• 9 years ago
Mosam e Sarma Mein Khushk Jild Ki Hifazat Ka Tarika
Mosam e sarma mein khushk jild walon ko kafi pareshani ka samna karna parta hai, jild dry hone ki waja se kai aqsam ki skin disease for example dhaddar, chanbal or allergy waghera body par asar andar hone ka khadsha hota hai, agar sardi ki waja se jild khushk ho jaye to 1 anday ki zardi mein 1 teaspoon coconut oil ya olive oil mix kar lein is ko itna phenten ke jhaag ki tarah ho jaye is ko chehre par lagayen or 15 minutes ke baad ache soap se moo dho lein jild naram mulaim or khoobsurat ho jayegi is ke ilawa pani ke use mein izafa karein take jild ko matlooba moisture mayysar aa sake, yaad rakhein aap jild ke liye kitne hi totke kar lein agar pani kam peete hein to ye totke aap ki jild par asar andar nahi honge. Mosam e sarma mein hali phili exercise skin disease se bachao mein helpful sabit ho sakti hai lekin exerceise khule sehan or tez hawa mein nahi karni chahiye, balkay band or garam kamre mein exercise karne se skin mein narmi or khoobsurti paida hoti hai.