• 4 years ago
Tajdar e Haram New Naat Jisko Syed Akhtar Hussain Naqvi Official Ne Boht Hi Payare Andaaz Main Pesh Kiya With Urdu And English Subtiles Or Payari Drone Video View Of Madinah And Masjid Nabwi Or Iss Naat Ko Rabi Ul Awal Ke Mahine Main Pesh Kiya Gaya Or Islamic Drone Video or mehfil e naat

#Tajdar-e-Haram #TajdareHaram #SyedAkhtarHussainNaqviOfficial #AtaifAslamTajdareHaram #NewNaat2021 #NewNaatRabiUlAwal2021 #RabiUlAwal2021 #RabiUlAwal1443 #RabiUlAwalNaat #TajdareHaramQawali #NewQawaliTajdareHaram #SyedAkhtarHussainNaqviNewNaat #DroneVideo #MadinahDroneVideo #MasjidNabwiDroneVideo #FreeDroneVideo


Kismat mein meri chain se jeena likhde
Doobe na kabhi mera safeena likh de
Jannat bhi ganwara hai, magar mere liye
Aye kaatib-e-taqdeer, madina likhde

Tajdar-e-haram
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Hum ghareebon ke din bhi sanwar jayenge

Haami-e-bekasaan kya kahega jahan
Aapke darr se khaali agar jayenge

Tajdar-e-haram
Tajdar-e-haram

Koi apna nahi gham ke maaray hain hum
Aapke darr pe faryaad laaye hain hum

Ho nigah-e-karam, warna chokhat pe hum
Aapka naam le le ke mar jayenge

Tajdar-e-haram
Tajdar-e-haram

Kya tumse kahoon aye Arab ke kunwar
Tum jaanat ho mann ki battiyaan
Darr furqat toh aye ummi-laqab
Kaate na katath hai ab rattiyaan

Turi preet mein sudbud sab bisri
Kab tak rahegi ye beqabri
Daah-e-ka pigan duzdi da nazar
Kabhi sun bhi toh lo humri battiyaan

Aapke darr se koi na khaali gaya
Apne daaman ko bhar ke sawaali gaya

Ho habeeb-e-hazin par bhi aaqa nazar
Warna auraq-e-hasti bikhar jayenge

Tajdar-e-haram
Tajdar-e-haram

Maikashon aao aao madine chalen
Maikashon aao aao madine chalen

Aao madine chalen
Aao madine chalen
Isi mahine chalen
Aao madine chalen

Tajalliyon ki ajab hai fazaa madine mein
Nigah-e-shauk ki hai inteha madine mein

Gham-e-hayat na khauf-e-kazaa madine mein
Namaz-e-ishq karenge adaa madine mein
Barah-e-raas hai raahe-e-khuda madine mein

Aao madine chalen
Aao madine chalen
Isi mahine chalen
Aao madine chalen

Maikashon aao aao madine chalen
Dast-e-saaqiy-e-kausar se peene chalen

Yaad rakho agar
Yaad rakho agar

Uthgayi ek nazar
Jitne khaali hai sabb jaam bhar jayenge

Tajdar-e-haram
Tajdar-e-haram

Khof-e-toofan hai, bijliyon ka hai darr
Sakht mushkil hai aaqa kidhar jayen hum

Ap hi garr na lenge, hamari khabar
Hum musibat ke maaray kidhar jayenge

Ya mustafa, ya mujtaba,
Eraham-lana, eraham-lana
Dast-e-hama, bechara ra
Daama tuhi, daama tuhi

Mann aasiyam, Mann ajizam
Mann bekasam, Haal-e-mara
Pursa tuhi, pursa tuhi

Aye mushtub-e-zambar fishaan
Paike naseem-e-sub hadam
Aye charagar insanafas
Aye moonis-e- beemar-e-gham

Aye qaasid-e-parkhundapaye
Tujhko usi gul ki kasam
Innal tayari has saba
Yauman ila-ar-dil-haram
Ballig salami roza tann
Fi-han nabi-al-mohtaram

Tajdar-e-haram, ho nigaah-e-karam
Hum ghareebon ke din bhi sanwar jayenge
Haami-e-bekasaan kya kahega jahan
Aapke darr se khaali agar jayenge

Tajdar-e-haram
Tajdar-e-haram


Syed Akhtar Hussain Naqvi Official
@Sy

Recommended