• 8 years ago
Beloved (Late) Amjad Fareed Sabri Bhar Do Jholi by Sarmad Qadeer
Bhar do jholi meri Ya Muhammad
Bhar do jholi meri Ya Muhammad
Lout kar mein na jaon ga khalii.
Kuchh Nawason ka Sadqa Ataa ho
Dar pe aaya hoon bankar sawaali
Tum zamane kay Mukhtaar ho Ya Nabi
Bekasoon kay Madadgaar ho Ya Nabi
Sab ki sunte ho Apne hon ya ghair ho
Tum ghareebon ke Gham-Khwaar ho Ya Nabi

Hum hain ranj-o-museebat ke maare hove
Saqt mushkil mein hain gham se haare hove
Ya Nabi kuch Khudaara hamein bheek do
Dar pe aaye hain jhole pasaare hue
Bhar do jholi meri Ya Shahe-e-Madeena
Lout kar mein na jaon ga khalii.
Hai mukhaalif zamaana kidhar jaaein hum
Haalat-e-bekasi kisko dikhlaien hum
Hum Tumhaare bhikaari hain Ya Mustafa
Kiske aage bhalaa haath phailaayein hum
Bhar do jholi meri Ya Shahe-e-Madeena
Lout kar mein na jaon ga khalii.
Haq se paayi wo shaan-e-Kareemi
Marhaba dono aalam ke Waali
Wo Muhammad ka Pyara Nawaasa
Jisne Sajde mein Gardan kataali
Jo In-e-Mrtaza ne kiya kaam khoob hai
Qurbaani-e-Hussain ka anjaam khoob hai
Qurbaan ho ke Fatima Zehra ke chain ne
Deen-e-Khuda ki shaan barhaayi Hussain ne
Bakhshi hai jisne Mazhab-e-Islam ko hayaat
Kitni azeem Hazrat-e-Shabbir ki hai Zaat
Maidaan-e-Karbala mein Shah-e-khush Khisaal ne
Sajde mein Sar kataa ke Mohammad ke laal ne
Zindagi bakhsh di bandagi ko
Aabroo Deen-e-Haq ki bachaali
Wo Muhammad ka Pyara Nawaasa
Jisne Sajde mein Gardan kataa li
Bhar do jholi meri Shahe-e-Madeena
Lout kar mein na jaon ga khalii.
Hashr mein Unko dekhein ge jis dam
Ummati ye kahein gey khushi se
Aa rahey hain Wo dekho Mohammad
Jinke kaandhe pe Kamli hai Kaali
Mehshar ke roz pesh-e-Khuda hongey jis gharhi
Hogi gunahgaaron mein kis darjaa bekali
Aate hove Nabi ko jo dekhein ge ummati
Ek doosre say sab ye kaheingey khushi khushi
Aa rahe hain wo dekho Mohammad
Jinke hai Shaan sab say Niralii.
Bhar do jholi meri Ya Shahe-e-Madeena
Lout kar mein na jaon ga khalii.
Aashiq-e-Mustafa ki Azaan mein Allah Allah kitna asar tha
Sachaa ye waaqiya hai Azaan-e-Bilaal ka
Ek din Rasool-e-Pak se logon ne yun kaha
Ya Mustafa Azaan ghalat dete hain Bilaal
Kahiye Huzoor Aapka is mein hai kya khayaal
Farmaaya Mustafa ne ye sach hai to dekhiye
Waqt-e-sahar ki aaj Azaan aur koi de
Hazrat Bilaal ne jo Azaan-e-Sahar na di
Qudrat Khuda ki dekho na mutlaq sahar hui
Aashiq-e-Mustafa ki Azaan mein Allah Allah kitna asar thha
Aaye Nabi ke paas kuchh Ashaab-e-Baasabaa
Ki arz Mustafa se ay Shah-e-Ambiya
Hai kya sabab sahar na hui aaj Mustafa
Jibreel laae aise mein payghaam-e-Kibriya
Pehle to Mustafa ko adab se kiya Salaam
Baad as Salaam Unko Khuda ka diya Payaam
Youn Jibraeelaa Khair ul Anaam se
Allah ko hai Pyaar Tumhaare Ghulaam say
Farmaa raha hai Aap se ye Rabb-e-Zuljalaal
Hogi na subha dein gey na jab tak Azaan Bilaal
Aashiq-e-Mustafa ki Azaan mein Allah Allah kitna Asar thha
Arsh waale bhi sunte the Jisko
Kya Azaan thi Azaan-e-Bilaali

Bhar do jholi meri Shahe-e-Madeena
Lout kar mein na jaon ga khalii
Kaash purnam se aaye Nabi mein
Jeete ji ho Bulawa kisi din
Haal-e-dil Mustafa ko sunaaoon
Thaam kar Unkay Roze ki Jaali

Bhar do jholi meri Ya Muhammad
Laut kar main na jaaunga khaali
Kuch Nawasonadqa Ataa ho
Dar pe aaya hoon bankar sawaali

Category

🎵
Music

Recommended