• 4 years ago
Dua (Urdu) - Iltaja Badargah-e-Mujeeb-ud-Dawat Jalla Jalalohu

Tablegh-e-deen ki hamein toufeeq de khuda
Hum Rah-e-Mustaqeem pey chlatey rahen sadda

Mehwar ho zindagi ka sadda, oswa-e-Rasool (PBUH)
Rakhey har aik pesh-e-nazr, deen ka har asool

Ho Taat-e-Rasool (PBUH) mein yeh zindagi tamam
Ban jaen aey khuda na kahen nafs ke Ghulam

Ya Rabb khilaf-e-Sharra na koi bhi ho amal
Tera he tazkara rahey lab par har aik pal

Wo kam hum Karen jo ho ya Rabb tujhey pasand
Apni raza ke noor se kar hum ko behra mand

Hum Deen-e-Haq ki rah pey sabit qadam rahein
Batil ki quwatun se khudaya na hum daren

Haan fikr-e-Akhrat ho har ik dil mein moujzan
Aabad teri yad se ho zeest ka chaman

Har lahza Ahl-e-Khair ki tazeem hum Karen
Ahkam-e-Rabb-e-Pak ko tasleem hum Karen

Quraan ka dars-e-khas har ik ghar mein aam ho
Tafseer ke parhaney ka bhi ehtamam ho

Haan Jannat-ul-Baqi mein Kaifi ki qabr ho
Saya fishan sadda teri rahmat ka abr ho

- Dua
- Page Number # 83 - 84
- Book Name : Ashk-e-Aqeedat (Urdu Aur Saraiki Naatia Kalam)
- Written and Read by Faqeer Muhammad Ramzan Kaifi Qadri Awaisi (Naatia Poet)

- Ashk-e-Aqeedat (Urdu Aur Saraiki Naatia Kalam)
- Available at: https://drive.google.com/file/d/1XpQd1aG_1SLMA7Fbb4SvBsgC989Qidg6/view


Address:
Aastana Aalia Ghousia Awaisia Near Qasim Bagh Khanqah Sharif T/D Bahawalpur, Punjab Pakistan.

Content Maker:
Faqeer Muhammad Ramzan Kaifi is a Teacher, Artist, Naatia Poet, Writer and Mystic. He is illuminating the hearts of people through his intense Love for Allah, Hazrat Muhammad (Sallallahu Alayhi Wa-Aalehi Wasallam), Ahle-Bait (R.A), Sahaba Karam (R.A) and Auliya Karam (R.A).

His book (Ashk-e-Aqeedat) has been published that is collection of
Hamd-o-Naat, Manaqib, Kafiyan, Qataat, Rubaiyat and Fardiyat in Urdu and Saraiki.
His other books that are in the process of publication are:
i- Aqwal-e-Kaifi
ii- Kaifyat-e-Kaifi
iii- Muqashafat-e-Kaifi (Volume-1)
iv- Muqashfat-e-Kaifi (Volume-2)
v- Bazuban-e-Khalq.

He has been conducting religious congregations and Spiritual Mahafils:
i- Mahana Mailad-e-Mustafa (Sallallahu Alayhi Wa-Aalehi Wasallam) since 1987.
ii- Salana Mailad-e-Mustafa (Sallallahu Alayhi Wa-Aalehi Wasallam) since 1987.
iii- Salana Mehfil Zikr-e-Ahl-Bait (RIZWANULLAH ALAIHE) since 1427 Hijri.
iv- Salana Mehfil Ghous-ul-Azam Hazrat Al-Sayyed Al-Shaikh Abdul Qadir Al-Jilani Al-Hassani-o-Al- Hussaini (Qudd-e-Sa Sirr-o-hul Azeeze)
v- Salana Mehfil Hazrat Khawaja Mohkum-ud-Deen Sairani (Rahmatullah Alaih)


Social Media:
His collection of Hamd-o-Naat, Nazm, Manaqib, Kafiyan, Qataat, Rubaiyat, Marsiay and Fardiyat in Urdu and Saraiki is available on:

1-YouTube https://www.youtube.com/mramzankaifi
2-2-Facebook https://www.facebook.com/RamzanKaifi
3-Dailymotion https://www.dailymotion.com/mramzankaifi
4-Twitter https://twitter.com/MRamzanKaifi

Category

📺
TV

Recommended