ilaagon mein,
11:10battareen load shedding ne Karachi ki shahidiyon ke liye
11:12masaal ko aur sangeen bana diya hai.
11:14Cameraman Mohammad Ishaan ke saath,
11:15Anwar Khan, ARY News, Karachi.
11:18Karachi ki sakht garmi mein wakala bhi pareshan.
11:20Karachi Bar ne kala kot pehne se istasna maang gaya.
11:24Karachi Bar Association ne session,
11:25judges ko khat lik diya.
11:27General Secretary Iqtiyar Ali Chana ne khat mein kaha,
11:29shahir mein ghar maamuli garmi hai.
11:31Wakala ko 10 roz ke liye kala kot pehne se istasna diya jaye.
11:35Heat wave jaisi surat-e-haal mein,
11:36wakala ke liye kala kot pehna challenge se kam nahi.
11:39Kot pehne kar kaam karna,
11:40sahid ke liye naqsaan de saabit ho raha hai.
11:45Punjab ke beshtar ilaagon mein,
11:47ek gara chammak ke saath baarish aur tez hawaaye chalne se
11:49garmi ka zoor toot kaya.
11:51Magar muttaadid ilaagon mein,
11:52nakasi ke naakis intijamaat ki wajah se,
11:54sadakon par paani jamaa hu gaya.
11:56Mehkma-e-mausam-e-aap ne aaj aur kal
11:58vasti punjab mein urban flooding ka khadisha zahir kiya hai.
12:01Punjab mein aandhi aur baarish ke gattod ne
12:03garmi ka zoor toot diya.
12:05Lahore mein tez aandhi ke baad paadal barse,
12:07garmi ke sataayi shehriyon ke chehrein khil uchhe.
12:13Gujarat mein sharid baarish hui,
12:14toh sadkein paani-paani ho gayi.
12:16Tipni Commissioner Office,
12:17Municipal Corporation Office bhi mehfooz na rahe,
12:20sirf ish lineon ki bandish se
12:22paani ne nashebi ilaakon ka root kar liya.
12:24Malakwal mein tez hawaon ke saath barsaat hui.
12:27Mutaadit alaakon mein feeder strip hone se
12:29bijli muhatal ho gayi.
12:30Gujranwala, Chiniot, Farooqabad, Hafizabad
12:33aur Jalalpur Bhatia mein,
12:35galiyan aur bazaar talaap ka manzar pesh karne lage.
12:41Sheikhupura mein bhi tez hawaon chali,
12:43saath hi tip tip boone barsi,
12:45toh waabja ke mutaadit feeder strip kar gaye.
12:48Duska, Sialkot aur Wazirabad mein,
12:50garh chamak ke saath baarish chali.
12:52Garh chamak ke saath baarish ne garhmi ka soh toh diya.
12:55Mehkmeh mausamiyat ke mutaabik,
12:57aaj aur kal,
12:58wasti Punjab mein urban flooding ka faksha hai.
13:01Moonsoon baarishon ka silsila,
13:0221st July tak jari rahega.
13:05Balochistan ke ilaakon,
13:06Job aur Qala Saifullah mein,
13:08shadeed baarish ke baad,
13:09sailabi surat-e-hal hai.
13:10Job mein, Danasar ke maqam par,
13:11land sliding se,
13:13qaumi shahra mutaasir hui.
13:14Qala Saifullah mein bhi,
13:15baarish ke baayaz,
13:16qaumi shahra mutaasir hui hai.
13:17NHA aur zillai intazamiyat ne,
13:19hangami buniyadon par kaam karte hui,
13:21Qala Saifullah ke maqam par,
13:22qaumi shahra ko traffic ke liye bahal kar diya.
13:24Job mein, Danasar ke maqam par,
13:26bahali ka kaam abhi jari hai.
13:40Garhmi ke saath,
13:41barf ki maang bhi badh jaati hai.
13:42Jama hua paani,
13:43900 rupee fee can tak pahun chuka hai.
13:46Chand minute mein,
13:47pigal jaane wali barf,
13:48factory mein teen din mein kaise banti hai,
13:50jaante hain Shehdaad Kaur se,
13:51Yusuf Kambu ki report mein.
13:54Garhmi ke mausam mein,
13:55barf har shehri ki zaroorat hoti hai.
13:57Barf banane ke liye,
13:58paani ko ice factory mein,
14:00kai marahal se guzara jaata hai.
14:02Tab jaakar barf banti hai.
14:04Barf banane ke liye,
14:05pehle paani filter kiya jaata hai,
14:07phir usse cano mein daala jaata hai.
14:09Phir un cano ko,
14:10namak mile paani mein rakha jaata hai.
14:13Isme andar,
14:14ek tank bani hui hai,
14:16aur usme namak aur paani daala hua hai.
14:20Usme khanche lage hue lakdi ke,
14:23usme barf ke cane daala jaata hai.
14:25Pehle bijli sasti thi,
14:26400, 450 ka, 500 rupee ka cane chalta tha.
14:29Jinn cano ko namak mile paani mein rakha jaata hai,
14:32us namkeen paani ko thanda karne ke liye,
14:35paani mein gas ke coil yaani ke,
14:37pipe fit kiya jaata hai,
14:39aur paani ko hararat dene ke liye,
14:41namkeen paani mein fan chalaya jaata hai.
14:44Tammam marahal mukamal karne ke baad,
14:46yahi coil,
14:47cane mein bhare paani ko thanda karte hai,
14:49aur musalsal 3 din ke baad,
14:52paani jam kar barf ban jaata hai.
14:54Isme 24 ghante am duty karte hain,
14:57jo ke 6 ghande am sote hain,
14:596 ghande kaam karte hain,
15:00aur isse garmi mein,
15:01am yaar gharwaar chhod ke,
15:03yahaan bhathe hain hui,
15:04badi meinat hoti hain isme.
15:06Paani ko pathar banaan badi mushkil hai.
15:07Factory maalkan ki jaanib se,
15:10wholesale mein,
15:11chaar mann barf ka cane,
15:12900 rupee mein farokat kiya jaata hai,
15:15jisse dukaandar,
15:16350 rupee fee mann farokat karte hain.
15:19Ice factory maalkan ka kahena hai ki,
15:21agar haqoomat ki jaanib se,
15:23bijli, petrol aur diesel ki keemte kam kar di jaayen,
15:26toh yeh 900 rupee ki barf ki cane,
15:29500 rupee tak farokat kar sakte hain.
15:31Cameraman Mohammad Rehan ke saath,
15:32Yousif Kambo,
15:33ARY News, Shahidabad court.
15:35Bapas aayenge iss break ke baad,
15:37humare saath rahiye.
15:41Welcome back.
16:11Kya yeh haqiqat nahi hai,
16:13ki humne apne madaris mein,
16:15aapko apne talaba se bhi zyada ahmiyat di hai,
16:19aapse yeh chahte hain,
16:20aap unhaaton ko rokhiye,
16:22un kadmon ko rokhiye,
16:24jo Afghanistan se Pakistan ke andar
16:27dahshat girdi ke liye aate hain.
16:28Oman mein masjid par hamla karne wale,
16:30teen hamlaawar halak ho gaye.
16:32Police ka kahena hai,
16:33teeno hamlaawar,
16:34aapas mein bhai aur Omani shahri the.
16:36Hamlaawar security forces ki firing se halak hua,
16:39Police ne kaha ki,
16:39iptadaayi tahqiqat ke mutaabik,
16:41teeno hamlaawar gumrah kun nazriyat se mutaasir the.
16:44Oman mein Pir-Kum-Masjid par hamle mein,
16:46chaar Pakistaniyon sameh,
16:47chhai afraat jaan baha,
16:48aur darjan aur zakhni hua the.
16:50Amerikayi Sardarati Ummi Baad,
16:52Donald Trump ke qareebi saathi,
16:54phat pade,
16:54reha hote hi seedhe,
16:56Republican National Convention mein pohnch gaye.
16:58Sabiq Sardarati Mushir,
16:59Peter Navarro ne alzaam lagaya,
17:01Trump ke khalaab gawahi dene ke liye,
17:03un par dabaw daala gaya.
17:04Trump se wafadari par chaar maah
17:06qayat ki saza kaati.
17:08Khel ke maidaan se khabar ye,
17:09Women's Asia Cup ka aagaz
17:11kal se Sri Lanka mein hoga.
17:12Iftahi match Nepal aur
17:14Mutahid Arab Emirate ke darmian
17:15khela jaayega.
17:16Event ka sabse bada
17:17Pak-Bharat Takra bhi
17:18kal schedule hai.
17:28Women's Asia Cup ke liye stage tayyar,
17:30event ka aagaz hoga dhamake daar.
17:33Women's Asia Cup ke iftata heroes
17:34Pakistan aur Bharat ki team mein takraayengi.
17:37Pehla match Nepal aur UAE ke darmian hoga.
17:40Trophy ki runumai kar di gayi,
17:42jisme tamam teamon ki kaptaanon ne shirkat ki.
17:45Photo shoot ke dauran khiladiyon ka shugal,
17:47dance moves bhi dikha.
17:48Pakistan group A mein shamil,
17:50Bharat samet Nepal aur UAE se mukabla karegi.
17:53Asia Cup mein Bharat ka
17:54Pakistan ke khalaab padla bhaari.
17:566 matches mein 5 jeete,
17:58Pakistan 1 mein kamyab raha.
18:00Nivayati Harifon ke darmian
18:01match kal shaam 6.30 baje shuru hoga.
18:04Nidadar Asia Cup mein
18:05Bharat ke khalaab kamyabi ke liye
18:07purazam.
18:07Qaumi Women's team ki kaptaan kehati hai,
18:09cricket ka shock,
18:10Pak-Bharat match se hi parwan chadha.
18:12Dono teamon ke match mein
18:14hero banne ka mauka malta hai,
18:15ye mauka main kabhi gawana nahi chahti.
18:18Paris Olympics ke liye
18:19Pakistan ka 18 rukni dasta
18:21kal France rabana hoga.
18:22Dasta mein 3 shooter
18:23aur 2 officials shamil honge.
18:25Teraki mein Jahanara
18:26aur Jaiblin mein hisa lene wale
18:28athlete Arshad Nadeem
18:29iftatahi takreep mein
18:30qaumi dasta ki qayarat karenge.
18:32Paris Olympics ka mela
18:3326 July se shuru hoga.
18:41Digital daur se pehle
18:42bachche kaagaz ke khilonon se
18:44behal jaate the.
18:45Ye rang barange khilone
18:46madhum to ho gaye hain
18:47lekin khatam nahi.
18:48Karachi ke old city area mein
18:50aaj bhi bachche
18:51in khilonon ke deewane hain.
18:52Rubina Alavi ki report.
18:54Rang barange,
18:55kaagaz aur lakdi se bane ye khilone
18:58sabko hi bachpan ki yaad dilate hain.
19:00Jab zindagi doston ke ird gird
19:02yehi khilone khelte hue
19:04guzarti thi.
19:05Hamara daur tha,
19:06tab ye khilone hote the.
19:07Aaj kal ka to digital daur hai.
19:09Bachon ko aaj kal
19:11tab hai,
19:11mobile mein gusse hua hai.
19:12Electronic media ka daur hai.
19:15Ye zamana to koi aur hi tha.
19:16Ye dekh ke hume
19:17apna bachpan yaad aa raha hai.
19:23Ab iss nai zamane mein
19:24bachon ke haato mein
19:25mobile aur gadgets hain.
19:27Jisme wo mashgoor rehte hue
19:29saath khelne wale doston se
19:30door reh kar
19:31gharon tak mehdood ho gaye hain.
19:33Ye kaagaz ka bankha hai
19:35jab ye tez hawa chalte hai,
19:37chalta hai to ye achha lakta hai.
19:38Mujhe aise khilone bohot achche lakte hain.
19:40Main apne baba ke saath aaye hu
19:41tothe lene.
19:42Maine bhi liye aur mere bhai ne.
19:46Aaj bhi
19:47Karachi ke old city area se guzrein
19:49to bahut si aisi cheeze nazar aati hain
19:51jisse hum sabka bachpan hi
19:54juda hua hai.
19:55Cameraman Shehzad Meman ke saath
19:57Rubina Alavi,
19:58ARY News, Karachi.
20:00Tokyo ke high school mein
20:0214 talaba masaladar chips
20:03khaane ke baad hospital pohunch gaye.
20:05Company ne talaba aur qaum se maafi maag li.
20:07Saath ye bhi bataya
20:08ke packet par warning bhi tahrir hai
20:10ke 18 saal se kam umr afraat ke liye
20:12ye chips nukhsaan de hu sakte hain.
20:14Phir bhi zimmedaari kabool karte hain.
20:19Commissioner Faisal Abad bhi
20:21zil-e-intazamiya ke saamne bebas
20:23Commissioner office ke bahar
20:24sadak theek na karwaa sakay.
20:26Sheher ke aaham tareen alaake
20:27toot phoot ke baayis gandagi
20:29aur dhool matti mein aatey rahtey hain.
20:31Kachre se alaaka makheen
20:33bimaariyon ka shikar ho rahe hain.
20:35Mazeer jaante hain
20:36Qamar-uz-Zaman ki report se hai.
20:39Pathreela rasta,
20:41urti dhool,
20:41kachre ke dher
20:42aur sewerage ke paani par palte machhar
20:44kisi paswanda alaake ke manazar nahi.
20:46Balke ye Divisional Commissioner
20:48Faisal Abad ke daftar ke saath
20:49waqe sadak hai.
20:501.5 saal kabar
20:51trakiyati idariye pathar aur kairi
20:53daalkar is sadak ko taameer karna bhool gaye.
20:5512 haad rakhaston ke baabjood
20:56Commissioner Office bhi
20:57sadak banwane mein naakam hai.
20:591.5 saal se dekhno
20:59ka isi sara se tooti hui hai.
21:01Nahi ye gaadiyan barbaad ho rahi hain.
21:03Ye koode ke dher
21:04aapke saamne pade hua hai.
21:05Koi uthata nahi hain.
21:06Pehle yahan pe paani ghara tha.
21:07Ab jab pathar daal diya
21:08to isko banane hi bilkul bhool gaye hain.
21:10Baarish ke dinon mein
21:11toh ye sadak
21:11aur New Civil Line ka alaaka
21:133 foot paani mein dhoob kar
21:14dhriya ka manzar peshkar raha hota hai.
21:16Log jahan khule main holes mein
21:17girkar zakhmi ho rahe hain.
21:19Wahan gandhagi se
21:19dengi machchar ki afzaish bhi ho rahi hain.
21:21Baarish mein toh
21:22gara ban jata hai.
21:23Wo sara jo area hai na
21:24wo sara paani mein ghir jata hai.
21:26Jal se jald marri road puna deyen.
21:28Humare abhi
21:29koi saas hokha ho jaye.
21:30Commissioner Office road par
21:31na sirf Iqbal Stadium,
21:33Parks and Horticulture Authority Office,
21:35Fasco Revenue Office,
21:36Banking Court
21:37aur Vocational Training Institute
21:38waqe hai.
21:39Balke CPO Office ki
21:40nahi imarat bhi
21:41yahi taameer ki ja rahi hai.
21:42Zill-e-intizamiya ki ghaflat ki wajah se
21:44shahar ke aksar alaake
21:45is waqe khandraat ka manzar peshkar rahe hain.
21:48Jiski wajah se
21:48shahariyon ko aam durft mein
21:49mushkalaat ka saamna hai.
21:51Cameraman Sikandar Tariq ke saath
21:53Qamar-uz-Zaman,
21:53ARY News,
21:54Faisalabad.
21:55Ab tak ke liye itna hi.
21:56Dekhte rahiye,
21:57ARY News.

Recommended