• 6 months ago
#t20worldcup2024 #england #engvsusa #headlines

Karachi’s ‘feels like’ temperature reaches 44°C

Interior Minister approves deployment of FC in AJK

Maulana Fazl, Asad Qaiser decide strong opposition to budget 2024-25

PDMA Punjab warns against above normal rainfall in July

Nawaz Sharif decides not to attend Budget 2024-25 session

PML-N ‘contacts’ PPP for another round of talks to address issues

Follow the ARY News channel on WhatsApp: https://bit.ly/46e5HzY

Subscribe to our channel and press the bell icon for latest news updates: http://bit.ly/3e0SwKP

ARY News is a leading Pakistani news channel that promises to bring you factual and timely international stories and stories about Pakistan, sports, entertainment, and business, amid others.

Category

🗞
News
Transcript
00:00Shadeed Garmi ya kuch aur, Karachi mein 9 ghante mein 10 afrah jaan se gaye, 3 lashen,
00:09Lihari, Kolimar, Changi Road, Landi, Godam, Charangi, Defence, Sarangi Town, and Khamisogot,
00:14ek ek lash mili, tamam lashe Sard Khan-e-Muntakil, chanaak ka amal jaari.
00:19PTI ka operation azme istihkaam par parliament ko aitamad mein lene ka mutaliba, Chairman
00:24PTI, Barrister Gauhar Ali Khan kehte hain, koi bhi operation ho us par aewan ko aitamad
00:29mein liya jaaye, in camera briefing di jaaye, hukumat kaaz mein istihkaam operation par
00:34qawami salamati committee ka in camera ijlaas bulane ka ailaan.
00:45Aur ek hi din mein doosri hai trick, England ki semifinal mein seat pakki, America ke khilaf
00:50English bowler Chris Jordan ki 5 ghedo par 4 vichay.
00:54Apex committee mein Wazir Aala Khyber Pakhtunkhwa ke saamne dehshat gardon ke khilaf operation
01:02ka faisla hua, aaj yeh itijaz kar rahe hain, yeh kal bhi 9 May wale the aur aaj bhi hain,
01:08yeh apni asliyat dikha rahe hain.
01:10Opposition ke assembly mein shor sharaabe par Wazir-e-Defa Khwaja Asif ka jawab, kaha
01:14yeh mult ko maante hain, na aayin ko, yeh sirf apni siyasat ke saath hain.
01:19Mufaadaat ke liye paintre badalte hain, inka jo leader andar hai wo bhi paintre badalta
01:23tha.
01:24Khwaja Asif ki takreer ke dauran opposition ka shor sharaaba, JUI ne bhi opposition ke
01:29saath milke naare lagaye.
01:30Shehryar Afridi ka radde amal, kaha Wazir-e-Defa ne bada bukhtan lagaya, yeh mult aapko muaf
01:36nahi karega, aapke kham fayali hai ke PTI ko nuksaan poncha sakte hain.
01:42Qaumi assembly mein Wazir-e-Qanoon Azam Nazeer Tarar, Wazir-e-Defa Khwaja Asif ki madad
01:48ko aagaye, opposition ke shor sharaaba karne par Azam Nazeer Tarar ki Khwaja Asif ke kaan
01:54mein sarboshi, kaha Allah di kasme mic nahi chadna, tun ke rakho, bhaijaan headphone
02:00lagaye aur bolte rahein.
02:02Khwaja Asif ne apni takreer mein PTI ko shadeed tankeek ka nishana banaya.
02:06Country is facing unprecedented unemployment, inflation, poverty. Do you think this is
02:16the budget that the people of Pakistan deserve? We have to find a way to give relief to the
02:21people who are suffering 15 hours a day without electricity in this sweltering heat. Garmi
02:27ki shiddh mein 15 se 20 gante ke load shedding azaab hai Mr. Speaker.
02:33Asifa Bhutto Zardani ne wifaq ki budget mustharad kar diya. Kaumi Assembly se khatab mein kaha
02:38mulk mein tariqhi mehngai, berozgari aur ghurbat hai. Is qayamat phase garmi mein 15 se 20
02:44gante ki load shedding azaab hai. Kya awaam ko aisa hi budget dena tha jisme unke liye
02:49kuch nahi ho? Jamal Rehissani ki bhi wifaq ki budget par tankeek, bole hum wifaq mein
02:54bheek maangne nahi aaye. Wazir-e-Azam kaum ke bachon ke saath bhi Hamza ki tarah saloob
02:59karein. Balochistan mein 24 gante mein 2 se 3 gante bijli hoti hai. PTI ki rukun Shantana
03:05Gulzar ne kaha computer, kitabon aur aspataloon par tax laga diya gaya. Is budget se awaam
03:11ko kuch nahi mila. PTI daur mein Pakistan tarakhi kar raha tha. Bahani PTI pasand nahi
03:17the to unko hata diya gaya.
03:19Kuch asroobi se mamlaat aake chale hain. Positive cheezein maini tarah se itni bhi aur unki
03:30tarah se bhi positive cheezein bhi aaye. Gulab-e-Sahab ki mandoori ke baad mein iska bazaar
03:34ka elaan bhi.
03:36Hukumat aur People's Party mein mudhaqraat ka ek aur daur. People's Party ki mudhaqraati
03:41committee ke rukun Nadeem Afzarchand kehte hain. Noon League ke saath kuch asroobi se
03:45baad cheeth hui. Tehreeri muahede par amal dharamat par baat ho rahi hai. People's Party
03:49chahti hai koi intiqam ka nishana na bane. Zaraay ne dawa kiya People's Party ke tamam
03:54mutalibat tasneem nahi kiye gaye. Hukumat ka Punjab mein PP mukhalif intiqami kaarrawaayon
04:00se izhaar ila ailmi. Zaraay ke mutaabik Noon League ne kaha hukumat ittihadi party se
04:05siyasi intiqam kaise le sakti hai.
04:16PTI aur JUI ka qaumi assembly mein milkar opposition ka kirdaar ada karne par ittifaq
04:22dono chamato ke darmian siyasi committee kaim karne ka faisla. Sarbaraat JUI maulana
04:27Fazlur Rehman se PTI rehnuma Asad Qaisar ki mulaqat, Operation Azm-e-Istehka mein Pakistan
04:32ka muamla parliament mein uthane par tabaad mein khayal. Dono rehnumaon ne budget ko
04:37awam, dushman aur IMF ka karar dekar mustarad kar diya.
04:41Shadeed garmi mein tabi load shedding. Karachi, Sukkur, Quetta, Peshawar ke shehri bil-bil
04:49out the. Tajir kehte hain ghanton bijli band rehne se kaarobar mutaasir ho raha hai. Karachi
04:54mein fanni kharabi ke naam par bijli ki bandish mahamool band gayi. Model Colony, Moinabad,
04:59Lassipara mein bijli kai ghante mautal rahi. Chahar ke muktalif alaakon mein raat ko bhi
05:04bijli band rahi. Lihari, Kemari, Qayyumabad, Shadman, North Karachi mein kai ghante se
05:10bijli gayat. Buffer zone mein bijli ki bandish par alaaka makino ka para high ho gaya. Muzahiri
05:15ne K-Electric ke khiraf ehtijaj kiya.
05:22Bijli do, load shedding khatun karo. Mehngi bijli aur load shedding ke khilaf Jamaat-e-Islami
05:27ka mulbhar mein ehtijaj. Battareen load shedding ki wajah se awam azaab-e-aziat mein hain.
05:32Bihari bilo ne bhi hosh uda rakhe hain. Hukumat bijli ki takseem kaar companies ko lagaan
05:37de. Hafiz Naeem-ur-Rehman ka mutalba. Bijli hai nahi aur bil badha diye. Karachi mein
05:42muzahireen phat pade. K-Electric ka license cancel karne ka mutalba. Ameer Jamaat-e-Islami
05:48Karachi. Manam Zafar ka 26 June ko shara-e-faisal par dharne ka alaan. Hyderabad, Jamshoro,
05:55Thatta samej, Sindh bhar mein muzahireen. Lahore, Ukara, Pakpatan samej, Punjab bhar
06:00mein bhi muzahireen. Peshawar mein Bijli ki sataye awam ki Lahore Gate se Hashnagri tak
06:04rally. Lohirdeen aur Swat samej, subah bhar mein load shedding aur bilo mein azaafe ke
06:09khilaf awam sarkon par nikal aaye. Naush ki samej, Baluchistan mein bhi load shedding
06:13ke khilaf muzahireen.
06:26Garmi ko bhagana hai to thande paani mein dubkiyaan lagaani hai. Chhutti ke roz surat
06:30zameen ke phareeb aa gaya. Hafs aur garmi ke sataye shehri nehroon aur jeelon par jaa
06:34pohte. Thatta ki kenjhar jeel par subh se hi rash lag gaya.
06:45Islamabad, Rawalpindi ke mukhtalif ilaakon mein baarish. Garmi ka zor toot gaya. Mausam
06:50khushkawar samandari hawaay band hone se Karachi mein shadeed garmi. Shumaal maghrib
06:54se Baluchistan ki garm hawaayin chal rahi hain. Punjab mein ainda maa baarish ki peshgoi
06:59julaay ke pehle hafte mein 15-50 mm baarish ho sakti hai. PGM ne alert jaari kar diya.
07:06Is saal maunsun baarish 35% zyada hone ke imkaan aap hai.
07:11Garmi ko bhagana hai to thande paani mein dubkiyaan lagaani hai. Chhutti ke roz surat
07:15zameen ke qareeb aa gaya. Hafs aur garmi ke sataay shehri nehron aur jeelon par jaa
07:19pohche. Thatta ki kenjhar jeel par subh se hi rash lag gaya. Karachi samayed kai shehron
07:24se log dubkiyaan lagane pohche. Hyderabad ke bachon ne nehr ko picnic spot bana liya.
07:29Garmi mein nahaay bhi aur maudh masti bhi ki. Sanghar ke naujawan bhi nehri paani mein
07:34chhalang lagaakar hashash par shash. Lahori bhi canal road par jaga jaga nehr mein nahaate
07:39nazaraay.
07:45Wazir-e-Azam ki Islamabad Model Jail ki takmeel mein taqteer ki enquiry ki hidayat. Model
07:54Jail ka mansooba jadeed daur ke takaazon ko mat de nazar rakhte hui mukammal kiya jaye.
07:59Wazir-e-Azam ki Islamabad mein Amru Aman par ichhlaas mein hidayat. Wazir-e-Azam ko Islamabad
08:03Safe City, Wifaqeen Sadaat-e-Dahshatgardi Department aur Special Protection Unit se
08:07mutaalik briefing. Wazir-e-Azam ki Model Jail mein tarbiyat ka idara aur hospital taameer
08:12karne ki bhi hidayat. Shahbaz Sharif ne kaha Islamabad mein tamaam security mansoobon
08:17ke liye merit par bhartiyan ki jaye.
08:27Awam ne Liaquat Ali Khan ko chuna, usse kyun chunwa diya gaya? Bhutto ko kyun faansi di
08:32gayi? Benazir Bhutto ko kyun shaheed kar diya gaya? Nawaz Sharif ko hatkadiyan daal kar
08:36kyun mulg badar kiya gaya? Bani PTI aur Shah Mehmood Qureshi ka kya kusoor hai? Kyun jail
08:41mein hain? PTI-MN ne Ali Muhammad Khan ne haqayat saamnilane ke liye Judicial Commission
08:46banane ka mutaliba kar diya. Qaumi Assembly mein khitab karte hui kaha, policy banana 25
08:51crore awam ke muntakhib numaindon ka kaam hai.
08:58Umar Ayub, usko pata nahi hai ke NAB qawaneen mein koi beneficiary people's party leadership
09:03nahi hui hai. Imran Khan sahab ne wo amnesty scheme liye, jo koi chor aur dacoon ko protect
09:08karne ke liye hoti hai, bakkaul Imran Khan ke. Main nahi keh raha hai.
09:11Umar Ayub kisi aur ke agenda par hai, unko nahi pata aana hai. NAB qawaneen mein people's
09:16party beneficiary nahi rahi. Bani PTI ne amnesty scheme liye. Corruption cases par stay order
09:22bhiye. Wazirat-ul-Ahzab Sindh, Shirjil-e-Naam, Memon kahte hain, Sindh mein gaadiyon par jali
09:26sarkari number plate lagane walo ke khalaab operation shuru kar diya. Police ki number
09:30plate lagane wale ek shaks ko salakho ke peeche bhej diya.
09:39Pakistan mein koi mazbi-i-aqliyat is wakat mehfooz nahi hai. Hamare andar, hamare musulmano
09:47ke andar jo chote firke hain wo bhi mehfooz nahi hai. Yeh ek sharam ki baat hai. Poori
09:52qaum ko sharam saar hona chahiye.
09:55Aqliyaton ke khilaf-e-aqiyat mein mulawis afraat ke khilaf ka rawaay ki jaye. Qaumi-e-Assembly
10:00mein aqliyaton ke tahafuz ki qarardaat kasrat-e-raai se manzoor. Qarardaat Wazir-e-Qanoon, Senator
10:06Azam Nazeer Taran ne peesh ki, Fahad Asif ne kaha, Swat Waqe ne poori qaum ka sar sharam
10:11se jhuka diya. Pakistan kisi ek shaks ka nahi, balke yaha rehne wale saare Pakistani barabar
10:17ke shehri hain. Hindu, Isai aur Sikh bhi barabar ke Pakistani hain.
10:23Tauheed-e-Mazhab ka ilzaam laga kar Madian mein tashaddud aur jalao ghirao par do bhaiyon
10:28samayet 22 mulzimaan gireftaar. JIT Sarbara ka kehna hai, FIR mein naamzad mulzimaan
10:34ka qalab, shawahid jamaa kiye hain. Mukadme mein naamzad digar mulzimaan ki gireftaari
10:39ke liye chhaape. Hafiz Tahir Ashrafi kehte hain, khud hi mansab. Khud hi muddai banne
10:44ka sansila bandh hona chahiye. Chief Justice Pakistan se guzaarish hain, Tauheed-e-Mazhab
10:49ke mukadmaat ka faisla kiya jaye. Haj ke liye behtreen intizamat kiya gaye the.
10:54Wazir-e-Ala Punjab, Mariam Nawaz se Allied, Tech Valley aur Google for Education ke wafood
11:05ki mulaqat hain. Punjab mein Australia wie idara-e-Allied ke ishtaraq se Chromebooks
11:09ki assembling aur sarkari schoolon ke 50,000 talaba ko Google ID mufth farahan ki jayegi.
11:15Mariam Nawaz ne kaha, nizam-e-taalim mein khamiyon aur kamzoriyon ka tayyin karke behtri
11:20ke liye koshan hain.
11:27Sindh mein amno-amaan ki surat-e-haal par Sadr Asif Zardari ki zir-e-sudaarat-e-ishlaas
11:31kal sakhar mein hoga. DG Rangers Sindh, IG Sindh, Wazir-e-Daakhla, Wazir-e-Ala ishlaas
11:36mein sharik honge. Amno-aamaan se mutaalik aham faisle kiye jaayenge.
11:44Wazir-e-Azam Azad Kashmir Chaudhry Anwar ul Haq ki Wazir-e-Daakhla Mohsin Naqvi se mulaqat.
11:48Wazir-e-Daakhla ne Azad Kashmir mein Frontier Constabulary tayinat karne ki manzoori dedi.
11:53Mohsin Naqvi ka kehna tha, Azad Kashmir mein qayam-e-aam ke liye har mumtin taawwun karenge.
11:58Hukumat, Azad Kashmir hukumat aur abaam ke saath khari hai.
12:06Faisalabad ke ghar mein aag lagne se jhulasne wali ek aur khatoon jaanbahag taadaad 9 hogayi.
12:12Tehkikaat ke mutaabik bawatchi khaane se gas leakage ke baayaz gas kamre mein bhar gayi
12:16thi laptop cable ki sparking se gas ne aag pakad li.
12:23Israel ne tamaam hadein paar kardi.
12:25Sehwani Fauj ne Maghribi kinare mein zakhmi Falestini ko Fauji jeeb ke aage baang kar insani dhaal ke taur par istimaal kiya.
12:33Israel ki Gaza mein shahati muhajireen camp par bombari.
12:36Shimali Gaza mein Al-Jawahara Tower par bhi hamla.
12:3924 ghante mein 35 Falestini shaheed, 130 zakhmi.
12:437 October ke baad Gaza mein shuhada ki taadaad 37,431 hogayi.
12:50Kharelu mulazmeen ke istihsaal ke ilzaam mein Bharti Nizad Britannia ke ameer tareen khaandaan ko saza suna di gayi.
12:59Switzerland ki adalat mein Hinduja khaandaan ke 4 afraad ko 4 saal khyad ki saza sunaayi.
13:06Hinduja khaandaan ne kharelu mulazmeen se 18 ghante ki mushakat karayi aur ujrad.
13:11Homey team ke assistant coach Azhar Mehmood ka ilzamaat lagane walon ke khilaf qanooni kaarrawai ka faisla.
13:16Bayaan mein kaha social media aur deegar media platforms par bebuniyat ilzamaat lagaye gaye.
13:20Shawahid ke bina baat karna qanoonan jurm hai.
13:23Pakistan ke World Cup se baar hone ke baad coach Azhar Mehmood par family saath se jaane,
13:28PCB ke kharche par thehrane, ghoomne sameer deegar ilzaamaat lagaye gaye the.
13:40Afghanistan ne cricket ki super power Australia ko pachar diya.
13:44Super 8 ke haam match mein 21 run se tarahi ki kamyabi hasal ki.
13:48Kangaroos 140 run ke taakub mein 127 par himmat haar gaye.
13:52Gulbadeen Naeem 4 shikar karke match ke hero rahe.
13:55Semi final mein risai ke liye group 1 mein hal chal.
13:58Australia ka Bharat se aakhri mukabla do or die hoga.
14:02Kangaroos haare to Afghanistan ko Bangladesh ke khilaf sirf match jeetna hoga.
14:06Australia ek run se bhi jeeta to Afghanistan ko Bangladesh ke khilaf 36 se zayad run ke margin se jeetna hoga.
14:13Tarikhi kamyabi par Afghan awam jhoom uthe, Pakthika, Zabul aur Khoz subah mein hazaaro afraaz sar to pane kalaye.
14:21Apni team ki jeet ka bharpoor jashan manaya.
14:24Aatish baazi aur riwayati raks bhi kiya.
14:30Hat-trick ki musalsal doosri hat-trick.
14:32Afghanistan se shikast ke baa wajood Australian V-Pacer ne tarikh rakam kar di.
14:35Mega event ke do matches mein do hat-trick karne wale pehle bowler ban gaye.
14:40Australian V-Pacer ne Bangladesh ke baad Afghanistan ke khilaf bhi lagataar 3 gailon par 3 wiktein hasil ki.
14:46Wasim Akram 1999 mein Sri Lanka ke khilaf test series mein 2 musalsal hat-trick kar chuke hain.
14:52Mulaqat hugi ARY ke show Har Lamha Pur Josh par aaj raat ko 11-12 ke zabyaan.
14:58Toh dekhta na bhuliye.
15:00T20 World Cup ka josh, ARY news par cricket ka show Har Lamha Pur Josh.
15:04Adhakaar Zain Afzal aaj banenge Har Lamha Pur Josh ke mehmaar.
15:07Issar cricketer Basit Ali aur Kamran Akmal ka maahirana tadziya.
15:11Adi aur Mustafa Chaudhary chutkulo se muskura hatte bhi kherenge.
15:22Ronaldo ki Portugal ne Euro Cup ke knockout marhale mein jaga banali.
15:25Apne doosre match mein Turkiye ko 3-0 se out class kiya.
15:28Belgium ne Romania ko 2-0 se zehr kiya.
15:31Event pe pehli kamyaa bhi hasil ki.
15:33Georgia aur Jamuria Chai ka match.
15:35Sansani Kez mukabale ke baad.
15:36Ek ek se barabar raha.
15:42Yeh bahot achi film thi.
15:43Aise movies aur Pakistan mein aur huni chahiye.
15:45Family oriented movie hai.
15:46Please, sab zarur aayen dekhene.
15:48Bahot achi movie thi.
15:49Kafir se baad.
15:50Pakistan mein pehli defa dekha hai.
15:51Is genre ki movie mein nahi hai.
15:53Aur Pakistan ki pehli science fiction film.
15:55Umroh Ayaar.
15:56Cinema gharon mein bachon aur badon ki yakshan pasan.
15:59Islamabad mein film ki Meet The Cast.
16:01Film ke stars ne Umroh Ayaar ko achha tajerba karar diya.
16:04Taha comedy, action aur thoda sa horror film ko dilchast banata hai.
16:08Bachon ko Jinnon ke kirdaar bohot bhai.
16:11ARY Digital aur ARY News ke ishtaraag se banne wali film.
16:15Umroh Ayaar ki Lahore mein bhi kamyab numaeesh jaari.
16:17Karachi ke cinema gharon mein bhi khidki todh rush.

Recommended